Bevakuf Budiya


Makka E Mukarrama me ek budiya raita binte saad bin tamim kurshiya thi. jis ke mizaj me vaham aur akhal me futur tha vo rozana dopahar tak mehnath kar ke suth kata karti thi aur dopahar ke baad vo kate huve surath ko tod kar raiza raiza kar dalti thi aur apni bandiyon se bhi tudvati thi, yehi rozana ka uss ka mamul tha.

      Jo log Allah Tala ke naam ki khasame kar ya uss ke naam par logon se koi ahad kar ke apni khasmo aur ahadon ko tod diya karte hain un logon ko allah tala ne uss aurath se tashbih dete huve kasmo aur ahadon ke todne se mana farmaya hai chunanche, irshad farmaya ki

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur allah ka ahad pura karo jab kol bandho aur khasame mazbuth kar ke na todo aur tum allah ko apne upar zamin kar chuke ho beshak allah tumhare kaam janta hai aur uss aurath ki tarha na ho jis ne apna sut mazbuti ke baad reza reza kar ke tod diya.

Darse Hidayath:

              Har khasm ki baad ahadi aur ahad shikni mamnua aur shariath me gunah hai isi tarha allah tala ki khasam kha kar bila zarurath iss ko todna bhi zayiz nahi. allah tala ne irshad farmaya hai ki. Aufu bil ukhudi yani apne ahadon aur muhadon ko pura karo aur farmaya ki "vahfazaon aymanakum" yani apni kasamon ki hifazath karo. han, al-batta agar kisi khilafe sharaa baath ki khasam kha li ho to hargiz iss khasam par ade nahi rahna chahiye balki lazim hai ki iss khasam ko tod kar iss kaffara ada kare.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »