Hazrate Khizr Alaihis Salam Ka Taruf

Hazrate Khizr Alaihis Salam ki kunniyath Abbas aur naam "Balya" aur un ke valid ka naam "malkan" hai. "Balya" siryani zaban ka lafz hai arabi zaban me iss ka tarjuma "Ahmad" hai. "Khizr" in ka lakhab hai aur iss lafz ko 3 tarha se pad sakte hai khajir, kharz, khizr, "khizr" ke mana sabz chiz ke hai. yeh jahan baitte the vahan Aap ki barkat se har har dhas uga jati thi iss liye log in ko "Khizr" kahane lage.

            Ye bahut hi Aali khandan hai. aur in ke Aabao ajdad badsha the.baaz arifin ne farmaya ki jo musalman in ka aur in ke valid ka naam aur in ki kunyat yad rakhega, Insha Allah us ka khatima iman par hoga.

Hazrat E Khizr Alaihis Salam Zinda Vali Hain:

                Baaz logon ne hazrate khizr alaihis salam ko nabi bataya hai lekin aksar ulma ka khol yeh hai ki Aap vali hain

                Aur jamhura ulma ka yehi khol hai ki Aap Aab bhi zinda hai aur khiyamat tak zinda rahenge kuinki Aap ne abe hayath pi liya hai Aap ke gird ba kasrath auliya e kiram jama rahte hain aur faiz pate hain.Chunanche, arif billah hazrate sayed bikri ne apne khaside "Dardul sahar" me Aap ke bare me yeh tahrir farmaya hai ki  
Tere Haq Ki Khasam! ki hazrat e khizr alaihis salam zinda hain un ki vafat ka khayal vohi hoga jo un ke noor jamal se mulakat nahi kar saka hai to meri taraf se un par jab bade saba chale suthra salam ho ki pakizgi ke saath bade saba uss ko pahunchay

                Hazrate Khizr Alaihis Salam Huzur Khatamunnabiyin Sallallahu Alaihis Salam ki ziyarath se musharraf huve hain iss liye ye sahabi bi hain

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »