Jangh E Hunnain


   Fatteh makka ke baad mushrikine arab ki shokat ka kharib kharib khatima ho gaya aur log jhuk dar jhuk islam me dakhil hone lage. ye dekh kar "Havazun aur Sakhif" ke dono khabayil ke sardaron ka ijtimaa huva, aur unhone apas me mashvara kiya ki mohammed sallallahu alaihi o sallam apni khom "khuresh" ko maghlub kar ke mutmayin ho gaye hai. lihaza ab hamari bari hai to kuin na ham pesh khadami kar ke hamla avar ho kar in musalmano ka khatl kar ke rakh den. chunanche, havazun aur sakifa ke dono khabayil ne malik bin Aaof nazri ko apna badshaah bana ka musalmano se jangh ki tayyari shuru kar di. Ye khabar pa kar 10 Shavval Si.8 Hi. Mutabikh farvari Si.630 Yi. ko das hazar muhajirin va ansaar aur 2 hazar makka ke 9u muslim aur 80 vo mushrikin jo islam khabul na karne ke bavajud apni khwahish se musalmano ke rafikh ban gaye. Kul takriban 12.000 admiyon ka lashkar saath le kar nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam " makhame Hunnain" pahunch gaye. jab dushman ke mukhable me saaf arayi ka vakht aya to Aap ne muhajirin ka parcham hazrate Ali Raziyallahu Tala Anhu ko diya aur ansar me bani khazraj ka alambardar Hazrate Habbab Bin Munzar Raziyallahu Tala Anhu ko banaya aur aos ka jhanda  Hazrate usaid bin huzair raziyallahu tala anhu ko innayath farmaya aur khud nabiyye akram sallallahu alaihi o sallam ba nafse nafis badan par hathyar saja kar dabal zirrah pahan kar aur sare anwar par Ahini dopi rakh kar apne khachchar par suvar huve aur islami foj ki kaman sambhal li.

           Musalmano ke dilon me apne lashkar ki aksariyyath dekh kar kuch ghamand paida ho gaya yahan tak ki baaz logon ki zaban se baghair insha allah kahe ye lafz nikal gaya ki Aaj hamari kuvvath ko koi shikasth nahi de sakta. Musalmano ka apni foj ki addi aksariyyath aur askari takhat par bharosa kar ke farkh karna khudavande tala ko pasand nahi aya lihaza musalmano par khuda ki taraf se ye taziyana e ibrath laga ki jab jangh shuru huyi to achanak dushman ki in toliyon ne jo gorila jangh ke liye pahadon ki mukhtalif ghatiyon me dhat lagaye baiti thi iss joro shor ke saath teer andazi shuru kar di ki musalman tiron ki barish se baad haavas ho gaye aur iss nagahani teer barani ki bochad se un ki safen darham barham ho gayi aur thodi hi der me musalmano ke khadam ukhad gaye aur huzure akram sallallahu alaihi o sallam aur chand muhajirin va ansar ke siva tamam lashkar maidane jangh se farar ho gaye.

            Iss khatarnak surate haal aur nazuk ghadi me Huzur sallallahu alaihi o sallam apne khachchar par suvar barabar age badate chale ja rahe the aur razza ka ye sher buland avaz se pad rahe the.
                  Yani main nabi hun ye koi jhuti baath nahi, Main Abdul Mutalib ka Farzand hun.

            Bil Akhir Huzur ke hukm par Hazrate Abbas Raziyallahu Tala Anhu ne ba avaze buland bahe huve musalmano ko pukara aur
kah kar lalkara. Hazrate Abbas Raziyallahu Tala Anhu. ki ye lalkar aur pukar sun kar tamam jaan nisar musalman palat pade aur parchame nabuvath ke niche jamaa ho kar yesi jangh nisari ke saath dade shujaath dene lage ki das zadan me maidane jangh ka naksha hi palat gaya aur natija nikla ki shikasth ke baad musalman fatahmand hogaye aur parchame islam saar buland ho gaya, Hazaron kuffar giriftar ho gaye aur bahuth se talvar ka lukma ban gaye aur be shumar male ghanimath musalmano ke haath aya aur kuffare arab ki takhat va shokath ka janaza nikal gaya.

           Jangh e Hunnain me musalmano ke apni kasrate tadad par gurur ke anjaam me shikasth aur fir fatah va nusrath ka haal khudavande zul jalal ne Quran e karim me in alfaz se zikr farmaya hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Beshak Allah ne bahut jagah tumhari madad ki aur hunnain ke din jab tum apni kasrath par itra gaye the to vo tumhare kuch kaam na ayi aur zamin itni vasia ho kar tum par tangh ho gayi fir tum pit de kar fir gaya fir allah ne apni taskhin utari apne rasool par aur musalmano par aur vo lashkar utare jo tum ne na dekhe aur kafiron ko azab diya aur munkiron ki yehi saza hai.

          jangh e hunnain ka ye vakhia dalil hai ki musalmano ko maidane jangh me fatah va kamrani fojon ki kasrath aur samane jangh ki faravani se nahi milti. balki fatah va nusrath ka daro madar dar hakhikath parvar dagar ke fazle azim par hai. agar vo rabbe karim apna fazle azim farma de to chote se chote lashkar badi se badi foz par ghalib ho kar muzaffar va mansur ho sakta hai aur agar uss ka fazlo karam shamil hal na ho to bade se bada lashkar choti se choti foz se maghlub ho kar shikasth kha jata hai. lihaza musalmano ko lazim hai ki kabhi bhi apne lashkar ki kasrath par yetimad na rakhen balki hamesha khudavande khuddus ke fazlo karam par bharosa rakhen.

Read More:

  1. Hazrate Suleman Alaihis Salam Ki Be-Misal Vafath
  2. Takhte Bilkhis Kis Tarha Aaya
  3. Hazrate Suleman Alaihis Salam Ka HudHud
  4. Hazrate Suleman Alaihis Salam Aur Ek Chunti
  5. Hazrat E Ayyub Alaihis Salam Ka Imtihan

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »