Jangh E Badar Ki Barish


              Jangh E Badar ka mufassal haal to iss kitab "Siratul Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam" me mukammal likh huva hai. yahan ham  jangh e badar me nusrate ilahi ne barish ki surath me jo tajalli farmayi jis me maidane jangh ka naksha hi badal gaya, iss ka ham ek jalva dikha rahe hain.

              vakhiya ye huva ki rasoole Akram Sallallahu Alaihi O Sallam 313 Sahaba e Kiram ki jamath ko hamrah le kar makhame badar me tashrif le gaye aur badar ke kharib pahunch kar madine ki janib vale rukh "Adavattuddunya" par khaimazan ho gaye aur mushrikin age bade to badar pahunch kar madine se door makka ki janib vale "Udvatul Kasva" par utare aur mahje jangh ka naksha iss tarha bana ki mushrikin aur musalman bilkul amne samne the magar musalmano ka mahaze jangh iss khadar raitila tha ki insano aur ghodon dono ke khadam reth me dhase ja rahe the aur vahan chalna firna dushvar tha aur mushrikin ka muhaje jangh Bilkul hamvar aur pukhta farsh ki tarha tha. gharz dushman tadad me 3 gune se zaida, samane jangh se puri tarha mukammal, rasal va rasayil me har tarha mutmayin the. fir mazid barAan in ka mahaze jangh bhi apne mahale vukua ke lihaz se nihayath umda tha. in sahulaton ke ilava pani ke saab kuven bhi dushmano hi ke khabze me the iss liye musalmano ko pani ki behad taklif thi, khud pine ke liye kahan se pani layen? janvaron ko kaise sairab karen? wazu aur gusul ki kai surath ho? gharaz sahaba e kiram intihayi fikarmand aur pareshaan the. iss moka par shaitan ne musalmano ke dilon me vasvasa dal diya ki ye musalmano! tum guman karte ho ki tum haq par ho aur tum me allah azzawajal ka rasool bhi maujud hai aur tum allah vale ho aur haal ye hai ki mushrikin pani par khabiz hai aur tum bighair wazu va ghusul ke namazen padte ho aur tum aur tumhare janvar pyas se be taab ho rahe hain.

          Iss mokha par nagahan nusrate asmani ne iss tarha jalva samani farmayi ki jordar barish ho gayi jis ne musalmano ke liye retili zamin ko jama kar pukhta farsh ki tarha hamvar bana diya aur nashoib ki vajah se hoz numa gadon me pani ka zakhira muhayya kar diya aur dushmano ki zamin ko khichda vali dal-dal bana diya jis par kafiron ka chalna firna dushwar ho gaya aur musalman in pani ke zakhiron ki vajah se kuvon se be niyaz ho gaye aur musalmano ke dilon se shaitani vasvasa door ho gaya aur log mutmayin ho gaye.

        Allah Tala ne Quran e Majid me iss ajibo gharib barish ki manzar kashi in alfaz me farmayi hai ki.


    Tarjuma e Kanjul Imaan

                      Aur asman se tum par pani utara ki tumhen isse suthra kar de aur shaitan ki napaak tum se door farma de aur tumhare dilon ki tars bandhe aur iss se tumhare khadam jama de.

             Iss ayath me allah tala ne badar me iss nagahani barish ke char faide bayan farmaye hain:

  1.  Taki jo be wazu aur be ghusl ho vo wazu aur ghusul kar ke pako saaf aur suthre ho jayen.

  2.  Musalmano ke dilon se shaitani vasvase door ho jayen

  3.  Musalmano ke dino ko taras mil jaye ki ham haq par hain aur allah tala zarur hamari madad                farmayega.

  4.  Mahaze jangh ki retili zamin iss khabil ho jaye ki iss par khadam jam sake al gharaz jange badar ki ye barish musalmano ke liye barane rahamath aur kuffar ke liye samane zahamath ban gayi.

Read More.

1.Darbare Dawood Alaihis Salam Me Ek Ajib Mukhadma
2.Hazrate Fathima Raziyallahu Tala Anhu Ke 3 Roze
3.Fateh Makka Ki Pesh Goyi
4.Fula Baagh Minton Me Tarazz
5.Hazrate Isa Alaihis Salam Ke 3 Muballighin

Darse Hidayath

             Jange Badar me musalmano ko jin mushkil halath ka samna tha zahir hai ki akhle insani alame asbab par nazar karte huve iss ke siva aur kai faisla kar sakti thi ki vo iss jangh ko tal den. magar sadikhul imaan musalmano ne apne rasool ki marzi pa kar har khisam ki be saro samani ke bawajud haq va batil ki marikha arayi ke liye valihana aur fida karana jazbath ke saath khuda ko pesh kar diya aur nihayath sabith khadami aur ulul azmi ke saath maidane jangh me khud pade to allah tala ne in musalmano ki kis kis tarha imdad va nusrath farmayi, iss par ek nazar dal kar khudavande khudds ke fazle azim ki jalva samaniyon ka nazara kijiye aur ye dekhiye ki allah tala ne iss jangh me kis kis tarha musalmano ki madad farmayi. 

   1.  Musalmano ki nigah me dushmano ki tadad asal tadad se kam nazar ayi taki musalman marub na ho aur mushrikin ki nazron me musalman mutthi bhar nazar ayen taki vo jangh se ji na churayen aur haq va batil ki jangh tal na jaye.

   2.  Aur ek vaqht me musalman mushrikin ki nazar me dugane nazar aye taki mushrikin musalmano se shikasth kha jayen.(Ale Imraan)

   3.  Pahale musalmano ki madad ke liye ek hazar firishte bheje gaye. fir farishton ki tadad bada kar tin hazar kar di gayi. fir farishton ki tadad 5 hazar ho gayi(Ale Imraan)

   4.  Musalmano par yen marikhe ke vaqht thodi der ke liye gunudgi aur nind tari kar di gayi jis ke chand minute baad in ki bedari ne in me ek nayi tazgi aur nayi rooh paida kar di. (Anfaal)

   5.  Asman se pani barasa kar musalmano ke liye raitili zamin ko pukhta zamin ki tarha bana diya aur mushrikin ke mahaze jangh ki zamin ko kichad aur fisalne vali dal dal bana diya.(Anfaal)

   6.  Natijaye jangh ye huva ki zara der me mushrikin ke bade bade nami girami pahalvan aur janghju shahsuvar mare gaye. Chunanche, 70 Mushrikin khatal huve aur 70 giriftar ho kar kaidi banaye gaye aur mushrikin ka lashkar apna sara saman chod kar maidane jangh se bhag nikala aur ye sara saman musalmano ko male ghanimath me mil gaya.

   7.  Musalman Agarche khudavande khuddus ki mazkura vala imdad aur uss ke fazal se fatahyab huve, taham iss jangh me chodah mujahidine islam ne bhi jame shahadath nosh kiya.

            Ye vaqhiya hame mutanabbeh kar raha hai ki agar musalman khuda par bharosa kar ke haq va batil ki jangh me sabith khadami aur pa mardi ke saath date rahe to tadad ki kami aur be saro samani ke baad wajud zarur khuda ki madad utar padegi aur musalmano ko fatah nasib hogi. ye rabbul izzath ke fazalo karam ka vo dastur hai ki jis me insha allah tala khiyamath tak koi tabdili nahi hogi. Bas sharth ye hai musalman na badal jayen, aur in ke islami khasayil va kirdar me koi tabdili na ho. varna khuda ka dastur to na badala hai na kabhi badlega uss ka vada hai ki
                             Yani hargiz hargiz khuda ke dastoor me koi raddo badal nahi hoga.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »