Zameen E Karbala Ka Khooni Manzar Part No - 06

karbala

Ahle Baith Per Paani Band

In Duniya ke Kutton ku Achchi Tarha Tajruba Tha ke Ham in khuda ke sheron ko maqab le ki taab nahi la sakte. Chunanche, Yahi wajah hai ke in zalimon ne ye tadbeer ikhtiyaar ki ke in shere khuda ke sheron per paani band karke inhi pyaas ki shiddat se nidhal kar diya jaye. Aur jab ye bilkul hi muzmahal aur ja'balb ho jayen to inse jangh shuru ki jaye. Isiliye Ibne Saad Ne hukum dediya ke darya Furaat ka Thanda Thanda Meetha Meetha paani yahood O Nasara Noush kar sakte hain. Kuffar O Mushrikeen is se seraab ho sakte hain. Kutte Aur khinzeer bhi pi sakte hain. Magar Saqi E Kousar ke Nouni'Haal aur Fatimah ke Laal Ku Khatra Bhi Na Diya Jaye.

Teri Khudrat Jaanwar Tak Aab Se Sairaab Ho
Pyaas Ki Shiddat Se Tadape Be Zabane Ahle Baith

         Kai tariq e islam ka ye Qiyamat Numah sane kabhi bhi nasle insani faramosh kar sakti hai? Ke Darya ke kinare Saqiy e Kousar Ke pyare Fatimatuz Zahra ke Aankhon ke tare Paani Ke Ek Ek Khatre Ke Liye Taraste Aur tadapte the Allah Allah kitna hosh ruba aur ruh farsada manzar hoga? Ke Gulshane Fatimah ka sabse Nanha Pauda Doodh Pita Bachcha Ali Asgar Maa Ki Goud Me Bhook Pyaas Se Tadap Raha Hai. 3 Din Ki Bhooki Pyaasi Maa ke seene me doodh khushkh ho chuka hai.Bhooka pyaasa bachcha baar baar Maa ke seene me muh lagata hai, Magar jab Use doodh ka ek khatra bhi mayyasar na hota, To O kabhi bilak nilak kar zaar zaar rota hai.Aur Kabhi Basoor Basoor kar Muh Bigadta hai. Kabhi Hairat Se Aankhen Phad Phad Kar Apni Maa Ka Udaas Chehra dekhta hai.Kabhi Maa ki Goud Me machal Machal kar Apni sukhi zabaan apni Khushkh hoton par phir ta hai.Bezaban Bachcha bol nahi sakta.Magar hairaan hai ke meri maa ke seene me jo rahmat ke 2 chasme the o Aaj kyun khush ho gaye? Mai pehle isi seene se muh lagata tha to mera muh doodh se bhar jata tha.Magar Aaj kya hogaya ke in doodh ke chashmon se Mujhe ek khatra bhi doodh nahi mil raha hai? Allah asgar sheer khawar ke patle patle naram O nazuk gulabi honth jin ki nazakat per gulab ki nanhi nanhi pankhdiyan khubaan hoti then. Aaj is Qiyamat numa garmi ki shiddat aur pyas ki tapish se khushkh ho kar kaale padh gaye hain.Aur ye noor ki tasweer pyaas ki shiddat se ja balb hai. Mamta ki maari dukhyari maa jo khud bhi bhook pyaas se muzmahal thi apne is noore nazar ki be qarari aur girya o zari ku dekh kar aur bhi ziyada betab ho jati thi aur Baar Baar uske seene me sadmaat se shishaye Dil pash pash ho jata tha.Magar Sabar O Shukur ke Siwa In Isteqamat ke Mujassimon ki zanban per koi Dosra Lafz Nahi Aata tha. Allah Allah

O Jalti Ret Ki Garmi O Dhoop Aur Pyass Ki Shiddat
Karen Sabr O Tahammul Meera kousar Ayse Hote Hain

