Hazrate Adam Alaihis Salam ne Jannath se Zamin par Aane ke baad 300 baras tak nadamath ki vajah se saar utkar asman ki taraf nahi dekha aur rote hi raheha rivayath hai ki agar tamam insano ke ansu
jama kiye jayen to itnae nahi honge jitne ansu Hazrate Dawood Alaihis Salam ke Khofe ilahi se zamin par gire aur agar tamam insano aur Hazrate Dawood alaihis salam ke ansuon ko jamaa kiya jaye to Hazrate Adam Alaihis Sallam ke ansu in saab logon se zaida honge.
Baaz rivayath me hai ki Aap ne yah pad kar dua mangi ki
Yani ye Allah! main teri hamd ke saath teri paki bayan karta hun. tera naam barkath vala hai aur teri buzurgi bahut hi buland martaba hai aur tere siva koi maabud nahi hai. main ne apni jaan par zulm kiya hai tu mujhe bakhsh de kuinki tere siva koi nahi jo gunahon ko bakhsh de.
aur ek rivayath me hai ki Aap ne
Yani Ye hamare parvar digar! ham ne apni jano par zulm kar liya aur agar tu hame raham farma kar na bakhshega to ham ghata uthane valon me se ho jayenge.
Lekin hakim va tabrani va abu noyem va behakhi ne hazrate ali murtaja raziyallahu tala anhu se marfuAan rivayath ki hai ki jab Hazrate Adam Alaihis Salam par itabe ilahi huva to Aap toba ki fikr me hairan the. nagahan iss pareshani ke alam me yad aya ki vaqhte paidayish me ne saar utha kar dekha tha ki arsh par likha huva hai."La Ilaha Illallahu Mohammadur Rasoollullah" usi vaqht main ne samajh liya tha ki bargahe ilahi me vo martaba kisi ko muyassar nahi jo mohammad Sallallahu Alaihi o Sallam ko hasil hai ki Allah Tala ne in ka naam apne name akhdas ke saath mila kar arsh par tashrif farmaya hai. Lihaza Aap ne apni dua me Rabbana Zalamna Anfusalana ke saath ye arz kiya ki
Aur ibne munzir ki rivayath me ye klimath bhi hai ki
Yani ye Allah! Tere bandaye khas Mohammed Sallallahu Alaihi O Sallam ke jahan va martabe ke tufail me aur in ki buzurgi ke sadkhe me jo inhen tere darbar me hasil hai main tujh se dua karta hun ki tu mere gunah ko bakhsh de. ye dua karta hi Haq Tala ne in ki magfirath farma di aur toba makhbul huyi.
Quran e Majid me Allah Tala ne irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan
Fir sikh liye adam ne apne raab se kuch kalime to Allah ne uss ki toba khabul ki beshak vohi hai bahut toba khabul karne vala mehrban.
Darse Hidayath
Iss vakhiye se chand asbakh par roshni padti hai jo ye hai.
1. Iss se malum huva ki makhbulane bargahe ilahi ke vasile se bahaqqhe fulan va bajahe fulan kar kar dua mangni jayiz aur Hazrate Adam Alaihis Salam ki sunnath hai.
2. Hazrate Adam Alaihis Salam ki tova dasvin muharram ko khabul huyi jannath se nikalte vaqht dusri nematon ke saath arabi zaban bhi Aap se bhula di gayi thi aur bajaye iss ke siryani zaban Aap ki Zaban par zari Kar di gayi thi. Magar toba khabul hone ke baad fir arabi zaban bhi Aap ko Aata kar di gayi.
3. Chunki Hazrate Adam Alaihis Sallam ki khata iztihadi thi aur ijtihadi khata masiyyat nahi hai iss liye jo shakhs Hazrate Adam Alaihis Salam ko Aasi ya zalim kahega vo nabi ki tohin ke sabab se kafir ho jayega. Allah Tala maliko mola hai vo apne bandaye khas Hazrate Adam Alahis Sallam ko jo chahe farmaye uss me un ki izzath hai dusre ki kai majal ki khilafe adab koi lafz zaban par laye aur
Quran e Majid me Allah Tala ke farmaye huve kalimath ko dalil banaye. Allah Tala ne hame ambiya kiram Alaihis Salam ki tazim va tokhir aur un ke adb va itayath ka hukum farmaya hai lihaza ham par yehi lazim hai ki ham hazrate adam Alaihis Salam aur dusre tamam ambiya kiram ka adab va yehtiraam lazim jane aurhargiz hargiz in hazrath ki shaan me koi yesa lafz na bolo jiss me adab ki kami ka koi shayiba bhi ho.