Hazrate Nooh Alaihis Salam ka ek beta jis ka naam "KinAan" tha. Vo Sidkhe dil se Aap par imaan nahi laya tha, balki vo munafikh tha. aur apne kufr ko chupaye rakha tha. lekin tufan ke vakht uss ne apne kufr ko zahir kar diya. hazrate nooh alaihis salam ne kashti par savar hote vaqht uss ko bulaya aur farmaya ki mere pyare bete! Tum kashti par savar ho jao aur kafiron ka saath chod do to uss ne kaha ki main tufan me pahadon par chad kar panah le lelunga to Aap ne badi dil soji ke saath farmaya ki beta! Aaj khuda ke azab se koi kisi ko nahi bacha sakta. Han jis par khudavande karim apna raham farmaye bas vohi bach sakta hai. Baap bete me ye guftagu ho rahi thi ki ek jordar moj Aayi aur kinAan ghark ho gaya aur ek rivayath me ye bhi Aaya hai ki kinAan ek buland pahad par chad kar ek ghaar me chup gaya aur ghaar ke tamam surakhon ko band kar liya magar jab tufan ki moj uss pahad ki choti se takrayi to ghar me pani bhar gaya. iss tarha kinAan apne bol va baraz me lath path ho kar gharkh ho gaya.
Quran e Majid me Allah Azzawajal ne iss vaqhiye ke bare me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur Nooh ne apne bete ko pukara aur vo uss se kinare tha ye mere bachche hamare saath suvar ho ja aur kafiron ke saath na ho, bola: Aab main kisi pahad ki panah leta hun vo mujhe pani se bacha lega, kahar Aaj Allah ke Azab se koi bachne vala nahi magar jis par vo raham kare aur un ke bich me mauj Aade ayi to vo dubton me rah jaya.
Bete ko Apne samne iss tarha gharqhab hote dekh kar hazrate nooh alaihis salam ko bada sadma va ranj pahuncha aur apne janabe bari tala me arz kiya ki ye mere parvar dagar! mere beta KinAan to mere ghar valot me se har aur tera vada sachcha hai aur tu ahkamul hakimin hai. to allah tala ne farmaya ki ye nooh! ye Aap ka beta kinAan apke un ghar valon me se nahi hai jin ko bachane ka ham ne vada kiya tha lihaza, ye nooh! Tumhara ye suval thik nahi hai iss liye tum mujh se yesi kisi baath ka suval na karo jis ka tumhen ilm nahi hai to hazrate nooh alaihis salam ne kaha ki ye mere parbar dagar! me teri panah mangta hun ki main tujh se kisi yesi bath ka suval karun jo mujhe malum nahi hai aur agar tum mujhe muaf farma kar raham na farmayega to main nuksan me pada jaunga.
Quran e Majid me hazrate Haqka ne iss vakhiye ko bayan farmate huve irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur nooh ne apne rab ko pukara, arz ki : ye mere rab! mera beta bhi to mera ghar vala hai aur beshak tera vada sachcha hai aur tu saab se bad kar hukum vala. Farmaya: Ye Nooh! vo tere ghar valon me nahi beshak uss ke kaam bade nalayikh hain tu mujh se vo bath na mangh jis ka tujhe ilm nahi main tujhe nasihath farmata hun ki nadan na ban arz ki ye rab mere! main teri panah chahta hun ki tujh se vo chiz mangunga jis ka mujhe ilm nahi aur agar tu mujhe na bakhshe aur raham na kare to main ziyakar(nuksan uthane vala) ho jaunga.
Read More
1. Murtadin Se Jihad Karne Vale
2. Hazrate Isa Alaihis Salam Ke Havari
3. Adam Alaihis Salam Ki Toba Kaise Khabul Huyi?
4. Cure Of Heart(Dil ki beemari ka ilaj)
5. Ek Tariqhi Munazara