Arabi me shahad ki mukhkhi ko "Nahal" kahte hain. Quran e Majid me Allah Tala ne ek suragh nazil farmayi jis ka naam surah nahal hai. Iss surah me shahad aur shahad ki makkhi ke fazayil aur iss ke favayid va manafe ka tazkira farmaya hai, jo khabile zikr hai aur dar haqhiqhat ye makkhiyan azayibate alam ki fehrist me ek bahut hi
1. Iss Mukkhi ke gharon yani chaton ka discipline aur nizame amal itna munazzam aur ba khaida hai goya ek tarakki yafta mulk ka "Nizame Saltanath " hai. Jo pure nizam va intizam ke saath nazme malukath chala raha hai jis me koi khalal aur fasad roo numa nahi hota.
2. Hazrate Balkhis lakhon ki tadad me ye makkhiyan iss tarha rahti hai ki in ka e badshaah hota hai jo jism aur khadar me tamam makkhiyon se bada hota hai. tamam makkhiyan usi ki khiyadat me safar aur khiyama karti hai iss badshah ko "Ya'Sub" kahte hai.
3. In ka "Ya'Sub" in makkhiyon ke liye taksim kar karta hai aur saab ko apni apni duty par laga kar kaam karata hai. chunanche, kuch makkhiyan makan banati hai jo surakhon ki shaaq me hota hai ye makkhiyan in surakhon ko itni khubsurati aur yaksaniyyath ke saath musaddas(6 Goshon vala) Shakal ka banati hai ki goya kisi mahir engineer ne parkar ki madad se in surakho ko banaya hai. Sab ki shakal bilkul yaksan aur ek jaisi saab ki lambayi chodayi aur gahrayi bilkul barabar hoti hai.
4. Kuch makkhiyan "Ya'Sub" ke hukum se ande bacche paida karne ka kaam anjam deti hai, Kuch shahad tayyar karti hai, Kuch mom Banati hai, Kuch pani lati hai, Kuch pahra deti rahi hai, majal nahi ki koi dusri makkhi in ke ghar me dakhil ho sake.
5. Ye makkhiyan falon fulon vaghaira ka ras chus chus kar lati hai aur shahad ke khazane me jama karti rahti hai aur falon fulon ki talash me jangalon aur maidano me senkdon mil alag alag door door tak chali jati hai magar ye apne chaton ko nahi bhulti hai aur bila taklluf kisi talash ke sidhe senkdon mil ki doori se apne chaton me pahunch jati hai.
6. Ye makkhiyan Mukhtalif rangon aur mukhtalif zayikon ka shad tayyar karti hai, kabhi surq, kabhi safed, kabhi siyah, kabhi zard, kabhi patla, kabhi gada,Mukhtalif mosimo me aur mukhtalif falon fulon ki badolath shahad ke mukhtalif rang aur zayikhe badalte rahte hain.
7. Ye Apne Chate kabhi darakhton par , kabhi pahadon par, kabhi gharon me kabhi divaron ke surakhon me, kabhi zamin ke andar banaya karti hai aur har jagah yaksan discipline aur nizam ke saath in ka karkhana chalta rahata hai.
8. Nafarman aur baghi makkhiyon ko in ka "Ya'Sub" munasib sajayen bhi deta hai yaha tak ki baaz ko khatal bhi karva deta hai aur sab ko apne kantrol me rakhta hai. kabhi koi shahad ki makkhi kisi najasath par nahi bait sakti aur agar koi kabhi bait jaye to in ka badshaah "Ya'Sub" uss ko sakht saza de kar chatte se nikal deta hai.
Quran e Majid me iss Shahad ki makkhiyon ke masayil ka khutba padte huve irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur tumhare raab ne shahad ki makkhi ko ilham kiya ki pahadon me ghar bana aur darakhton me aur chaton me fir har khisam ke fal me se kha aur apne raab ki rahen chal ki tere liye narm va asan hai, iss ke pet se ek pine ki chiz rang bi rang nikalti hai jis me logon ki tandurusti hai beshak iss me nishani hai dhain karne valon ko.
Darse Hidayath
Allah Tala ne Shahad ko tamam bimariyon ke liye shifa farmaya hai Chunanche, Baaz amraz me tanha shahad se shifa hoasil hoti hai aur baaz amraz me shahad ke saath dusri davaon ko mila kar bimariyon ka ilaz karte hain jaisa ki mazuno aur zavarishon aur tarha tarha ke sharbaton ke zariye tamam bimariyon ka ila kiya jata hai aur in saab davaon me shahad shamil kiya jata hai isi tarha sikanjbin me bhi shahad dali jati hai jo pet ke amraz ke liye behad mufid hai. bahar haal har musalman ko ye imaan rakhna chahiye ke shahad me shifa hai iss liye ki Quran e Majid me Allah Tala ne shahad ke bare me irshad farmaya ki "Feehi Shifaaullinnasi" Yani iss me logon ke liye shifa hai.Vallahu Tala Anam Fakath.