Hazrate Isa Alaihis Salam ke 12 "Havari" jo Aap par imaan laa kar aur apne apne islam ka Aylan kar ke apne tan man dhan se Hazrate Isa Alaihis Salam ki nusrath va himayath ke liye har vaqth aur har dam kamarbarasth rahe, Ye kon log the? aur in logon ko "Havari" ka lakhab kuin aur kis mana ke lihaza se diya gaya?
To iss bare me sahibe tafsire jamal ne farmaya ki "Havari" ka lafz "Hur" se mushtakh hai jis ke mana safedi ke hain Chun ki in logon ke kapde nihayath safed aur saaf the aur in ke khulub aur niyyaten bhi safayi suthrayi me bahut buland makham rakhti thi iss bina par in logon ko "Havari" kahane lage aur Baaz mufassirin ka khol hai ki chunki ye log rizkhe halal talab karne ke liye dhobi ka pesha ikhtiyar kar ke kapdon ki ghulayi karte the iss liye ye log "Havari" kahlaye aur ek khol ye bhi hai ki ye saab log shaahi khandan se the aur bahut hi saaf aur safed kapde pahante the iss liye log in ko Havari kahne lage. Hazrate Isa Alaihis Salam Ke Pass ek piyala tha jis me Aap khana khaya karte the vo piyala kabhi khane se khali nahi hota tha. Kisi ne badshaah ko iss ki ittila de di to uss ne Aap ko darbar me talab kar ke pucha ki Aap kon hai? To Aap ne Farmaya ki main Isa Bin Maryam khuda ka banda aur uss ka Rasool Hun. Vo Badshaah Aap ki zath aur Aap ke Mojizath se mutassir ho kar Aap par imaan laya aur saltanath ka takhto taj chod kar apne tamam Akhrib ke saath Aap ki Khidmath me rahane laga. chunki Shahi Khandan Bahuth hi Safed posh tha. Iss liye ye saab "Havari" ke lakhab se mashhur ho gaya aur ek khol ye bhi hai ki ye safed posh macheron ki ek zamaath thi jo machliyon ka shikar kiya karte the, Hazrate Isa Alaihis Salam in logon ke pass tashrif le gaye aur farmaya ki tum log machliyon ka shikar karte ho agar tum log meri pairvi karne par kamarbasth ho jao to tum log admiyon ka shikar kar ke un ko hayate javedani se sarfaraz karne lagoge. Un logon ne Aap se mojiza talab kiya to uss vaqht "Shamun" Nami machli ke shikari ne darya me jaal dal rakha tha magar sari raath guzar jane ke bavazud ek machli bhi jal me nahi ayi to Aap ne farmaya ki Aab tum jal darya me dalo. Chunanche, jaise hi us ne jaal ko darya me dala lamha bhar me itni machliyan jaal me fas gayi ki jaal ko kashti vale nahi utha sake. Chunanche, do kashtiyon ki madad se jal uthaya gaya aur dono kashtiyan machliyon se bhar gayi. Ye mojiza dekh kar dono kashti vale jin ki tadad barha(12) thi saab kalima pad kar musalman ho gaye. in hi logon ka lakhab "Havari" hai.
Aur baaz ulama ka kol hai ki barha admi hazrate isa alaihis salam par imaan laye aur in logon ke imaane kamil aur husne niyyath ki biya par in logon ko ye karamath mil gayi ki jaab bhi in logon ko bhuk lagti to ye log kahte ki ya rasoollullah! ham ko bhuk lagi hai, to Hazrate Isa Alaihis Salam zamin par haath maar dete to zamin se do rotiyan nikal kar in logon ke haton me pahunch jaya karti thi aur jaab ye log pays se faryad kiya karte the to hazrate isa alaihis salam zamin par haath mar diya karte aur nihayath shiri aur thanda pani in logon ko mil jaya karta tha isi tarha ye log khate pite the. ek din in logon ne hazrate isa alaihis salam se pucha ki ye rasoollullah! Ham momino me saab se afzal kon hai? To Aap ne farmaya ki jo apne haath ki kamayi se rozi hasil kar ke dikhaye. Ye sun kar in 12 Hazrat ne rizkhe halal ke liye dhobi ka pesha ikhtiyar kar liya chunki ye log kapdon ko dho kar safed karte the iss liye "Havari" ke lakhab se pukare jane lage.
Aur ek khol ye bhi hai ki Hazrate Isa Alaihis Salam ko in ki valida ne ek rangrez ke haan mulazim rakhvadiya tha. ek din rangrez mukhtalif kapdon ko nishan laga kar chand rangon ko rangne ke liye Aap ke sipurd kar ke kahin bahar chala gaya. Aap ne in saab kapdon ko ek hi rang ke bartan me dal diya. rangrez ne ghabra kar kaha ki Aap ne saab kapdon ko ek hi rang ka kar diya. Halanki main ne nishan laga kar mukhtalif rangon ka rangne ke liye kah diya tha. Aap ne farmaya ki ye kapdon! Tum Allah Tala ke hukum se unhi rangon ke ho jao, jin rangon ka ye chahta tha. Chunanche, ek hi bartan me se lal, sabz, pila, jin jin kapdon ko rangrez jis jis rang ka chahath tha vo kapda usi rang ka ho kar nikalne laga. Aap ka ye mojiza dekh kar tamam hajirin jo safed posh the aur jin ki tadad 12 thi, saab imaan laye yehi log "havari" kahlane lage.
Hazrate Imaam Kafal Alaihi Rahamath ne farmaya ki mumkin hai ki in barha havariyon me kuch log badshaa ho aur kuch machere hon aur kuch dhobi ho aur kuch rangrez ho. Chunki ye hazrate isa alaihis salam ke mukhlis jaan nisar the aur in logon ke khulub aur niyyaten saaf thi iss bina par in 12 pazon aur nek nafson ko "havari" ka lakhabe muazzaz ata kiya gaya. kuinki "havari" mana mukhlis dost ke hain.
Bahar Haal Quran E Majid me havariyon ka zikr farmate huve Allah Tala ne irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Fir jab Isa ne un se kufr paya bola kon mere madadgar hote hain Allah ki taraf. Havariyon ne kaha ham dine khuda ke madadgar hain ham Allah par imaan laye aur Aur gavah ho jayen ki ham musalman hain.
Dusri jagah Quran e Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur jab main ne Havariyon ke dil me dala ki mujh par aur mere rasool par imaan lao, Bole ham imaan laye aur gavah rah ki ham musalmaan hain.
Read More:
1. Hazrate Isa Alaihis Salam Ke 3 Muballighin
2. Hazrate Isa Alaihis Salam Ki Pahali Takrir
3. Shajre Maryam Raziyallahu Tala Anhu Aur Nahare Jibrael Alaihis Salam
4. Darya Ki Mojon Se Maa Ki God Me
5. Hazrate Idris Alaihis Salam
Darse Hidayath:
Hazrate Isa Alaihis Salam ke Havari Agarche Tadad me sirf 12 the magar yahudiyon ke mukhable me Aap ki nusrath va himayath me jis pa mardi aur azam va istiklal ke saath date rahe uss se har musalman ko din ke muamle me sabith khadami ka sabakh milta hai.
Iss khism ke mukhlis Ahbab aur makhsus Jaan nisar ashab Allah Tala har nabi ko ata farmata hai. Chunanche, jange khandak ke din huzur Alaihis Salam ne farmaya ki har nabi ke "Havari" huve hain aur mere havari "Zuber" hain.
Aur hazrate Khatada ka Bayan hai ki Khuresh me 12 Sahaba e Kiram Huzur Alaihis Salam ke "Havari" hain Jin ke name nami ye hain.
- Hazrate Abu Bakkar
- Hazrate Umar
- Hazrate Usman
- Hazrate Ali
- Hazrate Hamza
- Hazrate Zafar
- Hazrate Abu Ubaida Bin Al Zarha
- Hazrate Usman Bin Maj'Un
- Hazrate Abdurrahaman Bin Aof
- Hazrate Saad Bin Abi Vakkas
- Hazrate Talha Bin Ubaidullah
- Hazrate Zuber Bin Al Avvam Raziyallahu Tala Anhu