Ye choti choti do pahadiyan hain jo harame kaaba e mukarrama ke bilkul kharib hi hai aur Aaj kal to buland imaraton aur unchi sadkon aur dono pahadiyon ke darmiyan chath ban jane aur tamirath ke raddo badal se dono pahadiyan baraye naam hi kuch bulandi rakhti hai. Inhi dono pahadiyon par chad kar aur chakkar laga kar Hazrate BiBi Hajra Raziyallahu Tala Anhu ne Uss vaqht pani ki zustaju aur talash ki thi jab ki hazrate ismael alaihis salam shir khwar bachche the aur pyas ki shiddath se be kharar ho gaye the isi liye zamanaye khadim se yeh dono pahadiyan bahut mukhaddas mani jati hai aur hujjaze kiram in dono pahadiyon par chad kar bade yehtiram aur jazbaye akhidath ke saath tavaf karte aur duayen manga karte the.
Magar zamana e zahiliyyath me ek mard jis ka naam "Asaf" tha aur ek aurath jis ka naam "nayila" tha in dono khabison ne Khana e Kaaba ke andar zinakari kar li to in dono par ye kahare ilahi nazil ho gaya ki ye dono masakh ho kar patthar ki murath aur buth ban gaye fir zamana e jahiliyyath ke buth paraston ne in dono mujassamon ko kaba se utha kar safa va marva ki dono pahadiyon par rakh diya aur in dono buton ki puja karne lage.
Fir jab arba me islam fail gaya to musalman "Asaaf Va Nayila" dono buton ki vajah se in dono pahadiyon par jane ko gunah samajh ne lage uss vaqht Allah Tala ne Quran e Majid masjid me ye hukum nazil farmaya ki safa va marva ke tavaf aur in dono ki ziyarath me koi harz va gunah nahi balki haj va umrah dono ibadaton me safa va marva ka tavaf zaruri hai.
Fateh Makka ke din Huzur Sayyade Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ne in dono pahadiyon par se "asaaf va nayila" dono buton ko tod fod kar nesto nabud kar diya aur in dono pahadiyon ko hasbe dasture sabikha mukhaddas va muazzam karar de kar in dono ka tavaf haz va umrah me zaruri karar diya gaya. Chunanche, Quran e Majid me irshad huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Beshak safa aur marva Allah ke nishano se hain to jo iss ghar ka haj ya umrah kare uss par kuch gunah nahi ki in dono ke fere kare aur jo koi bhali baath apni taraf se kare to allah tala neki ka sila dene vala khabardar hai.
Darse Hidayath
Safa aur Marva dono pahadiyon par Hazrate Hazra Raziyallahu Tala Anhu ne Daud kar pani talash kiya to ek Nabi yani Hazrate Ibrahim Alaihis Salam ki bivi aur ek Nabi yani Hazrate Ismael Alaihis Salam ki maa Hazrate BiBi Hazara Raziyallahu Tala Anhu ke khadam in pahadiyon par pad jane se in dono pahadiyon ko ye izzath va azmath mil gayi ki Hazrate BiBi Hazra Raziyallahu Tala Anhu ki ek kukhaddas yadgar ban jane ka in dono pahadiyon ko yejaz va sharaf mil gaya aur ye dono pahadiyan haj va umrah karne valon ke liye tavaf va saaya ka ek makhbul va mohtaram makham ban gayi. Iss se ye hidayath ka sabakh milta hai ki Allah valon aur allah valiyon se agar kisi jagah ko koi khas tallukh hasil ho jaye to vo jagah bahut muazzaz va muazzam ban jati hai aur har musalman ke liye vo jagah khabile tazim va layikhe yehtiram ho jati hai varna makka e muazzama me bahut si pahadiyan aur chote bade bahut se pahad hai, Magar safa va marva ki choti choti pahadiyon ko jo takhaddus va azmath hasil hai vo kisi dusre pahad ko hasil nahi. iss ki vajah iss ke siva aur ho sakti hai ki ye dono pahadiya ek allah vali ki ek mubarak jiddo jahad ki yadgar hai.
Isi par gumbade khazra aur Auliya ullah ke rozon aur in Hazrath ki ibadath gahon aur dusre mukhaddas makhamath ko khiyas kar lena chahiye ki ye saab khasane khuda ki nisbath va talluk ki vajah se muazzaz va muazzam aur khabile takhaddus va layikhe tazim va yehtiram hai aur in saab jagaho ki tazim va tokhir khudavande khuddus ki khushnudi ka bayis aur in sab makhamath ki be adabi va tahkhir kahar kahhar va gazabe jabbar ka sabab hai. Lihaza un logon ko jo gumbade khazra aur makhabire auliyallah ki be adabi kare aur in ko munhadim aur mismar karne ka plan banate rahte hai, unhen in hakhayikh ke sitaron se hidayath ki roshni hasil karni chahiye aur apni nuhusaton aur bad bakhtiyon se tayib ho kar sirate. mustakhim ki rah par sabith khadam ho jana chahiye. Khudavande khuddus apne habibe karim sallallahu Alaihi o sallam ke tufail me saab ko hidayath ka noor ata farmaye aur sirate mustakhim ki shaaharah par chalaye. (Ameen)