Ek Tariqhi Munazara

Ye Namrood Aur Hazrate Ibrahim Khalilullah Alaihis Salam ka munazara hai jis ki rudad Quran e Majid me Mazkura hai.

Namrood Kon Tha?

            "Namrood" Bade Tantane ka Badshaah tha Saab se pahle iss ne apne sar par taje shaahi rakha aur khudayi ka dava kiya. Ye  valdujjina aur harami tha aur iss ki maa ne zina karaliya tha jis se namrood paida huva tha ki saltanath ka koi varis paida na goga to badshahath khatam ho jayegi. lekin ye harami ladka bada ho kar bahut ikhbaal mand huva aur bahuth bada badshaah ban gaya. Mashhur hai ki puri dunya ki badshaahi sirf char hi shakhson ko mili jin me se do momin the aur do kafir. Hazrate Suleman Alaihis Salam aur Hazrate Zulkharnain to sahibane imaan the aur namrood va bakht nasar ye dono kafir the. Namrood ne apni saltanath bhar me ye khanoon nafiz kar diya tha ki iss ne khurakh ki tamam chizon ko apni tahbil me le liya tha. Ye sirf un hi logon ko khuraq ka saman diya karta tha jo log iss ki khudayi ko tasallim karte the. Chunanche, ek martaba Hazrate Ibrahim Alaihis Sallam uss ke darbar me ghalla lene ke liye tashrif le gaye to uss khabis ne kaha ki pahle tum mujh ko khuda taslim karo jabhi me tum ko ghalla dunga Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ne bhare darbar me Aylan farma diya ki tu jhuda hai aur mai sirf ek khuda ka parastar hun jo  Vahada La Sharika Lahu hai ye sun kar namrood Aape se bahar ho gaya aur Aap ko darbar se nikal diya aur ek dana bhi nahi diya. Aap aur Aap e chand murtabiyin jo momin the bhuk ki shiddath se pareshan ho kar jaan balb ho gaye. uss vaqht Aap ek thela le kar ek tile ke pass tashrif le gaye aur thele me reth bhar kar laye aur khudavande khuddus se dua mangi to vo reth Aata ban gayi aur Aap ne uss ko apne muttabiyin ko khilaya aur khud bhi khaya. fir namrood ki dushmani iss had tak bad gayi ki uss ne Aap ko agar me dalva diya. magar vo agar Aap par gulzar ban gayi aur Aap salamathi ke saath uss agar se bahar nikal aya aur aylan namrud ko jhuta kah kar khudaye Vahadahu La Sharika Lahu ki tohid ka charcha karne lage. Namrood ne Aap ke kalima e haq se tang Aa kar ek din Aap ko apne darbar me bulaya aur hasbe zail mukalma ba surate munazara shuru kar diya.


Namrood

             Ye Ibrahim! Batao Tumhara rab kon hai jis ki ibadath ki tum logon ko davath de rahe ho? 

Hazrate Ibrahim Alaihis Salam

             Ye Namrood! Mera raab vohi hai jo logon ko zillath aur maarta hai.

Namrood

              Ye To main bhi kar sakta hun Chunanche, Uss vaqht uss ne do khaidiyon ko jel khane se darbar me bulvaya ek ko mauth ki saza ho chuki thi aur dusra riha ho chuka tha. Namrood ne fansi pani vale ko to chod diya aur be khusur ko fansi de di aur bola ki dekh lo ki jo murda tha main ne uss ko jila diya aur jo zinda tha main ne uss ko murda kar diya.

               Hazrate Ibrahim Alaihis Sallam ne samajh liya ki namrood bilkul hi ahmak aur nihayath hi ghamad admi hai jo "jilane aur marne" ka ye matlab samajh baitha, iss liye Aap ne uss ke samne ek dusri bahuth hi vazeh aur roshan dalil pesh farmayi chunanche, Aap ne irshad farmaya: Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Ye Namrood! mera raab vohi hai jo suraz jo mashriq se nikalta hai agar tu khuda hai to ek din suraz ko maghrib se nikaal de. 

             Hazrate Ibrahim Alaihis Salam iss munazare me fatehmand ho kar darbar se bahar tashrif laye aur tohide ilahi ka vaz Aylan farmana shuru kar diya. Quran e Majid ne iss munazare ki rudad in lafzon me bayan farmayi ki 
 Tarjuma e Kanzul Imaan

                    Ye Mahbub! Kai tum ne na dekha tha use jo ibrahim se jhagada uss ke raab ke bare me uss par ki Allah ne use badshaahi di jab ki ibrahim ne kaha ki mera raab vo hai ki jilata aur marta hai bola main zilata aur marta hun ibrahim ne farmaya to allah suraj ko lata hai purab(Mashrikh) se tu uss ko pachchim(Maghrib) se le Aa to hosh uda gaye kafir ke aur Allah rah nahi dikhata zalimo ko .

Read More

Darse Hidayath

 1.          Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Khuda Taala ki tohid ke Aylan par pahad ki tarha khayim rahe na namrood ki beshumar fozon se khayif huve, na uss ke zulmo zarb se marub huve balki jab uss zalim ne Aap ko Aag ke sholon me dalva diya uss vaqht bhi Aap ke paye azmo istikhilal me bal barabar laghjish nahi huyi aur Aap barabar naraye tohid buland karte rahe fir uss be raham ne Aap par dana pani band kar diya. Iss par bhi Aap ke azme istikhamath me zarra barabar farq nahi aya. fir uss ne Aap ko munazare ka chalenge diya aur darbare shaahi me talab kiya taki shaahi rob va dab dikha kar Aap Alaihis Salam ko marub kar de lekin Aap ne bilkul be khof ho kar munazare ka chelez khabul farma liya aur darbare shaahi me pahunch kar yesi mazbuth aur dandan shikan dalil pesh farmayi ki namrood ke hosh uda gaye aur vo haq ba haq ho kar la javab aur khamosh ho gaye aur bhare darbar me iss kalimaye haq ki tajalli ho gayi ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Haq Aaya aur batil mit gaya beshak badil ko mitana hi tha.

        Bil Akhir Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ki Sadakhat va haqqaniyath ka parcham sar buland ho gaya aur namrood ek machchar jaisa haqhir makhlukh se halaq kar diya gaya. hazrate Ibrahim Alaihis Salam ke usva e hasna se ulma e haq ko sabaqh lena chahiye ki batil paraston ke mukhable me har khism ke khof va haras aur taklif se be niyaz ho kar akhiri dam tak tade rahna chahiye aur ye imaan va yakhin rakhna chahiye ki zarur zarur nusrate khudavandi hamri imdad va dastagiri farmayegi aur bil akhir batil paraston ke mukhable me ham hi fatahmand honge aur batil parast yakhinan khayib va khasir ho kar halak va barbad ho jayenge.


2.          Ye Imaan va Akhida Mazbuti ke saath rakhna chahiye ki Allah Tala ham Haq paraston ko gaib se rozi ka saman dega. Kuinki zalim Namrood ne jab Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ko Ghalla dena band kar diya aur mulk bhar me in ko kahin ek dana bhi nahi mila to Allah Tala ne Reth aur Mitti ko in ke liye Aata bana diya aur islam ke iss Akhide ki Haqqhaniyyath ka suraj chamak utha ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Beshak Allah hi bada rizkh dene vala khuvvath vala khudrath vala hai.

         Bahar Haal Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ka ye tarze fikr va amal aur  Aap ka ye usva tamam haq parasth Alimo ke liye charage raah hai aur Hakhikhath ye hai ki Aap ke usva e hasana par amal karne vale zarur zarur kamyabi se ham kinar honge ye vo tabanda Haqhikhat hai jo Aftabe Aalam Taab se bhi zaida tabnaak aur roshan hai. Subhanallah. kis khadar haqhikhat afroz hai ye sher ki


 Aaj Bhi Ho Jo Ibrahim Sa Imaa Paida
  Aaga Kar Sakti Hai Andaze Gulistan Paida

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »