Masjid E Zarar Jaladi Gayi


Munafikhin ko ye to zarurath hoti na thi ki Aylaniyyath Islam ki mukhtalifat karte. Magar Vo log dare parda islam ki bekhakani me hamesha masruf rahte is koshish me lage rahte the ki musalmano me ikhtilaf aur fut dal kar islam ko nuksan pahunchayen. Chunanche, Iss maksad ki takmil ke liye jahan in be imano ne dusri bahuth si fitna samaniyan barapa kar rakhi thi, in me se ek vakhia rajab 9Hi. Me bhi runuma huva jo dar hakhikath nihayath hi khatarnak sajish thi. Magar Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ko Allah Azzawajal ne munafikhin ki iss khofnak muhim se va zariaye vahi agaah farma diya aur dushmanane islam ki sari skimo par pani fira gaya.

          Iss ka vakhia ye hai ki rajab 9 Hi. Me huzure akdas sallallahu alaihi o sallam ko ye ittila mini ki "Tabuk" ke maidan me jo madinaye munavvara se 14 manzil par dimshak ke raste par vakha hai. "Harkil" Shahe room musalmano ke mukhable ke liye lashkar jamaa kar raha hai Aap ne ne arab me sakht garmi aur kahat ke bawajud jihad ke liye aylan farma diya aur musalman zhuk dar zhuk shokhe jihad me madine ke andar jamaa hone lage.

         Abhi nabiyye Akram Sallallahu Alaihi O Sallam Tayyariyon hi me masruf the ki munafikhin ne is vaqth se fayda uthate huve socha ki masjide "Kuba" ke mukhable me iss hile se ek masjid tayyar karen ki jo log kisi urza ki vajah se masjide nabavi me na ja saken vo log yahan namaz pad liya karen aur munafikhon ka khas maksad ye tha ki iss masjid ko islam ki takhrib kari ke liye adda bana kar aur iss me jama ho kar islam ke khilaf sajishon karte aur skine banate rahen aur shahe room ki khufya imdadon aur asleha vaghaira ke zakhiron ka iss masjid ko markaz banayen aur yahi se islam ke khilaf risha davaniyon ka jaal pure Alame islam me bichate rahen. Ye soch kar munafikhin khidmate akdas me hazir huve aur kahane lage ki ham logon ne zayifon aur kamjoron ke liye kharib me hi ek masjid banayi hai Aab hamari tamanna hai ki huzur vahan chal kar iss me namaz pad den to vo masjid indallah makhbul ho jayegi. Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya iss vaqth to main ek bahut hi aham jihad ke liye madine se bahar ja raha hun, vapasi par dekha jayega. Magar jaab Aap bakhairiyyath aur fatha va kamrani ke saath madina vapas tashrif laye to vahi e ilahi ke zariye iss masjid ki tamir ka haqhikhi sabab Aap ko malum ho chuka tha aur munafikhin ki khufya aur khatarnak sajish be nikhab ho chuki thi. Chunanche, Aap ne madinaye munavvara pahunchte hi saab se pahale ye kaam kiya ki sahabaye kiram Alaihis Salam ki ek jamath ko ye hukum de kar vahan bheja ki vo vahan jayen aur uss masjid ko Aag laga kar khaak siyah kar den.

         Chunki iss masjid ki bunyad hakhikhatan takva aur lillahiyyath ki jagah tafrikhe bainul muslimin aur takribe islam par rakhi gayi thi iss liye bilashuba vo iss ki mustahik thi ki iss ko jala kar barbad kar diya jayen aur dar hakhikhat iss takhrib kari ke adde ko masjid kahna hakhikhat ke khilaf tha iss liye Qurane Majid ne iss haqhikhate haal ko zahir karte huve aylan farma diya ki  ye masjide takva nahi balki "Masjide Zarar" kahlane ki mustahiq hai.

        Mulahza farmayiye iss masjid ke bare me Quran e majid ke ghazabnak tevar aur pura jalal alfaz:

Tarjuma E Kanjul Imaan.
 
Aur vo jinhone masjid banayi nuksan pahunchane ko aur kufr ke sabab aur musalmano me tafrika dalne ko aur iss ke intizar me jo pahle se allah aur uss ke rasul ka mukhtalif hai aur vo zarur khasme khayenge ki ham ne to bhalayi chahiye aur allah gavah hai ki vo beshak jhute hain uss masjid me tum kabhi khade na hone beshak vo masjid ke pahale hi din se jis ki bunyad parhezghari par rakhi gayi hai. vo iss khabil hai ki tum uss me khade ho uss me vo log hain ki khub suthra hona chahte hain aur suthre Allah ko pyare hain.

Read More:
   1. Makkah E Mukarrama Kuin Kar Abad Hua?
   2. Surah E Yusuf Ka Khulasa
   3. Hazrate Yusuf Alaihis Salam Ka Kurta
   4. Ek Tariqhi Munazara
   5. 70 Admi Mar kar Zinda Ho Gaye

Darse Hidayath

             Ek hi amal, amal karne vale ki niyyath ke farkh se achcha bhi ho sakta hai aur bura bhi, tayyib bhi ban sakta hai aur khabis bhi.

             Masjid ki tamir ek amale khair hai magar jab Li-Vajhillah ki niyyath ho to savab hi savab hai aur agar " shar va fasad" ki niyyat ho to savab hi savab hai aur agar "shar va fasad" ki niyyat ho to ajab hi javab hai. masjide Kaba aur Masjide Nabvi ki Tamir makhbule Bargahe ilahi aur bayise savab huyi. kuinki in dono masjidon ke banane valon ki niyyath khuda ki riza aur in dono masjidon ki buniyad takva par rakhi gayi thi aur munafikhon ki banayi huyi masjid mardude bargahe ilahi ho gayi aur sarasar bayise azab ban gayi kuinki iss masjid ko tamir karne valon ki niyyat rizaye ilahi nahi thi aur iss masjid ki bunyad takhva par nahi rakhi gayi thi balki un logon ki gharaz fasid takhribe islam aur tafrikhe bainul muslimin thi, to ye masjid khatan ghair makhbul ho gayi yahan tak ki allah tala ne apne rasool sallallahu alaihi o sallam ko iss masjid me khadam rakhne ki bhi Mana Farma di aur Huzur Alaihis Salam ne iss masjid ko na koi na sirf virana farma diya balki iss ko jala kar nasto nabud kar dala.

         Iss se sabith hota hai ki iss zamane me bhi agar kisi masjid ko gumrah firkhon vale haq ke khilaf kamin gaah aur zasusi ka markaz bana kar ahle haq ke khilaf fitna pardajiyan karne lagen to  musalmano par lazim hai ki uss masjid me namaz ke liye na jayen balki uss ka baikat kar ke uss ko viran kar den. aur hargiz hargiz na us masjid me namaz paden, na uss ki tamir va abadkari me koi imdad va tavun karen.

           Ya fir tamam musalman mil kar gumrah firkhon ko iss masjid se be dakhal kar den aur iss masjid ko apne khabze me le kar gumrah ka tasalluth khatam har den taki in logon ke shoro fasad aur fitna angrejiyon se masjid hamesh ke liye paak ho jayen.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »