Hazrate Isa Alaihis Salam ke Asman par utha liye jane ke baad yisayiyon ka hal behad kharab aur nihayath battar ho gaya log bhut parasti karne lage aur dusron ko bhi bahut parasti par mazbur karne lage khususan in ka ek badsha "dakhnanus" to iss khadar zalim tha ki jo shakhs bahut barasti se inkar karta tha ye uss ko khatl kar dalta tha
Ashabe kahaf kon the?
Ashabe kahaf shahar "Uffus" ke shurafa the jo badshaa ke moAzzaz darbari bhi the. magar ye log sahibe imaan aur bahut parasti se intihayi bezar the. "Dakhyanus" ke zulmo zarb se pareshan ho kar ye log apna bachane ke liye uss ke darbar se bhag likare aur kharib ke pahad me ek ghar ke andar panah guzari huve aur so gaye,To tin so baras se zaida arse tak isi haal me sote raha gaye. dakhyanus ne jab in logon ko talash karaya aur uss ko malum huva ki ye log ghar ke andar hai to vo behad naraz huva aur farte ghaijo ghazab me ye hukum de diya ki ghar ko ek sangin divar utha kar band kar diya jaye taki ye log usi me rah kar mar jayen aur vohi ghar in logon ki khabr ban jaye. magar dakhyanus ne jis shakhs ke sipurd ye kaam kiya tha vo bahut hi nek dil aur sahibe iman admi tha uss ne ashabe kahaf ke naam in ki tadad aur in ka pura vakhia ek takhti par kandha kara kar tambe ke sundukh ke andar rakh kar divar ki bunyad me rakh diya. aur isi tarha ki ek takhti shaahi khazane me bhi mahfuz kara di kuch dino ke baad dakhyanus badshaha mar gaya aur saltanaten badalti rahi yahan tak ki ek nek dil aur insaf parvar badshaa jis ka naam "bedarus" tha, takht nashin huva jiss ne adsat saal tak bahut shano shokat ke saath hukumat ki uss ke dor me mazhabi firka bandi shuru hogayi aur baaz log marne ke baad utne aur khiyamat ka inkar karne lage khom ka ye haal dekh kar badshaah ranjo gham me dub gaya aur vo tanhayi me ek makan ke andar banda ho kar khudavande khuddus azzavajal ke darbar me nihayath be kharari ke saath girya va zari kar ke duayen mangne laga ki ya allah azzavajal koi yesi nishani zahir farma de taki logon ko marne ke baad zinda ho kar utne aur khiyamat ka yakhin ho jaye badshaa ki ye dua makhbul ho gayi aur achanak bakriyon ke ek charbahe ne apni bakriyon ko taharne ke liye usi ghar ko munthab kiya aur divar ko gira diya.divar girate hi logon par yesi haibath va dahshat suvar ho gayi ki divar girane vale larza barandam ho kar vahan se bhag gaye aur ashabe kahaf ba hukme ilahi apni nind se bedar ho kar ut baite aur ek dusre se salman va kalam me mashghul ho gaye aur namaz bhi ada kar li jaab in logon ko bhuk lagi to in logon ne apne ek sahi yamlikha se kaha ki tum bazar ja kar kuch khana lao aur nihayath khamoshi se ye bhi malum karo ki "dakhyanus" ham logon ke bare me kai irada rakhta hai? "yamalikha" ghar se nikal kar bazar gay aur ye dekh kar hairan rah gaye ki shahar me har taraf islam ka charcha hai aur log yelaniyya hazrate isa alaihis salam ka kalima pad rahe hai. yamlikha ye manzar dekh kar mahave hairat ho gaya ki ilahi ye mazara kai hai? ki iss shahar me to imaan va islam ka naam lena bhi zurm tha Aaj ye inkilab kahan se aur kuin kar Aa gaya?
Fir ye ek nanbai ki dukan par khana lene gaye aur dkhyanusi zamane ka rupiya dukandar ko diya jiss ka chalan band ho chuka tha balki koi iss sikke ka dekhne vala bhi baki nahi rah gaya tha dukandar ko shuva huva ki shayad iss shakhs ko koi purana khazana mil gaya hai chunanche, dukandar ne in ko hukkam ke supurd kar diya aur hukkam ne in se khazane ke bare me puch ghach shuru kar di aur kaha ki batao khazana kahan hai? "yamlikha" ne kaha ki koi khajana nahi hai.yeh hamara hi rupiya hai hukkam ne kaha ki ham kis tarha man len rupiya tumhara hai? ye sikka 300 baras purana hai aur barson guzar gaya ki iss sikke ka chalan band ho gaya aur tum abhi javan ho lihaza saaf saaf batao ki yeh ukhada haal ho jaye yeh sun kar yamlikha ne kaha ki tum log yeh batao ki dakhyanus badshaha ka kai hal hai? hukkam ne kaha ki Aaj ruhe zamin par iss naam ka koi badshaa nahi hai. han senkado baras guzare ki iss naam ka ek be imaan badshaa guzra hai jo buth parast tha "yamlikha" ne kaha ki abhi kal hi to ham log uss ke khof se apne imaan aur jaan ko bacha kar bhage hai mere sathi karib hi ke ek ghar me maujud hai tum log mere saath chalon me tum logon ko un se mila dun chunanche, hukkam aur amayidine shahar kasir tadad me uss ghar ke pass pahunche ashabe kahaf "yamlikha" ke intizar me the jab in ki vapasi me der huyi to un logon ne yeh khayal kar liya ki shayad yamlikha giriftar ho gaya aur jaab ghar ke muh par bahut se admiyon ka shoro ghogh in logon ne suna to samajh baite ki galiban dakhyanus ki foz hamari giriftari ki liye Aan phunchi hai to ye log nihayat ikhlas ke saath zikr ilahi aur toba va istighfar me mashgul ho gaye.
Hukkam ne ghar par pahunch kar tambe ka sandukh baramad kiya aur uss ke andar se takhti nikal kar pada to uss takhti par ashabe kahaf ka naam likha tha aur ye bhi tahrir tha ki ye momino ki jamaat apne din ki hifazath ke liye dakhyanus badshaa ke khof se iss ghaar me panah guzari huyi hai to dakhyanus ne khabar pa kar ek divar se in logon ko ghar me band kar diya hai ham ye haal iss liye likhte hain ki jab kabhi bhi yeh ghar khule to log ashabe kahaf ke haal par matala ho jayen hukkam takhti ki ibadath pad kar hairan rah gaya aur in logon ne apne badshaah "bedarus" ko iss vakhiye ki ittilaA di foran hi bedarus badshaah apne umra aur amayidine shahar ko saath le kar ghar ke pass pahuncha to ashabe kahaf ne ghar se nikal kar badshaah se muAnaka kiya aur apni sargujisht bayan ki bedrus badshaah sajde me gir kar khudavande khuddus ka shukr ada karne laga ki meri dua khabul ho gayi aur allah atala ne yesi nishani zahir kar di jis se mauth ke baad jinda ho kar utne ka har shakhqs ko yakhin ho gaya ashabe kahaf badshaah ko duayen dene lage ki allah tala tumhari badshahi ki hifazath farmaye ab ham tumhen allah ke sipurd karte hain fir ashabe kahaf ne Assalam Alaikum Kaha aur ghaar ke andar chale gaye aur so gaye aur isi halat me allah tala ne un logon ko vafat de di.Badshaah bedrus ne saal ki lakdi ka sandukh banva kar ashabe kahaf ki mukhaddas lasho ko iss me rakhva diya aur allah tala ne saman kar diya fir bedarus badshaah ne ghaar ke muh par ek masjid banva di aur salana ek din mukharrar kar diya ki tamam shahar vale iss din eid ki tarha ziyarath ke liye aya karen.
Tarjuma Kanzul Imaan:
Tum farmao mera rab un ki ginti khoob janta hai unhen nahi jante magar thode
Hazrate Abdullah Bin Abbas Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki main unhin kam logon me se hun jo ashabe kahaf ki tadad ko jante hain fir Aap ne farmaya ki ashabe kahaf ki tadad saath(7) hain aur atvan(8) un ka kutta hai.
Quran e Majid me Allah Tala ne ashabe kahaf ka hal bayan farmate huve irshaad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Kai Tumhen malum huva ki pahad ki kho aur jangal ke kinare vale hamari ek azib nishani the.jab un javano ne ghaar me pnah li fir bole ye hamare raab hame apne pass se rahamath de aur hamare kaam me hamare liye rahyabi(rah pane) ke saman kar to ham ne uss ghaar me un ke kano par ginti ke kayi baras thapka fir ham ne unhen jgaya ki dekhen do gurohon me kon un ke taharne ki muddat ziyada thik batata hai ham un ka thik thik haal tumhen sunayen vo kuch javan the ki apne rab par imaan laye aur ham ne un ko hidayath badayi.
Iss se agli ayaton me allah tala ne ashabe kahaf ka pura pura haal bayan farmaya hai ki jis ko ham pahale hi tahrir kar chuke hain.

Ashabe Kahaf Ki Tadath:
Ashabe Kahaf ki tadath me jab logon ka ikhtilaf huva to yeh ayath nazil huyi:

Ashabe Kahaf Ke Naam:
In ke namon me bhi bahut ikhtilaf hai hazrate Ali Raziyallahu Tala Anha se rivayath hai ki in ke naam yeh hai. yamlikha,makshalina,mashalina,marnusha,dabarnusha,shajnush aur satvan charvaha tha jo in logon ke saath ho gaya tha. Hazrate Ali Raziyallahu Tala Anhu ne uss ka zikr nahi farmaya. Aur in logon ko kutte ka naam "kitmir" tha aur in logon ke shahar ka naam "ufsus" tha aur zalim badshaah ka naam "dakhyanus" tha.
Aur tafsire savi me likha hai ki ashabe kahaf ke naam ye hai.maksamalina,yamlikha,tuns,sariyunas,zunuvans,falsth tayunas,ye akhiri charvahe the jo raston me saath ho liye the aur in logon ke kutte ka naam "kitmir" tha
Ashabe Kahaf Ke Namo Ke Khavas:
Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anhu Se rivayath hai ki ashabe kahaf ke namon ka taviz nav kamo ke liye fayide mand hain
- Bhage Huve ko Bulane ke liye aur dushmano se bach kar bhagne ke liye.
- Aag bujhane ke liye kapde par likh kar Aag me dal den
- Bachchon ke rone aur tisre din ane vale bukhar ke liye.
- Dard saar ke liye dayen baju par pandhen
- ummussibayan ke liye gale me pahanayen
- khushki aur samandar me safar mahafuz hone ke liye
- mal ki hifazath ke liye
- Akhal badane ke liye
- Gunahgaron ki najath ke liye.
1.
Ashabe Kahaf Kitne Dino Tak Sote Rahe:
Jab Quran ki ayat
(Aur vo apne ghaar me 300 baras tahare nav upar) nazil huyi. To kuffar kahne lage ki ham 300 baras ke mutallik to jante hain ki ashabe kahaf itni muddath tak ghaar me rahe magar ham nav(9) baras ko nahi jante to Huzure Akhdas Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki tum log shamsi saal jod rahe ho aur quran e majid ne kamri saal ke hisab se muddath se muddath bayan ki hai aur shamsi saal ke har so baras me tin saal khamri bad jate hain.
Darse Hidayath:
- Mar'ne ke baad zinda ho kar utna haq hai aur ashabe kahaf ka vakhia iss ki nishani aur dalil hai jo Quran e majid hai.
- Jo apne dino imaan ki hifazath ke liye apna vaqth chod kar hijrath karta hai allah tala ghaib se uss ki hifazath ka yesa yesa saman farma deta hai ki koi iss ko soch bhi nahi sakta.
- Allah valon ke namo me barkat aur nafA bakhsh tasirath hoti hai.
- Bed'rus ek imandar aur nek dil badshaah ne ashabe kahaf ke ghaar ki ziyarath ke liye salana ek din mukharrar kiya.iss se malum huva ki vuzurgane deen ke urs ka dastur bahuth khadim zamane se chala Aa raha hai.
- Buzurgon ke mazaron ke pas masjid tamir karna aur vahan ibadath karna bhi bahuth purana mubarak tarikha hai kuinki bedrus badshaah ne ashabe kahaf ke ghaar ke pass ek masjid bana di thi jis ka zikr quran e majid ki surah kahaf me hai.