Insano Me Hamesha Dushmani Rahegi

Hazrate Adam Aur Hazrate Havva Alaihis Salam Nihayath hi Aram aur chain ke saath jannath me rahte the. Allah Tala ne farma diya tha ki jannath ka jo fal bhi chaho be rok tok sair ho kar tum dono kha sakte ho. Magar sirf ek darakht ka fal khane ki mumanaAt thi ki iss ke kharib math jana. Vo darakhth gehun tha ya angur vaghaira tha. Chunanche, dono uss darakht se muddate daraz tak bachte rahe. lekin in dono ka dushman iblish barabar taq me laga raha. Akhir uss ne ek din apna vasvasa dal hi diya aur khasam kha kar kahne laga ki main tum dono ka kair khwah hun aur Allah Tala ne jis darakht se tum dono ko mana kar diya hai vo "shajratul khuld" hai yani jo uss darakht ka fal khayega, vo kabhi jannath se nahi nikala jayega. pahle Hazrate Havva Raziyallahu Tala Anhu iss shaitani vasvase ka shikar ho gayi aur unhone Hazrate Aadam Alaihis Salam ko bhi iss par razi kar liya aur vo nagahan ghair iradi tor par uss darakht ka fal kaa baithe

           Aap ne apne ijtihad se ye samajh liya ki La Takhraba Hazihish Shajaratha ki nahay tanzihi hai aur vokhayi hargiz hargiz nahya taharimi nahi thi. varna Hazrate Adam Alaihis Salam Nabi hote huve Hargiz Hargiz uss darakht ka fal na khate kuinki Nabi to har gunah se masum hota hai bahar haal Hazrate Adam Alaihis Salam se iss silsile me ijtihadi khata sarzad ho gayi aur ijtihadi khata masiyyat nahi hoti.



         Lekin Hazrate Adam Alaihis Salam chunki darbare ilahi me bahut mukharrab aur bade bade darjath par fayiz the iss liye iss ijtihadi khata par bhi mauride itab ho gaye. foran hi bahisti libas dono ke badan se gir pade aur ye dono jannath ke patton se apna sitr chupane lage, aur khudavande khuddus ka hukum ho gaya ki tum dono jannath se zamin par utar pado.Uss vaqht Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam se do khas baten irshad farmayi. Ek to ye ki tumhari avlad me baaz baaz ka dushman hoga ki hamesha apas me insano ki dushmani chalti rahegi. Dusri ye ki umr bhar tum dono ko zamin me taharna hai fir iss ke baad hamari hi taraf lot kar Aana hai. Chunanche, Quran e Majid me iss vakhi e ko bayan farmate huve Allah Tala ne Bayan farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  To Shaitan ne jannath se unhen lagjish di aur jahan rahte the vahan se unhen alag kar diya aur ham ne farmaya niche utro apas me ek tumhara dure ka dushman aur tumhen ek vaqht tak zamin me taharna aur baratna hai.

          Iss irshade rabbani se ye sabakh milta hai ki ye jo insano me mukhtalif vajuhath ki bina par Aadavate aur dushmaniyan chal rahi hai ye kabhi khatm hone vali nahi Laak koshish karo ki dunya me logon ke darmiyan adavath aur dushmani ka khatima ho jaye magar chunki ye hukme khudavandi ke bayis hai iss liye ye adavate kabi hargiz khatam na hogi kabi ek mulk dusre mulk ka dushman hoga, kabhi mazdur aur sarmayadar me dushmani rahegi, kabhi amir va gharib ki adavath jo pahadegi kabhi mazhabi va lisani dushmani rang layegi, kabhi tahzib va tamaddun ke bahami takrav ki dushmani ubregi, kabhi imandaron aur be imano ki adavath rang dikhayegi.

         Al gharaz Dunya me insano ki apas me adavath va dushmani ka Azar hamesha garm hi rahega iss liye logon ko iss se ranjida aur kabida khatir hone ki koi zarurath hi nahi hai aur na iss adavath aur dushmani ko khatam karne ki tadbiron par ghoro khaiz kar ke pareshan hone se koi fayda hai.

          Kuin ki jis tarha andhere aur ujale ki dushmani, Agar aur pani ki dushmani, garmi aur sardi ki dushmani kabhi khatam nahi ho sakti, thik isi tarha insano me apas ki dushmani kabhi khatam nahi ho sakti. kuinki Allah Azzawajal ne Hazrate Adam Va Havva Alaihis Salam ke zamin par ane se pahle hi ye farma diya ki "Badukum Libadin Adu'vovn" Yani ek insan dusre insan ka dushman  hoga to ye Adavath va dushmani khalkhi aur fitri hai jo hukme ilahi aur uss ki mashiyyath se hai to fir bhala kon hai jo iss adavath ka dunya se khatima kara sakta hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »