Zameen E Karbala Ka Khooni Manzar Part No - 01

najaf

Sayyadus Shohda Hazrath  Imaam E Hussain Shahide Karbala ki wiladat Ba-Saadat 5 Shabaan 4 Hijri ku Madine Munawara me huyi. Aap ki Kunniyath "Abu Abdullah" aur Naam e Naami "Hussain" Aur Laqab "Sibt E Rasool" aur "Rehana Tur Rasool" hai.

Allahu Akbar Jigar Gosha E Rasool farzand e batool, rakhibe dooshe payember aur karbala ke ghaziyoun ke meera lashkar imaam Ali Maqam shahide karbala Hazrath Imam E Hussain Sayyadus Shohda Radiallahu Tala Anha ki Azmate Shaan kis Zabaan ki Taqat hai ke kama huqqa bayan kar sake.

Waqiyat E Shahadat

Rajjab 60 Hijri me Ameer e Muawiyah Radiallahu Tala Anhu ne Ba Maqame damish laqwe ki beemari me Mubtila ho kar wafat payi. Aap ne ba waqte wafat ye waqsiat farmayi ke mere pass Huzoor Rahamathul-lil-Aalameen Sallallahu Alaihi O Sallam ke 5 Tabarukaat hain. Jin ku my ne apni zindagi bhar apni jaan se zaida Azeez tar samajh kar apne khazane me mehfooz rakha hai. Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihi O Sallam ka
  1. Izaar Mubarak.
  2. Chadar e Aqdas
  3. Khamees e Anwar
  4. Moo-e-Mubarak.
  5. Nakhoon e Mubarak ke tarashe
Aap ne farmaya ke mujhe Huzoor Rahamate Aalam ke Tehband Shareef aur Muqaddas pairahan ka kafan diya jaye.Aur mere Aaza e sajda aur Aankhon me moo-e-mubarak aur tarashaye naakhoone munawwar rakh kar khabar me lita kar arhamur rahemeen ke supurd kar diya jaye.Chunanche logon ne apki wasiat ke mutabiq app ku dafan kiya.

Yazid Paleed

Hazrath Ameer e Muawiyah Radiallahu Tala Anhu ki wafat ke baad aap ka na-qalaf aur intihai shafi aur bad-naseeb beta "Yazeed" Taqt E Saltanat per firoun e Zamana ban kar baitha. Aur isne apni baiat lene ke liye atrafe saltanat me har taraf farman aur khasid rawana kiye.

Yazeed koun Tha? Aur Kaisa Tha??

Mazallah Yazeed Bin Muawiyah umwi o battareen shakhs hai jis ki peshani per ahle baith e nabuwat ke khoon e na haq ka qiyamat tak na mitne wala siyah dagh hai. Yahi o bad naseeb aur shaqeeul qalb zalim hai jis per qiyamat tak tamam duniya e islam tahqeer o malamat ke patthar barsati rahegi. Ye nange qandane bani ummiya 25 sane hijri me hazrath Ameer e Muaviyah Raziyallahu Tala Anhu ke ghar me Mysun Binte bahdal ke peth se paida huwa. Intahi bad shakal,Mota bhadda,Pure badan par baal,Intehayi bad Qalkh,Bad Mizaj,Fasiq O Fajir,Sharabi o Bad kirdaar zalim o Ghaddar aur intehayi be adab o gustakh tha. Mahrumaat ke sath nikah aur sood waghaira minhayate shariyah ku is Be-Deen ne Elaniya riwaj diya.

Hazrath abdullah Bin Hanzala Ghaseel ne Farmaya ke Wallah Hamne Yazeed per us waqt khurug kiya jab hamku ye dar hogaya ke kaheen yazeed ki Bad-Aamaliyoun aur badkariyoun ki wajah se hamare oper Aasmaan se Azab ke patthar na barsne lage(Waaqdi)

Isi Tarha ek martaba Kisine Hazrath Umar Bin Abdul Azeez ke darbaar me yazeed ku Ameerul Mamineen keh diya to Aap ne isku 20 durre maar kar saza de ke Yazeed jaise badtareen shaksh ku Aameerul Momineen kehna jurm e Azeem hai.(Tariqul Khulfa safa:231).

Hazrath Abu Hurairah jo un Shaba me shumaar kiye jate hain jo rehmate Aalam ke Raaz Daar aur shahibe Israar hain. Aap ne 59 sane hijri me ye dua mangi ke.

"Ya Allah My 60 Sane Hijri K Shuruaat Aur Ladkon Ki Hukumat Se Teri Panah Mangta Hoon Hazrath Abu Hurairah Radiallahu Tala Anhu ku Maloom Tha Ke 60 Sane Hijri me Yazeed ki Hukumat Hogi Aur ye bade Fitno Ka Waqth Hoga.Isliye Aapne Isse Panah Mangi.Chunanche,Aap Ki ye Dua Bargahe Khuda Wandi Me Maqbool ho gayi,Aur 59 Sane Hijri Hi me Aap ki wafat ho gayi (Tariqul khulfa)

Behre kaif Yazeed Paleed Taqt e Saltanat per qabiz hone ke baad usne har taraf apni baiat ke liye hukum Naame aur khasid bheje. Chunanche, Madine Munawara ke Hakim waleed Bin Uqba ku Yazeed ne ye farmaan bheja ke tum mera ye farmaan dekhte hi saab khaas o Aam aur amaaid e madina se meri baiat lo.Aur khas kar Hazrath Imaam E Husaain Aur Abdul Rahman Bin Abu Bakar Aur Abdullah Bin Umar Aur Abdullah Bin Zubair Raziyallahu Tala Anha ku to ek lamhe ki bhi mohlat na dena. Aur Sabse pehle in logon se baiat lena.Chunanche,Yazeed ke farmaan milte hi walid bin uqba ne hazrath Imaam E Hussain ku logon se baiat lena.Chunanche, Yazeed ka farmaan milte hi walid bin uqba ne Hazrath Imaam E Hussain ku Apne darul Imarath(Govt House) me bulaya aur Yazeed ka Farmaan suna kar Aap se baiat ka talib huwa. Imaam Ali Maqham ne Saaf Saaf Farma diya ke yazeed apne fisq o fujoor aur zulm o udwaan ki wajah se hargiz is khabil nahi hai ke my uske haath par baiath karon. Isliye My Hargiz Hargiz Kabhi bhi Uski baiath nahi kar sakta. Jis waqt Imaam Ali Maqham ne Yazeed ki baiat se inkaar farma diya to walid bin uqba ne Aap ku bahut narmi ke saath samjhaya. Aur iske khatarnaak Anjaam ki taraf tawajju dilayi. Magar jab Aapne pure Azm-e-Mohkam ke saath baiat se inkar farma diya to walid bin uqba ne Aap ku pure aezaaz ke sath ruksath kar diya. Aur arz kiya ke aye ibne rasoolallah Aap is mamle me jald baazi ke sath koi faisla na farmaye balke is waqt Aap apne doulat khane per tashreef le jayen aur itminaan se soch bachar kar koi faisla farmayen aur kal isi tarha phir yahan khadam ranja farmaye to behtar hoga.Imaam Ali Maqam ku khoob Achchi tarha maloom tha ke baiat ke inkar se yazeed nabakar intahi mushta'al hoga aur meri jaan ka dushman aur khoon ka pyasa ho jayega. Lekin Farzande Rasool se Bhala ye kab Mumkin Tha? Ke taqwa aur diyanat ku thukhra kar mehaz apni jaan bachane ke liye ek fasiqe nabakaar aur fajire bad kaar ka khilafat aur Haqdaar Tasleem karlen aur Musalmano ki tabahi aur Deeni millat ki barbaadi ka kuch khiyaal na kare..Musalmano. Isme koi shak nahi ke Imaam ali Maqam yazeed ki bayyat farmalete to yakheenan yazeed isku Aap ka ehsaan azeem samajh kar Aap ki intahi khadar-o-manzilat karta aur firte aqidat se Aap ke khadam dho dho kar peeta aur bani ummiya ke khazano ki kunjiyan Aap ki Muqaddas jutiyoun per dal deta Aap ku beshumaar maal o daulat bhi deta.Balke kisi sube ki governari aur hukumat bhi pesh kar deta. Magar Imaam e Bar-Haq ki haq parast nigahon ke samne Aaftab ban kar ye haqikhat chamak rahi thi ke Agar my Yazeed ki baiat kar leta hoon to nizame islam darham barham hokar Millate Islamiya me aisa Azeem fasad barpa ho jayega jiska door karna na mumkin aur mahaal hojayega. Deen mit jayega aur parcham e islam ki dhajiyan para para hokar faza-e-Aasman me bikhar jayengi.Kyunke zahir hai ke jab Aap Yazeed ki baiat Farma lete to Aap ki baiat Yazeed ki har badkari ke jawaz ke liye sanad ban jati. Aur tamam Musalmaan ye samajh lete ke Yazeed ka har Amal Islam ke mutabiq hai kyunke har shaksh yahi kehta ke agar yazeed islam ke khilaf amal karta to bani-e-islam ke noore nazar aur millate islam ke azeem rehbar imaam ali maqam hargiz kabhi iski baiat na farmate.Yahi o wahid sabab tha ke jigar goshaye rasool aur farzand e batool ne bade bade Aalaam o Masaib ku bardasht farmaya balke apne phule-phale gulshan ku apni nazron ke samne zulm o udwan ki khazan-0-veeraan o barbaad hote dekha.Balke apne khoon ka Aakhri khatra aur apni zindagi ki Aakhri sans khuda ki rah me khurbaan karke Millate Islamiya ki Doobti aur Dagmagati kashti ku gumrahiyoun ke toofan se nikal kar sahile najat per pahoncha diya.Aur Qiyamat tak ke liye islam ka parcham sar buland hogaya. Yazeed ne tamam ahle madina me sabse pehle imaam e ali maqam hi se bait ka mutaliba isliye kiya ke isko ye maloom tha ke agar hazrath imaam baiat farma lenge to phir Roohe Zameen me kisi ko mere baiat se inkaar ki gunjaish baqi nahi rahegi. Magar Hazrath Imaam Ali Maqham ki isteqamat aur inkare baiat se iska sara mansuba khak me mil gaya aur Yazeed mare ghaiz o ghazab ke Aag babola hogaya.Aur yahan tak apni khabasat per utar Aaya ke usne Hakim-e-Madina Waleed ko Ye farmaan bhej diya ke agar Imaam e Hussain meri baiat se inkaar kare to unka sar Kaat kar mere yahan rawana karde. Jab is mazmoon ke chand Hukum naame mutuwatir walid ke pass pahonche to walid ne majboor ho kar imaam e Ali maqham ko yazeed paleed ke us napaak mansube se Aagah kiya.

                             Aaeen-E-Jawanmardan, Haq Goyi-O-Bebaki
                             Allah Ke Sheron Ko Ati Nahin Roobahi
                             

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »