Zameen E Karbala Ka Khooni Manzar Part No - 07


karbala

Wahab Bin Abdullah

           Isi tarha Hazrath Wahab Bin Abdullah Kalbi ki mujahidana sarfaroshi ki dastaan bhi Qayamat tak faramosh nahi ki ja sakti. Ye Qabile bani kalb ke bahot hi haseen o khubsurath naujawan the Aur inki shadi ku abhi sirt 17 Roz hi huwe the. Inki Maa ne kaha beta Aaj mere Rasool ka pyara nawasa aur Hazrath Khatune Jannat BiBi Fatimah ka Noore Nazar be yaar o madadgaar dushmano ke narghe me giraftaar Ranj o Gham ka shikaar hain. Ye beta, Isliye meri tamanna hai ke tera khoon jo mere doodh se bana hai. Aaj iska ek ek khatra rahe Haq me baha kar, Tu apni jaan Ahle Bait per Qurbaan karke meri maghfirat ka samaan kar de. Chunanche, Wahaab Bin Abdullah apni walida aur apni nayi naveli dulhan ku saath le kaar karbala me Aye. Aur Hazrath Imaam se ijazath le kar ghode par sawar huwe Aur koondti huwi bijli ki tarha maidane jangh me pahonch gaye. Aur Mujahidana lehje me jhoom jhoom kar rijz ka ye sher padhne lage..

           Yani Ye Yazeediyon sunlo !.. Mera Elan hai ke Yazeed " Ameerul Momineen" Nahi hai. Balke "Ameerul Momineen" Hussain hain. Aur o behtareen "Ameerul Momineen" hain. Inki chamak dhamak roshan chiragh ki tarha munawwar hai. Yazeedi Fauj ke bade bade sorma aur janghjo bahaddur Aap ke Muqhabile ke liye Aaye. Magar jo bhi samne Aaya Aapne talwar se iska saar udha diya aur bahut se zalimon ku mauth ke ghat utar kar apni maa aur biwi ke pass Aaye. Ye dono Ab wahab bin abdullah ke mujahidana jaanbaaziyon ka nazara dekh dekh kar khush ho rahe the. Aap ne arz kiya ke Ye meri Muqhaddas Maa ab to Aap mujh se khush ho gayen? Maa ne dil khol kar duayen diye kaha ke beta main tujh se khush to ho gayi. lekin, Mere Laal meri khushi ke meraj to jab hoti ke maidane jangh me dushmano ki zarab se tera jism chalni hojaye. Aur tu surkh posh dulha ban kar uruse shahadath ki Aagosh me jannati mehmaan aur mere liye rasoole Arabi ki shafat ka samaan ban jaye. phir wahab bin abdullah ne apni roti huwi nayi naweli dulhan ke saar par haath rakh kar tasalli di itne me dushmaan ki safon me se mohkim bin tufail ek namigirani pehlwaan mast hathi ki tarha jhoomta huwa nikla. Wahab Bin Abdullah ko jangh ki dawath dene laga.

          Hazrath Wahab Uske Aawaz sun kar fouran ghode par sawar ho gaye aur apni muqhaddas maa aur pyari dulhan ko Aakhri Salaam karke shere'Nar ki tarha maidane jangh ki taraf badhe.Aur mohkim Bin Tufail ke muqhabile ke liye tayyar ho gaye. Mohkim Bin Tufail Apne Intehai Ghuroor ke nashe me saar shaar tha. itrata huwa Aage bada aur intehayi la parwahi ke sath janab Wahab par talwaar ka war kiya. Magar janab Wahab ne intehayi phurti aur chabuk dasti ke saath usku neeza maar kar neeze ki ani bar utha liya. Aur is zor se zameen par patka ke uski haddiyan chakna choor ho gayi. Ye dekh kar ishkhiyaye lashkar par aysi haibat aur sar'seemgi cha gayi. ke  yazeedi lashkar ka dil ba'dil dahel gaya. Chunanche Hazrath Wahab Neeza hila hila kar yazeedi sormaon ku lalkar te aur jangh ki dawat dete the. 

           Magar in buz dilon me se kisi ki taab o himmat nahi padti thi. Aap ke muqhabile ke liye maidaan me nikalta. Idhar jaanab Wahab Shoukhe Shahadat me is Qadar wa'rafta ho rahe the. ke dam bhar ke liye qarar nahi tha. jab Aap ne dekha ke koi bhi mere muqabile ke liye maidaan me nahi nikalta to Aap khud hi dushmano ku lalkarte huwe bhuke sher ki tarha dushmano par hamla awar hogaye. Aur is zor ka mujahidana hamla kiya ke dushmano ki saffon ku darham barham karte huwe qalbe lashkar toak pahonch gaye. Aur apne neeze ki maar se bade bade bahadduron ko ched kar chilni bana dala. Yahan tak ke Aap ka neeza toot gaya. phir Aap ne biphar kar miyan se talwar nikali aur apni shamsheer Aab daar ki maar se bahot se zalimon ku kheere aur kankdi ki tarha kaat kar khabees ne nishana bandh kar Aap ke ghode ki peshani par aysa teer mara ke ghoda nidhal ho kar zameen par gir pada. Aur Aap piyada pa ho gaye. itneme Ibne Saad ne apne lashkar ku hukm diya ke iska muhasira karlo. Chunanche har taraf se  Ashkhiyane dhawa karke is bahaddur mujahid ko gher liya aur charon taraf se is tarha neze barsaye aur is tarha neeza o talwaar se lagaraar haml akarne lage. Aap lachar ho kar zameen par gir padhe. Aur e shaqi ne Aage badh kar Aap ka saar kat liya aur hazrath imaam ke samne phenk diya. Wahab ki Maa ne daudh kar apne bete ke sar ku apni god me utha liya. Aur intehayi pyaar o mohabbat ke saath pashani ku choom kar apne kalije se laga liya. Sher dil maa baar baar Apne mujahid aur shaheed bete ke saar ku bosa deti thi aur kehti thi ke ye mere supoot bete ye mera bahaddur bete khuda gawah hai ke Aaj tune mere doodh ka Haq Ada kar diya. ye beta tujhe mubarak ho khuda Aleem hai ke Aaj teri maa tujh se khush ho gayi phir maa ne apne  bete ka saar dulhan ki god me rakh diya aur kaha ke beti tujhe mubarak ho ke maidane mehshar me khuda ka munadi tujhe ek shaheed ki biwi kah kar pukarega. To us waqt tera saar faqar se Uncha ho jayega 
ke tu is mujahide jaabaz ki refeeqe zindagi hai. Jo tere bistare urusi se oth kar Aaya aur khuda ki rah me apna khoon ka khatra baha kar aur apne khoon me naha kar surkh posh dulha ban kar shahadat ki dulhan se ham'Aaghosh ho gaya. dulhan ne walihana josh o mohabbat ke saath apne sartaaj ke sar ku Apne seene se chimata liya. Magar uske gore gore gaal kale kale haseen baal ku khaak o khoon me lat'pat dekh kar uska kaleja phat gaya.shiddate gham se uska haal is qadar nidhal ho gayake garam garam Aansu ki dhar uske ruksaar par behne lagi aur ba'wajood zab tak ke ek cheekh nikal gayi aur zabane haal se usne shohar ke kate huwe sar se ye kaha ke. 

???? ? ??? ??? ?? ???? 
?? ????? ?? ??? ?? ????

Phir ek saar daha ke saath iska taire rooh parwaaz karke apne dulha ke saath Ham'Aaghosh ho gaya

?????? ?????? ????????? ???????? ?????????

Hazrath Hur Ki Jaan Baazi

                Karbala ke Un janisarane Ahle Baith me jinhone duniya ki daulath o izzath ku thokar maar kar apne azeez jaano ku Hazrath Imaam ke Qadmon par Qurbaan karke dono jahan me sarkhurui hasil ki. Unme Hur Bin Yazeed Riyahi ka naam nami bhi Qiyamat tak faramosh nahi kiya ja sakta.

               Hur Yazeedi lashkar me ek daste ke sipahi salaar ki haisiyat se khade the. magar jis waqht Ibne Saad ne apne lashkaron ku Hazrath Imaam ki taraf yalgar ka hukum diya to ek dam hur ke chehre par intehayi pareshani aur bekharari ke Aasaar namudar hogaye. Chehra zard ho gaya. Aur khauf o hiraas se Qadam dag magane lage. Hazrath Hur ke bhai janaab masab bin yazeed ne jab bhai ka ye haal dekha to hairaan ho kar kaha ke bhai jaan Aap to maidane kaar'zaar ke bahot purane  tajrube kaar shah sawar hain. maidane jangh Aap ke liye koi nayi cheez nahi. aap ne to isse pehle bade bade khooni manazir dekhen hain.. Magar Aaj Aap ka kay haal hai ? ke Aap par is qhadar wa'hshat o de'hshat sawar hai ke Aap intehayi pareshan o beqarar nazar Aa rahe hain Hur ne kaha mere pyare bhai mai o bahaddur nahi ke maidane jangh dekh kar ghabrajaon main to zarb o harb ku bacchon ka khel samajh ta hoon lekin Aaj ki jangh khuda gawah hai ke ye allah o rasool se jangh aur apni aqibat se ladai hai.is liye is jangh ke tasawwur hi se mere seene me sil laraz raha hai. aur mere jism ka rongta rongta laraz baramdaam ho raha hai. bhai ma'sab main ye dekh raha hoon ke ek taraf jannath ke khushrang phool khile huwe hain. aur ek taraf Aatishe jahannam shola'zan hai. Aur main is waqht jannat o jahannam ke darmiyaan me khada hoon.

           Hazrath Hur ne bhai ku ye jawab dekar Ibne Saad ku pukara Aur kaha ke kya waqi tu ibne Rasoollullah ku Qhatal kar dalega ? Ibne saad ne kaha haan behak sirf Imaam Hussain hi ku nahi balke my to gulshane nabuwwat ke ek ek phool ku masal dalonga. Aur Ahle baith ke ek ek bachche ku zabah karke dam dunga. Hazrath hur ne kaha ke kai tujhe Hazrath Imaam ki pesh ki Huwi masalihat ke sharten manzoor nahi?  Ibne saad ne chilakar kaha bilkul nahi. Ab to main Hazrath Imaam se jangh ke siwa khuch ke hna hi nahi hai. Ibne Saad ka ye sharat Aamez jawab sun kar hazrath Hur ke dil me ekdam haqqaniyat ke sekhdon chiragh roshan ho gaye.. Aur Aap ne tadap kar farmaya.. ke ye mardood tu kal Qayamat ke din khuda ke samne kai jawab dega? Aur Rasoole Khuda ku kai muh dikhayega? Khuda ki khasam Agar mere jism ke tukde tukde kar diye jayen jab bhi main ibne rasoollullah aur noor e chasme haidare karrar per talwar nahi utha sakta.. Hur ne ye kaha aur ek dam ghoda kuda kar Hazrath Imaam ki Khidmat me hazir ho gaya aur khadam boos ho kar arz karna laga ke ye jigar gosha e rasool o farzande batool main wahi rusiyah hoon jisne Aap ka rasta roka tha magar khuda ki khasam mujhe ye waham bhi nahi tha ke yahan tak naubat pahonchegi aur ye badbaqt ashkhiya Aap ka saar kaatne ke liye tayyar ho jayenge.. lekin behre haal my Ab tayab ho kar bargahe Aali me hazir ho gaya hoon lillah huzoor wala mere jurmon ku apne damane afu o karam me chupa kar ap mujhe ahle bait per jaan khurbaan karne ki ijazat marhamat farmayen.. Hazrath Imaam ne Hur ku Apne Qadmon se otha kar seene se laga liya aur ye basharat di ke main ne teri khata maaf kar di aur meri dua hai ke khudawande sattar o ghaffar bhi teri tauba ko qubool farmaye hur Hazrath Imaam ki zaban se ye muzhdaye jaan fiza sun kar bagh bagh hogaye. Aur jangh ki ijazath pa kar maidane jangh ki taraf rawana huwe aur bhoda chamka kar bijli ki tarha dushmanane ahle baith ki safon par khahre ilahi ban kar jhapte hur ke bhai masab ne ye dekha ke mera bhai neemate darain se sarfaraz aur doulat e konain se mala maal hogaya to iske dil me bhi haqqaniyat ka wal wala aur haq shanasi wa haq parasti ka jazba o hosh bedaar ho gaya aur o bhi ghoda daudaha kar bhai ki taraf badha yazeediyon ne ye samjh ke bhai se ladhne ke liye jaa raha hai lekin unki hairat ki koi inteha na rahi jab unhone ye dekha ke mas'ab janaab Hur se ye kehne laga ke mere bhai khuda tera bhala kare ke tu mere liye khizre raah ban gaya aur tune bahot badi hilakat se mujhe najaat dilayi mere bhai my abhi tere saath ahle baith ki azmat par apni jaan qurbaan karke kono jahan ki saltanate izzat ka sultaan banne ki tammanna rakhta hoon Hur ne khush ho kar apne bhai mas'ab ku gale se laga liya aur dono bhai yazeedi lashkar ke samne seena than ke joshe jihaad me bhare huwe khade ho gaye aur pehle hur ne maidaan me nikal kar rijz ka ye sher padha

Mai Hur Hoon Aur My Mehmaan Nawaaz Hoon
Mai Talwar si Tumhari Gardane Odha Dunga

Ibne Saad apne lashkar ke ek sipah salar yani Hur ki sherana Garajdaar Aawaz sun kar ghabra gaya aur usne bahut kuch soch bichar kar ek bahut hi nami pehalwan yani shaitan sift sifwan ku bheja ke Hur ku samjha bujha kar mere pass le Aa aur agar o na mane to uska saar kaat le Chunanche, Sifwan chala aur Hur ke paas Aa kar kehne laga ke Ye Hur ham teri Aqal o Nadani par waz karte the magar Aaj ham teri nadani par matam karte hain ke tune is lashkare jarrar se nikal kar aur yazeed ke giran khadar inam o ikram ku thukra kar un  chand be kas musafiron ka saath diya hai. Jinke toshe dano me roti ka ek tukda aur jin ki mashkhon me paani ka ek Qatra bhi nahi hai Afsos teri Aqal kahan mari gayi? Hur ne tadap kar jawab diya ke mardood mai tahir ko chod kar najis ku khubool kiya aur duniya e fani ke chand darham o dinar ke badle Aalame baqi ki anmol aur lazawal nematon ku bech dala ye zalimon tum me se koun nahi jaanta ke rahmate Aalam Sallallahu Alaihi O Sallam ne hazrath Imaam Hussain ku Apna phool Farmaya hai magar tum log gulshane risalat ke is phool ku masal kar pamal karne ke liye tayyar ho gaye ho lekin yaad rakho ke jab tak mere jism me khoon ka ek khatra bhi baqi hai main gulshane nabuwwat ke is phool per Aanch nahi Aane dunga main Yazeed ke inam o ikran ke khazano ku thokar maarta hoon mujhe to nalaine mustafa ku apne saar ka taaj banane ki tamanna hai tum darya e furat ke pani par naaz karte ho.Magar my saqi e kousar ke muqhaddas hathon se kousar o salsabeel ka jaam pine ka ummeed waar hoon..

"Sifwan" ne bahut kuch charb zabani se kaam liya magar us ne jab dekh liya ke Hazrath Hur sina Ahle baith ki mohabbath ka safeena ban chuka hai. Aur koi hirs aur lalach iske Qadam ku jadahe'Mustaqeem se bargashta nahi kar sakti to usme dhoke se janab Hur ke sine par ek teer maar Diya janab Hur teer kha kar zakhmi sher ki tarha sifwan par neze se hamla Aawar huwe aur neza ka ek Aysa bhar pur haath iske seene me mara ke sine ku chedhta huwa pusht ke paar hogaya aur isku ghode ke zain se neze par utha kar is zor se zameen par patka ke uski gardan toot gayi aur o fouran hi margaya sifwan ke 3 bhai jo bahut hi naamwar janghjo the, Apne bhai ko yun qatal hota dekh kar Aape se bahar ho gaye. aur pehle 2 bhai hur ke muqhabile par Aaye aur dono ne hur par ba ek waqt hamla kar diya magar Hur ne shamshire Aabdaar ki mujahidana maar so dono ka saar udha diya tisra bhai bhagh nikla lekin Hur ne ghoda chamka kar uska taqub kiya aur bhaghte huwe uski peet me aysa neeza mara ke seene se paar ho gaya aur o gashkh kha kar ghode se gir pad aur Hur ne shamsheer ki ek zarb se uska bhi kaam tamam kar diya sifwan aur uske 3no bhaiyon ku qhatal karke janab hur hazrath imaam ki qhidmat me hazir ho kar arz karne lage ke Ye Ibne Rasoollullah kai Aap mujh se razi hogaye? Hazrath Imaam ne farmaya ke  ??? \?? ?? Haan beshak main tujh se khush hoon aur tujhe ye khushkhabri deta hoon ke tu jahannam se Aazad hai janab Hur ye basharat sun kar farte musarrat se jhoon uthe aur phir maidan me Aakar intehayi jaan baazi se ladhne lage aur bahut se zalimon ku Qhatal karke phir imaam ke samne Aaye aur sukhi zuban dikha kar arz karne lage ke.. Ye Imaam ab tishna kani had se badh chuki hai aur pyaas ki shiddat na Qabile bardasht ho chuki hai Imaam Ali Maqham ne Farmaya ke Hur Mere Azeez Hur zara der aur sabar karo aur rahe haq me apna sar kata kar Huzoor Saqi E Kousar ke muqhaddas hathon se jaame kousar pi kar sairab ho jao hur ye khush khabri sun kar phir maidan jangh me jaame shahadat ki tamanna me sar faroshana jangh karne lage aur lashkar e A'ada  per Aap ki shujaat ka Aysa sikka baith gaya ke bade bade bahduron ke qadam okhad gaye lekin Ibne Saad ne jab apne lashkariyon ku dant ke tum log ek sipahi ku Qatal nahi kar sakte? To bahut se saffakhon ne Aap ka mahasira kar liya aur Aap par is Qadar teer barsane lage ke Aap ka ghoda zakhmon se choor ho kar zameen par gir pada aur Aap paidal ho kar ek jame Ghafeer se tanha ladhne lage charon taraf se teeron ke menah baras raha hai.Aur bahut se piyadah aur sawar neza o talwar se Aap par war kar rahe hain magar Aap Azm o isteqhamat ka kohe giran baar bane Huwe maidan me date rahe yahan atak ke ek saffak zalim ne Aap per aysa neeza chalaya ke Aap uske kaari zakham ki taab na la sake aur ek janisaar wafadar ki tarha dade shuja'at de kar jigar gosha e rasool o farzande batool ki nusrat o himayat me apni jaan qurban karke shahadat se sarfaraz ho gaye imaam ali maqham hur ku maidane jangh se otha kar laye aur apne zanu e aqdas par unka sar rakh kar apne damane athar se unke chehre ke gird o ghubar ku saaf karne lage hur me abhi zara si jaan baqhi thi Aankhen kholden aur jab ye dekha ke mera saar farzande rasool ki god me hai. to apne muqhaddar ki khush baqti par naaz karte huwe firdose bareen ku rawan ho gaye ?????? ?????? ????????? ???????? ?????????.... 
Hazrath Imaam Hur ki janisari o Wafadari ku yaad karke rote the aur yun farmate jate the

Hur Bin Yazeed Riyahi Bahut Hi Achcha Hur Hai,
Jo Neezon Ke Jamghate Me Bhi Sabir Raha...

Aur Hur Kitna Achcha Hai Ke Usne Hussain Ku Pukara
Aur Subh ke Waqht Usne Apni Jaan Ki Saqawat Kardi...

          Hazrath Hur ki Shahadat ke baad unke bhai mus'ab aur Hur ke farzand ali bin hur aur hur ke ghulam namrah ye 3no bhi intehayi jaan baazi ke saath yazidi lashkar se ladhte huwe jaame shahadat se seraab ho gaye!

         Algharaz isi tarha ahle baith ke tamam rufuqha wa janisaron noubat ba naubat midane jangh dade shuja'at dekar apni jaane Qurbaan kar chuke aur 50 se zaida janisarane ahle bait shaheed ho chuke ab sirf khandane ahle bait baaqhi rah gaye hain aur dushmanane khoon khawar inhi ke khoon ke pyase hain aur jawanan e ahle baith bhi go-mutthi bhar hain magar yazidiyon ke lashkar jarrar ke samne Azm-o-Isteqhamat na-qabile taskheer pahad ban kar date huwe hain. Har jawan shouqe shahadat me imaam ki nusrat o himayat ke liye parwanawar nisaar hone par tayyar hain. na kisi ka housla past hai na koi jangh se farar ka khawstgaar hai. har ek ki yahi tamanna aur har ek ka yahi israr tha ke pehle janisari ka inku mouqa diya jaye.

         Chunanche, Isme koi shubha nahi ke ahle baith e nubuwwath ke noujawanon ne khake karbala ke safhath par apne khoon se shuja'at o janisari ke jo nukhush banaye hain. Qiyamath tak gardishe lail o nahar usku mita nahi sakti khandan e asadullah ghalib ke sherane haq me apne mujahidana hamlon se karbala ki zameen ku zeer o zabar kar diya aur unki asadullahi talwaron ki zarb se bade bade bahadduron ke seeno me dil larazne lage hashmi jawano ne karbala ki tish-na-zameen ku dushmano ke khoon se seraab kar diya.. inki teghe be-nayam dushmano ke liye maut ka paigham aur inka neeza-o-satan zalimon ke haq me Qaza ka farman the. jidhar rukh karte dushmano ki safen darham barham ho jaten aur ye Qalbe lashkar tak pahonch kar istarha dushmano ka Qatle Aam karte the ke goya sawar maqtalon ke samdar me tair raha hai. isi tarha har hashmi jawan apni jaan bazi aur soja'at ke johar dikha kar aur sainkhdon bad-batilon ku mauth ke ghaat utar kar imaam ali maqham par apni jaan qurbaan kar ke shaheed hota raha yazeedi ye samajhte rahe ke hamne inhe maar dala aur ye log mar gaye lekin zameen e karbala ka zarra zarra aur sari khudayi pukar rahi thi aur khud khuda ye elaan farmata raha hai ke...

        Yani kabhi koi Apne dil me ye khiyal bhi na laye ke ye log mar gaye. ye murda nahi hain balke ye log "zinda" hain. Subhanallah kai khoob farmaya kisine


Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah
Meri Chashme Aalam Se Chup Jaane Wale.


          Yun to khandane ahle baith ke har ek jawaan ne is haq o batil ke azeem murikhe me intehayi jazbaye imaani wa joshe islami ke saath apni qhimti jaan ku Qurbaan karke. Dono jahan ki sarkhuruyi hasil ki Aur aisi sarfuroshi wa jaan baazi ke saath dushmanane deen ka muqabila kiya ke karbala ki zameen per zarra zarra tahseen o afreen ka nara buland karne laga magar is me chand sohda e ahle baith ki shahadaton ke tafsili manazir ki bhi chand jhalkiyan apke samne likh dete hain take Aap bhi isku padh kar apni islami ragon ke Qatrate khoon me jazba e Imaani ki Hararath mehsoos karne lage.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »