Ek shaqhs jo kuffare arab ke sardaron me se tha uss ke pas Huzur Alaihi Salatu Vassalam ne chand sahabaye kiram alaihi rizwan ko tablighe islam ke liye bheja. chunanche, in hazrath ne un ke pass pahunch kar allah tala aur uss ke rasool sallallahu alaihi o sallam ka paigham suna kar islam ki davath di to uss gustakh ne Aza rahe tamaskhur kaha ki allah hon hain? kaisa hai aur kahan hai? kai vo sone ka hai ya chani ka hai ya tambe ka? uss ka ye mutakabbirana aur gustakhana javab sun kar sahabaye kiram alaihi rizwan ke rongte khade ho gaye aur in hazarath ne bargahe nabuvvat sallallah alaihi o sallam me vapas hazir ho kar sara majra sunaya aur arz kiya ki ya rasoollullah iss shakhs se bad kar kafir aur bari tala ki shaan me gustakhi karne vala to ham logon ne dekha hi nahi huzur Alaihis Salam ne irshad farmaya ki tum log dobara uss ke pass jao. chunanche.
Ye hazrat dobara uss ke pass pahunche, to uss khabis ne pahale se bhi zaida gustakhana alfaz zaban se nikale. sahabaye kiram alaihis salam uss ki gustakhiyon aur baad zabaniyon se ranjida ho kar darbare nabuvvath me vapas palat aye to huzur sallallahu alaihi o sallam ne tisri martaba in sahabaye kiram alaihi rizwan ko uss ke pass bheja jahan ye log pahunch kar uss ko davate islam dene lage aur vo gustakh in hazrat se jhagda karte huve bad zabani aur gali galoch par utar aya sahabaye kiram alaihis salam irshade nabavi ke mutabiq sabr karte rahe.
Isi doran me logon ne dekha ki nagahan ek badli ayi aur uss badli me achanak garaj aur chamak paida huyi fir ek dam nihayath hi muhib garaz ke saath uss kafir par bijli giri jis se uss ki khopdi ud gayi aur vo lamha bhar me jal kar rakha ho gaya. ye manzar dekh kar sahabaye kiram alaihimur rizwan bargahe akdas me vapas aye to in hazrath ko dekhte hi rasoollullah sallallahu alaihi o sallam ne farmaya ki tum log jis gustakh ke yahan gaye the vo to jal kar raakh ho gaya! sahabaye kiram alaihis salam ne intihayi hairath va tazjjub se Arz kiya ki ya rasoollullah! Aap ko kaise aur kis tarha iss ki khabar ho gayi to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki Abhi Abhi mujh par ye Aayath nazil huyi hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur kadak bhejta hai to use dalta hai jis par chahe aur vo allah me jhagadte hote hain aur uss ki pakad sakht hai.
Darse Hidayath:
Bari Tala ki shan me iss tarha ki gustakhi karne valon ko barha azabe ilahi ne apni girifth me le kar halak kar dala lihaza khabardar! khabardar! uss mukhaddas janab me hargiz hargiz koi yesa lafz zaban se na nikalna chahiye jo shane uluhiyyath me be adabi karar paye. Aaj kal bahut se log bimariyon aur musibaton ke vakht khudavande tala ki shan me nashukri ke alfaz bol kar khudavande khuddus ki be adabi kar baitte rahen jis se un ka imaan bhi jata rahta hai aur vo dunya va akhirath me azab ke hakhdar ban jate hain.(Tauba Fazbillah)
Read More