Hazrate Ilyas Alaihis Salam


           Ye Hazrate Hazakhil Alaihis Salam ke khalifa aur janashin hain. Beshtar Muarrikhin ka iss par ittifakh hai ki hazrate ilyas alaihis salam. Hazrate Haroon Alaihis Salam ki nasal se hai aur in ka nasab nama ye hai. Ilyas Bin Yasin Bin Fakhas Bin Yezra Bin Haroon Alaihis Salam. Hazrate Ilyas Alaihis Salam ki Biyasath ke Mutallikh mufassirin va muarrikhin ka ittifaq hai ki vo shaam ke bashindon ki hidayath ke liye bheje gaye aur "BaAla-Bak" ka mashhur shahar un ki risalath va hidayath ka markaz tha.

          In dino "BaAla-Bak" shahar par "arjab" nami badshaah ki hukumath thi jo sari khom ko bhut parasti par majbur kiye huve tha aur in logon ka saab se bada bhuth "BaAal" tha jo sone ka bana huva tha aur 20 gaz lamba tha aur uss ke char chehre bane huve the aur 400 khuddam us bhuth ki khidmath karte the jin ko sari khom beton ki tarha manti thi aur uss bhuth me se shaitan ki avaz ati thi jo logon ko bhuth parasti aur shirk ka hukum sunaya karta tha. iss mahol me hazrate ilyas alaihis salam in logon ko tohid aur khuda parasti ki davath dene lage magar khom in par imaan nahi layi. balki shahar kar badshaah"Arjab" in ka dushmane jaan ban gaya aur uss ne hazrate ilyas alaihis sallam ko khatal kar dene ka irada kar liya. chunanche, Aap shahar se hijrath farma kar pahadon ki chotiyon aur gharon me ruposh ho gaya aur pure saath baras tak khof va haras ke alam me rahen aur jangli ghanson aur jangalon ke fulon aur falon par zindagi basar farmate rahe. Badshaah ne Aap ki giriftari ke liye bahut se jasus mukarrar kar diye the. Aap ne mushkilath se tang Aa kar ye dua mangi ki ilahi! Mujhe in zalimon se najath aur rahath Ata farmaa to Aap par vahi Ayi ki tum fulan din fulan jagah par jao aur vahan jo suvari mile bila khof uss par suvar ho jao. Chunanche, Uss din uss makham par Aap pahunche to ek surkh rang ka ghoda khada tha. Aap uss par suvar ho gaye aur ghoda chal pada to Aap ke Chacha zaad bhai hazrate "Al YusA" Alaihis Salam ne Aap ko pukara aur arz kiya ki Aab main kai karun? To Aap ne apna kambal un par daal diya. Ye nishani thi ki maine tum ko bani israel ki hidayath ke liye apna khalifa bana diya. Fir Allah Tala ne Aap ko logon ki nazron se Aujal farma diya aur Aap ko khane aur pine se be niyaz kar diya aur Aap ko Allah tala ne firishton ki jamath me shamil farma liya aur hazrate Al YusA Alaihis Salam nihayath Azmaa va himmath ke saath logon ki hidayath karne lage. Chunanche, Allah tala ne har dam har khadam par in ki madad farmayi aur bani israel Aap par imaan laye aur Aap ki vafath tak imaan par khayim rahe.

Hazrate Ilyas Alaihis Salam Ke Mojizath

            Allah Tala ne tamam pahadon aur haivanath ko Aap ke liye musakhkhar farma diya aur Aap ko 70 ambiya ki takhat bakhshdi. gazab va jalal aur kuvvath va takhat me hazrate musa alaihis salam ka ham palla bana diya. aur rivayath me Aaya hai ki hazrate ilyas aur hazrate khizar alaihis salam har saal ke roze baitul mukhaddas me ada karte hain aur har  saal haj ke liye kakka e mukarrama jaya karte hain aur saal ke bakhi dino me hazrate ilyas alaihis salam to jangalon aur maidano me gasht farmate rahte hain aur hazrate khizar Alaihis salam daryaon aur samandaron ki sair farmate rahte hain aur ye dono hazrath akhiri zamane me vafath payenge jab ki Qurane Majid utha liya jayega.

          Hazrate Anas Raziyallahu Tala Anhu se ek hadis marvi hai ki ham log ek jihad me rasoolullah Sallallahu Alaihi O Sallam ke saath the to raste me ek avaz ayi ki ya allah! tu mujh ko hazrate muhammad Sallallahu Alaihi O Sallam ki ummath me bana de jo ummat marhuma aur mustajabuda vath hai to huzur alaihis salatu wassalam ne farmaya ki ye anas! tum iss avaz ka pata lagao to main pahad me dakhil huva, to achanak ye nazar aya ki ek admi nihayath safed kapdon me malbus lambi dadi vala nazar aya jab uss ne mujhe dekha to pucha ki tum rasoollullah sallallahu alaihi o sallam ke sahabi ho? to mai ne arz kiya ki ji han! to unhone farmaya ki tum jaa kar huzur se mera salam arz karo aur ye kaha do ki Aap ke bhai ilyas alaihis salam Aap se mulakhat ka irada rakhte hain. Chunanche, main ne vapas Aa kar huzur se sara muamla arz kiya to Aap mujh ko hamarah le kar ravana have aur jab Aap un ke karib pahunch gaya main picha hat gaya. fir dono sahiban der tak guftagu farmate rahe aur asman se ek dastarkhwan utar pada to huzur alaihis salam ne mujhe bula bheja aur main ne dono hazrat ke saath me khana khaya. jab ham log khane se fargh ho chuke to asman se ek badli Aayi aur vo hazrate ilyas alaihis salam ko utha kar asman ki taraf le gayi aur main un ke safed kapdon ko dekhta hi rah gaya.

Hazrate Ilyas Aur Quran

           Quran e Majid me hazrate ilyas Alaihis Salam ka tazkira do jagah aya hai surah e Anaam me aur surah al saffat me. Surah Anaam me to sirf in ko ambiyaye alaihis salam ki fehrist me shumar kiya hai aur surah saffat me Aap ki biasath aur khom ki hidayath ke mutaallik mukhtasar tor par bayan farmaya hai.

                         Chunanche,Surah Anaam me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur uss ki avlad me se dawood aur sulaiman aur ayyub aur yusuf aur musa aur haroon ko aur ham yesa hi badla dete hain nekukaron ko aur zakriyya aur yahya aur isa aur ilyas ko ye saab hamare kurb ke layik hain. aur ismayil aur yusA aur yunus aur loot ko aur ham ne har ek ko uss ke vaqht me saab par fazilath di.

       
         Aur sura e saffat me isa tarha irshad farmaya ki 
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Beshak ilyas paighambaron se hai. jaab uss ne apni khom se farmaya kai tum darte nahi kai BaAal ko poojte ho aur chudate ho saab se achcha paida karne vale Allah ko jo raab hai tumhara aur tumhare agale baap dada ka fir unhone use jhutlaya to vo zarur pakade ayenge magar allah ke chune huve bande aur ham ne pichlon me uss ki sana bakhi rakhi. salam ho ilyas par beshak ham yesa hi sila dete hain nekon ko beshak vo hamare Aala darje ke kamilil imaan bandon me hain.

                Hazrate ilyas Alaihis salam aur in ki khom ka vakhia agarche Qurane Majid me bahut hi mukhtasar mazkur hai taham iss se ye sabakh milta hai ki yahudiyon ki zehaniyyath iss khadar masakh ho gayi thi ki koi yesi burayi nahi thi jis ke karne par ye log haris na hon bavajud ye ki in me hidayath ke liye musalsal ambiyaye kiram tashrif late rahe magar fir bhi bhuth parasti, kavakab parasti aur ghairullah ki ibadath in logon se na chut saki. fir ye log Aala darje ke jhude ,bad Ahad aur rishvath khor bhi rahe aur allah tala ke mukhaddas nabiyon ko izayen dena aur in ko khatal kar dena in zalimon ka mahaboob mashgala raha hai. Bahar haal in zalimo ke vakhiyath se jahan in logon ki bad bakhti va kajravi aur mujarimana shakhavath par roshni padti hai, vahi ham logon ko ye nasihath va ibrath bhi hasil hoti hai ki Aab Jab ki nabuvath ka silsila khatam ho chuka hai to hamare liye behad zaruri hai ki khuda ke akhiri paigham yani islam par mazbuti se khayim rah kar yahudiyon ke zalimana tarikho ki mukhalfath karen aur kuffar ki taraf ki taraf se pahunchne vali taklifon aur musibaton par sabr kar ke khuda ke mukhaddas nabiyon ke usvaye hasana ki pairvi karen.

Read More
  1. Kafiron Ki Mayusi
  2. Islam Aur Sadhu Ki Zindagi
  3. Bade 1 Chota Dushman
  4. Ambiya Ke Khatil
  5. Munafiqhon Ki Ek Sajish

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »