Tufan Barpa Karne Vala Tannur


Yun To Allah Tala ne Hazrate Nooh Alaihis Salam ko doso(200) baras pahale hi bazariya vahi mutalla kar diya tha ki Aap ki khom tufan me ghark kar di jayegi. magar tufan ane ki nishani ye mukharrar farma di thi ki Aap ke ghar ke tannur se pani ubalna shuru hoga. Chunanche, patthar ke iss tannur se ek din subaha ke vaqht pani ubalna shuru ho gaya aur Aap ne kashti par janvaron aur insano ko suvar karana shuru kar diya fir zor dar barish hone lagi jo musalsal chalis(40) din aur chalis raath musladhar barsati rahi aur zamin bhi ja-baja shak ho gayi aur pani ke chashme fut kar bahane lage. iss tarha barish aur zamin se nikalne vale paniyon se yesa tufan Aa gaya ki 40 40 ghaz unche pahadon ki chotiyan bhi doob gayi. Chunanche, irshade khudavandi hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Yahan tak ki jab hamara hukum aya aur tannur ubla ham ne farmaya kashti me suvar kar le har jism me se ek joda nar va mada aur jin par bath pad chuki hai un ke siva apne ghar valon aur baqhi musalmano ko aur uss ke saath musalman na the magar thode.

            Aur asmano zamin ke pani ki firavani aur tugyani ka bayan farmate huve irshade rabbani huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  To ham ne asman ke darvaze khol diye zor ke bahte pani se aur zamin chashme kar ke baha di to dono pani mil gaye uss mikdar par jo mukhaddar thi.

          Yani tufan Aa gaya aur sari dunya gharkh ho gayi.



       Tufan kitna zordar tha aur tufani sailab ki mozon ki kai kaifiyyath thi? iss ki manzar kashi Qurane Majid ne in lafzon me farmayi hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur vo unhen liye ja rahi hai yesi mojon me jaise pahad.


         Hazrate Nooh Alaihis Salam kashti par suvar ho gaya aur kashti tufani mojon ke thapedon se takrati huvi barabar chali ja rahi thi yahan tak ki salamati ke saath kohe judi par pahunch kar tahar gayi. kashti par suvar hote vaqht hazrate nooh alaihis salam ne ye dua padi thi ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Allah ke naam par iss ka chalna aur iss ka taharna beshak mera rab zarur bakshne vala meharban hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »