Mashroom me kayi Ayse poshaq Asar Maujud hote hain Jinki jism ko bahut zarurath hoti hai. Saath hi ye faiber ka bhi ek achcha zariya hai. kayi bimariyon me mashroom ka istemal davayi ke tor par kiya jata hai. health conscious logon ke liye bhi ye Achcha hota hai. kuinki isme calories zaida nahi hoti.
Mashroom me kayi khas Khaniz aur Vitamin paye jate hain. Inme Vitamin B,D, potassium,copper,iron aur selenium ki Maujudgi hoti hai, Iske alava,mashroom me choline naam ka ek khaas asar paya jata hai jo hamare badan(zisam) ko sehathmand aur yadashth barkarar rakhne me behad faidemand rahta hai.
janiye aur kai hai mashroom ke faide:
- Mashroom me anti accident bharpoor hote hain. inme se khas hai ergothioneine, jo badti umr ke alamath ko kam karne aur vazan ghatane me sath deta hai.
2. Mashroom me Maujud Asar bimari ke khilaf mazahmath ko badata hai. Isse sardi-zukham jaisi bimariyan jaldi-jaldi nahi hoti. mashroom me maujud selenium immune system ke response ko behtar karta hai.
3. Mashroom me vitamin D ka bhi ek Bahuth Achcha tarikha hai. ye vitamin haddiyon ki mazbuti ke liye bahuth zaruri hota hai. bakhaida tor par mashroom khane par hamari zarurath ka 20 fisad(20%) vitamin D hame miljata hai.
4. mashroom me bahut kam mikdath me carbohydrates hote hain, jisse vo vazan aur blood sugar level nahi badata.
5. Mashroom me bahut kam mikdath me cholesterol hota hai aur iske istemal se kafi vaqht tak bhook nahi lagti.
Iske alava mashroom ko balon aur chehare ke liye bhi kafi faydemand mana jata hai. vahin kuch scientists ne mashroom ke istemal se cancer honeka ka khattra kam hone ki baath tak kahi gayi hai.
Read More
2. Jadu Ka Ilaj