Zameen E Karbala Ka Khooni Manzar Part No - 04

History Of Karbala

Hazrate Imaam Kufa Rawana Huwe

                Hazrath Muslim ka Khath Mulhaza farmane ke Baad Kufiyoun ki dawat khubool farmalene me Tashwish o Tarad'dud ki koi Baat hi na thi aur 40,000 Insano ke halkhaye iradat me dakhil hojane aur baiat kar lene ke baad kisi khisam ke khouf o hiraas ka koi sawal hi nahi tha.aur kufe ke "Shiane Ali" ke ghaddar aur bewafayi ka bazahir koi shuba tak na tha. Isliye Hazrath Imaam ne safare kufa ka Azm farmaliya aur 3 Zil Haj 60 Sane Hijri ku Apne Ahal o Ayal aur Azizoun aur rafikhon aur ghulamoun ku saath le kar kul 82 Aadmiyoun ke khafile salar ban kar Aap Makka Mukarrama se kufe ke liye rawana Hogaye.Is Muqaddas khafile me 70 ya 72 Sawar aur Baaqi payada'pa the.

              Isme koi shubah nahi ke Hazrath Muslim ke khath se pura pura itminaan ho chuka tha magar phir bhi Aakabire sahaba Aap ku Israar Ke Sath Is Safar se rook rahe the khususan Hazrath Abdullah Bin Abbas,Hazrath Abdulla Bin Umar,Hazrath Jabir,Hazrath Abu Sa'id Khudri, Hazrath Abu Waqad Keshi, To Aap ku is Safar se rook ne ke liye intahi Israar e Baleegh kar rahe the aur ye sab ke sab Aakhir tak yani koshish karte rahe ke Aap kufa Tashreef  Na Lejayen. Lekin Hazrath Imam Ali Maqham in Muqlis Sahaba ki Istedwa Qubul Farmane se majboor the. Kyunke Aap ku ye Khiyal tha ke 40,000 Aqidat mandon ki Muqlisana iltijaoun ku jo Deen ki Himayat o Paas-Dari ke jazbaat se bhari huwi hain Thukra dena Ahle Baith Nabuwath ke Buland Aqlakh ke Shayane Shaan Nahi Hai.Phir Hazrath Muslim Bin Aqeel Ke Dawat Name ku Rad karna Aur Unki Pur khulos istedwa ku Be'Iltefati ki Nazar se dekhna kabhi hargiz hargiz Imaam Ali Maqham ku gawara nahi ho sakta tha.Isliye Hazrath Imaam Ne Hazraath Sahaba e Karam ki istedwa ku khubool farmane se mouzirat farma di aur sahaba-e-karam ne rote huwe Aap ku Ruksat farmaya.Haqikhat ye hai ke sahaba-e-karam ku kufiyon ki Bad-Ohdi ka Tajruba tha.Isliye O Unki Taraf Se Hargiz Mutmain Na the aur hazrath Abdullah Bin Abbas Radiyallahu Tala Anhu Ne to yahan tak farmaya ke Aye Imaam Agar Aap Kisi Ki Baat Nahi Mante Aur Kufe Ke Safar Per Aap Ku Israar hi hai to kam se kam meri itni hi arz dasht khubool farma lijiye ke auraton aur bachon ku hamarah na le jayiye.Magar Aap is per bhi Razi Nahi Huwe Asal baat to ye hai ke taqdeer ka likha kuwa mitne wala nahi.bahuthi sach kaha hai kisi shayar ne ke 

                           Chaak Ko Taqdeer Ke Karna Nahi Mumkin Rafu
                           Sozan e Tadbeer Gar Sari Umer Seeti Rahay

             Imaam Ali Maqham Ki Taqdeer Me To Ghurbat o Musafirat Aur in tehayi bekasi ke Aalam me maidan e karbala ke andar shahadat likhi Huwi thi isliye bhala Aap Kufa kyun na tashreef lejata ? Aap ku to shahadat ki kashish kheenche liye ja rahi thi aur hazrath Imaam ka is waqt wahi Haal tha jo kisi ne kaha hai ke

                            Do Qadam Bhi Nahi Chalne Ki Hai Taqat Mujh Me
                            Ishq Khinche Liye Jata Hai My Kya Jata Hoon

             Behrehaal, Hazrath Imaam Apne 82 Insano ke Mukhtasar Khafile ke saath Kufa Rawana Hogaye is Muqaddas khafile me Ahle Baith e Nabuwaath ke Koun Koun Shehzade the ke inki fehrist bhi Aap ku bayan kar doon take Aap ku maloom hojaye ke qandane Nabuwwath ke kaise kaise Roshan sitare karbala ki zameen me ghuroob huwe aur kaise kaise Anmol laal o gohar is dashte karbala me madfoon huwe.

Karbala Jane Wale Ahle Baith

             Is safar me Hazrath Imaam Hussain Raziyallahu Tala Anhu ke 3 Farzand Hamrah The Hazrath Ali Ausat ka laqab Zainul Aabideen hai, Ye Hazrath Sahar Banu ke Batan se the. Inki Umar is Waqt 22 Saal ki thi Aur Bimar The Imaam Ali Maqham ke dusre Sahebzade Ali Akbar jo Umme Laila Binte Abi Marra ke Shikam se the Inki Umr 18 Baras ki thi.Ye Karbala me shahid Huwe. Imaam Ali Maqham ke teesre farzand ali asgar jinki walida bani quda'a me se the.Ye sheer khar Bachche the. Hazrath Imaam ki ek Sahebzadi Hazrath Sakina Bhi Saath then jin ki umr 7 baras ki thi aur inki walida ka banu rubab binte umraul khais se tha. Hazrath Imaam ki Do Bi Bi yan saath the, Ke ek Hazrath Sahar Banu Dosri Hazrath Ali Asgar ki walida Inke ilawa Hazrath Imaam Hasan Bin Ali Radiyallahu Tala Anhu ke 4 Naujawan Farzand Hazrath Khasim Bin Hasan, Hazrath Abdullah Bin Hasan Hazrath Umar Bin Hasan,Hazrath Abu Bakar Bin Hasan Bhi Imaam Ali Maqham ke hamrah the aur ye sab karbala me shaheed huwe.Aur Hazrath Moula e Kainaat Ali Murtuza Radiyallahu Tala Anha ke 5 Farzand Hazrath Abbas Bin Ali, Hazrath Usman Bin Ali Hazrath Abdullah Bin Ali,Hazrath Mohammad Bin Ali Hazrath Jafar Bin Ali Bhi Hamrah The Aur Sab Jaam e Shahadat se Serab Huwe Aur Hazrath Aqeel Bin Abi Talib ke Oulaad Me Hazrath Muslim Bin Aqeel to Apne Do Farzandon Muhammad Aur Ibrahim Ke saath kufa hi me shaheed ho chuke the lekin 3 Farzand Hazrath Abdullah Bin Aqeel Hazrath Abdur Rahaman Bin Aqeel, Hazrath Jafar Bin Aqeel,Hazrath Muslim Bin Aqeel Karbala me Hazir Ho Kar Shaheed Huwe Isi Tarha Hazrath Imaam ke 2 Bhanje Hazrath Muhammad Bin Abdullah Aur Hazrath Aoun Bin Abdullah Jo Imaam Ali Maqham ki Haqikhi Behan Hazrath Zainab Binte Ali ke Sahebzadegaan hain. Karbala me ye dono bhi shahadat se sarfaraz huwe Auraton me se Hazrath Imaam Ki Behan Hazrath Zainab Aur Dusre Shohday Ahle baith ki biwiyan bhi hamrah then. Ahle Baith me se 17 Hazraath Imaam Ali Maqham ke sath rudbaye shahadath se mushrraf huwe aur Hazrath Imaam Zainul Aabideen Beemar Aur Doosre kam umr shehzadegan Maslan Umar Bin Hasan Aur Mohammed Bin Umar Bin Ali Khaidi Banaye Gaye.Radiyallahu Tala Anhu (Sawane Karbala)

Hazrath Imaam Ali Maqham Bahut Tezi ke Saath Safar Farma Rahe The jab Aap ek Mashoor Manzil "Zate Arkh" Per pahounche to Basheer Bin "Ghalib Asdi" Se Mulaqaat Huwi jo Kufa se Makka Mukarrama Ja Rahe The. Hazrath Imaam Ne Unse Kufa Ka Haal Daryaft Farmaya To Unhone Jawab Diya ke Ahle Kufa ke Dil To Aap ke saath hain magar Unki Talware Bani Ummaya ke Sath Hain.Aur khuda jo chahta hai karta hai Aur Aage badhe to mashoor Shayar "Farzookh" Se, Mulaqhat Huwi Usne Bhi yahi jawab diya Behre Haal Hazrath Imaam Ne Apna Safar Jari Rakha.Yahan Tak ke "Batnur Rumma" Ke Maqam par ubaidullah Bin Mat'i Se Mulaqhat huwi ye Ahle Baith ke Bahut hi Janisaar Aur Shaidayi The Unhone Hazrath imaam ku Intehai Israar ke saath is Safar Se Mana Kiya Aur Arz Kiya ke Aap Ahle Kufa per Hargiz Hargiz Itemaad Na Farmayen. Kufa Me Abtak Yazeed Ka Governer Moujood Hai Aur Wahan Aap Ka Tashreef Lejana Khat re Se Khali Nahi hai. Magar Imaam Ali Maqham ne inku Bhi Wahi jawab diya jo Makka Mukarrama me Hazrate Sahaba e karam ku diya tha. Aur Ye farmakar Aap Aage badh gaye. Hami wahi Musibat Pahounch sakti hai jo Allah Tala ne hamare liye Muqhaddar Farmadi hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »