Ghare Sair


  Hijrath Ki Raath Huzur Rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam Apne Daulath Khane se nikal kar Makhame "Hazurah" Ke pass khade ho gaye aur badi hasrath ke saath "Kaba E Mukarrama" ko dekha aur farmaya ki ye shahare makka! Tu mujh ko tamam dunya se ziyada pyara hai agar meri khom mujh ko tujh se na nikalti to main tere siva aur kisi jagah sukunath pazir na hota.fir Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu se pahle hi kharar dad ho chuki thi, vo bhi usi jagah Aa gaye aur iss khayal se ki kuffar hamare khadamon ke nishan se hamara rasta pahchan kar hamara picha na karen fir ye bhi dekha ki Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke paye nazukh zakhmi ho gaye hain Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ne Aap ko Kandhon par suvar kar liya aur iss tarha khardar jhadiyon aur nokdar pattharon vali pahadiyon ko rondte huve usi raath ghare sair pahunche.

         Hahzrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu pahale khud Ghar me dakhil huve aur achchi tarha Ghar ki safayi ki aur apne kapdon ko fad fad kar Ghar ke tamam surakhon ko band kiya fir Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam Ghar ke andar tashrif le gaye aur hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ki God me Apna saar mubarakh rakh kar so gaye. Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ne ek surakh ko apni yedi se band kar rakha tha. Surakh ke andar se ek saamp ne bar bar yare Ghar ke paun me kata. Magar Jaa Nisar ne iss khayal se paun nahi hataya ki rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam Ke Khwabe Rahamat me Khalal na pad jayen magar dard ki shiddath se yare ghar ke ansuon ki dhar ke chand khatrath Sarvare kayinath Sallallahu Alaihi O Sallam ke ruqsar par nisar ho gaye. jis se rahamate alam sallallahu alaihi o sallam bedar ho gaye aur apne yare ghar ko rota dekh kar bekharar ho gaye. pucha! Abu Bakkar! Kai Huva? Arz Kiya : Ya Rasoollullah! Mujhe Saamp ne Kat liya hai ye sun kar huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ne zakham par apna luabe dahan laga diya, jis se foran hi sara dard jata raha aur zakham bhi achcha ho gaya.  3 raath Huzur Rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam aur Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu iss ghar me ronakh afroz rahe. Kuffare makka ne Aap ki talash me kakka ka chappa chappa chan mala. Yahan tak ki dhundte dhundte ghare sair tak pahunch hi gaya magar ghar ke muh par hifazate khudavandi ka pahara laga huva tha. yani ghar ke muh par makadi ne jaal taan diya tha aur kinare par kabutari ne ande bhi de rakhe the. Ye manzar dekh kar kuffar apas me kahane lage ki agar iss ghar me koi insan maujud hota to na makdi jaal tanti, na kabutari yahan ande deti. Kuffar ki ahat pa kar hazrate abu bakkar siddidq raziyallahu tala anhu kuch ghabra gaye aur arz kiya ki ya rasoollullah! Aab hamare dushman iss khadar kharib Aa gaye hain ki agar vo apne khadmon par nazar dalenge to ham ko dekh lenge. Huzur Alaihis Salam ne farmaya:
      
           La Tahzan Innallaha MaaAna math ghabrao, Khuda Hamare Saath hai. Fir hazrate abu bakkar siddikh raziyallahu tala anhu par sakina utar pada ki vo bilkul hi mutmayin aur be khof ho gaye aur chauthe din yakum rabiul avval do shamba ke roz huzur Alaihis Salam ghar se bahar tashrif laye aur madina e munavvara ko ravana ho gaye. Iss ghare sair ke vakhiye ko Quran E Majid me in lafjon me bayan farmaya:
Tarzuma e Kanzul Imaan

                   Agar tum mahboob ki madad na karo to beshak allah ne un ki madad farmayi jab kafiron ki shararath se unhen bahar tashrif le jana huva sirf do jaan se se jaab vo dono ghar me the jab apne yar se farmate the gham na kha beshak allah hamare saath hai to allah ne uss par apna sakina(itminan) utara aur un fozon se uss ki madad ki jo tum ne na dekhi aur kafiron ki baath niche dali Allah hi ka Bol bala hai aur Allah Ghalib Hikmath vala hai.


Darse Hidayath:

             Ye ayath aur ghare sair ka vakhia Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu ki fazilath aur un ki mahabbath va janisariye rasool ka vo nishane Aazam hain jo khiyamath tak aftabe Alamtab ki tarha darkhwash aur roshan rahega. Kuin na ho ki parvar dagar ne inhen apne rasool ke "yare ghar" hone ki sanade mustanad Quran me de di hai jo kabhi hargiz hargiz nahi mit sakti hai.

          Subhanallah Hazrate Siddiqe Akbar Raziyallahu Tala Anhu ka ye vo fazal va sharaf hai jo na Kisi ko mila hai na kisi ko milega.

Martaba Hazrate Siddiq Ka Ho Kiss Se Bayan
Par Fazilath Ke Vo ZameAa Hain Nabuvath Ke Siva

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »