Hijrath ke Baad Gho Barabar Islam tarakki karta raha aur har mahaz par kuffar ke mukhable me musalmano ko futuhath bhi hasil hoti rahi aur kuffar apni chalon me nakam va namurad bhi hote rahe. magar fir bhi kuffar barabar islam ki bekh kani me masruf hi rahe.
Aur ye Aas lagaye huve the ki kisi na kisi din zarur islam mit jayega aur fir arab me bhut parasti ka charcha ho kar rahega. kuffar apni isi mohum ummid ki bina par barabar apni islam dushmani ke chalon me lage rahe aur tarha tarha ke fitne bapa karte rahe.
Magar 10 Hi. Hujjatul vadaA ke mokha par jab kafiron ne Musalmano ka azim majma maidane arafath me dekha aur in hazaron musalmano ke islami josh aur rasool ke saath in ke valihana jazbate akhidath ka nazara dekh liya to kuffar ke hoslon aur un ki mohum ummidon par aus pad gayi aur vo islam ki tabahi va barbadi se bilkul hi mayus ho gaye. Chunanche, iss vakhiye ki Akkasi karte huve khas maidane arfath me bade asar ye ayath nazil huyi.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aaj tumhare deen ki taraf se kafiron ki Aas tut gayi to un se na daro aur mujh se daro Aaj main ne tumhare liye tumhara din kamil kar diya aur tum par apni nemath puri kar di aur tumhare liye islam ko din pasand kiya.
Rivayath hai ki ek yahudi ne amirul mominin hazrate umar farooqe azam raziyallahu tala anhu se kaha ki tumhari kitab me ek yesi ayath hai ki agar ham yahudiyon par yesi ayath nazil huyi hoti to ham log is din ko eid ka din bana lete. to Aap ne farmaya ki kon si Ayath? to uss ne kaha ki
vali ayath to Aap ne farmaya ki jis din aur jis jagah aur jis vakht ye ayath nazil huyi ham uss ko achchi tarha jante aur pahchante hain vo zuma ka din tha aur arafath ka maidan tha aur Huzur Alaihis Salam asar ke bad khutba irshad farma rahe the ki ye ayath nazil huyi.
Aap ka matlab ye tha ki iss ayath ke nuzul ke din to hamari do eiden thi. ek to arafa ka din ye bhi hamari eid ka din hai. dusra zuma ka din ye bhi hamari eid hi ka din hai iss liye Aab alag se ham ko eid manane ki koi zarurath hi nahi hai.
Ye bhi Rivayath hai ki iss ayath ke nuzul ke baad hazrate amirul mominin farooqe azam raziyallahu tala anhu rone lage. to Huzur Alaihis Salam ne daryafth farmaya ki ye Umar! tum rote kuin ho? To Aap ne arz kiya ki ya rasoollallah! hamara din roz baroz badta ja raha hai lekin Ab jab ki ye deen kamil ho gaya hai to ye khaida hai ki " Har kamal raaz vale" ki jo chiz apne kamal ko pahunch jati hai vo ghatna shuru ho jati hai fir iss ayath se vafate nabavi ki taraf bhi ishara mil raha hai kuinki huzur alaihi o sallam deen ko kamil karne hi ke liye dunya me tashrif laye the to jab deen kamil ho chuka to zahir hai ki huzur sallallahu Alaihi o sallam Ab iss dunya me rahana pasand nahi farmayenge.
Darse Hidayath
1. Allah Tala ne iss ayath me iss bath par mohar laga di ki Aab kafiron ki koi ziddo jahad aur koshish bhi islam ko khatam nahi kar sakti. Kuinki kuffar ki ummid va Aas par na-unnidi va yaas ke badal chaa gaye hain. kuinki in ka islam ko mita dene ka khwab Aab kabhi bhi sharminda tabir na ho sakega.
2. Iss ayath ne yelan kar diya ki dine islam mukammal ho chuka hai Aab agar koi ye kahe ki islam me fulan fulan masayil nakhis rah gaye hain ya islam me kuch tarmim aur izafe ki zarurath hai to vo shakhs khazzab aur jhuta hai aur dar hakhikhat vo Quran ki takzib karne vala mulhid aur islam se kharij hain. deene islam bilashuba yakhinan kamil va mukammal ho chuka hai iss par imaan rakhna zaruriyate deen me se hain.