Hazrath Imaam Ki Isteqhamat

            Al Gharaz, Dusri Moharram Se 10 Moharram tak isi tarha Ahle Baith ka ye Mazloom Khafila Karbala me Muqeem raha. Aur Rozana Ibne Zayyad ka Qasid yahi Paigham Laata raha ke Ye Imaam  Agar Aap Apna Paak hath Yazeed ke na paak hath par rakh kar uski baiat farmalen to ye 22,000 ka lashkar jo Aap ke Khoon ka Pyasa khada hai. Aapke Khadam dho dho kar piye ga. Aur Yazeed Aap ki Muqhaddas Jutiyon ku Apna Taaj bana kar apne khazanon ki kunjiyan Aaap ke khadamon me daal dega. Aap ku Izzat aur doulat milegi. Kisi sube ki governari aur hukumat bhi milegi. Aur ye Imaam agar Aap ne Yazeed ki baiat nahi ki to Aap aur Aap ke Ahle Baith ke Muqhaddas khoon se karbala ki zameen rangeen bana di jayegi.Aap ke Nanhe bachhe qatal kar diye jayenge Aur Aap ki go'd ke paale nounahalon ku Aap ki nazron ke samne zabah kar diya jayega aur phir in shaheedon ki lashon par ghode douda kar inki haddiyoun ko chakna choor kar diya jayega. Aur inke saron ku nezon par chadha kar kufa aur damish ke bazaron me phiraya jayega. Aur inki lashen karbala ki zameen me be-Gour o kafan padi rahengi. Kufe ki gunde Aap ke khime ku loot ker jala denge. Aur ahle baith ki shehzadiyon Aur Hazrath Fatimah Zahara ki Un effat maab betiyon ku jinhe Aaftab O Mehtab ki nigahen bhi ehteraam ke sabab Achchi tarha nahi dekh sakti then. Be pardaOonton par bitha kar karbala se kufa Aur kufa se Damishq tak chalne ki majboor kiya jayega.

         Al Gharaz, Hazrath Imaam ku is Qhadar lalach digayi Aur hirs o tama ke ayse ayse suneh re aur dilkash manazir Imaam ke samne pesh kiye gaye ke Agar himalaya bhi hota to uske paye isteqhamath me lagzish Aajati. Aur is Qadar daraya gaya aur aysi aysi khouf naak dhamkiyon se ma'roob kiya gaya. Ke agar rustum bhi hota to uske housle past hojate aur o mare dehshat ke in zalimon ke samne sare nayaz jhuka deta. Magar farzande fatimatuz zahara jin ke khoon ke khatre khatre me rasoole khuda ka khoon shamil tha. o in Aafat o Masaib ke hujoom me bhi azm o isteqlal ka pahad ban kar khade rahe aur  Nuksan maal o jaan ke bade bade tufaan me bhi unke paye isteqamat ku lagshish o jumbish nahi huvi.Aur Aap hamesha yahi jawab dete rahe ke . Ye kufiyon aur Yazidiyon, Mai Yazeed ki baiat karlun to ye sahi hai ke mujhe izzat o daulath aur kisi sube ki governari zaroor milegi aur Yazeed mera Mamnune ehsan ho kar mujh par jaan o maal se qurbaan ho jayega lekin iska anjaam ye hoga ke mera paak hath yazeed ke napaak hath per pahonchte hi deen e Mohammadi ka parcham sarangon ho jayega aur islam ka o darakhth jisku mere nana jaan ne sahaba ke khoon se seench seench kar kara bhara kiya hai ek dam uski shakhen aur tehniyan be deeno ki bade sar sar se taaq o taraaj ho  jayengi.Aur Azmate Islam Fana Aur Shoukate deen mit jayegi. Aur Dusra rasta ye hai ke main Yazeed ki Baiat na karun to ye bilkul sahi hai ke main aur mera ahle baith intehayi be dardi ke saath khatal kar diye jayenge. Aur phir in shahidon ki muqhaddas lashon ku ghodon ki tapon se  tond kar inke saron ku nezon per chadha kar kucha o bazar me gasht karaya jayega. aur ahle baith e athaar ku be panah masaib aur nuksan e jaan o maal se do chaar hona padega. Lekin iska natija ye hoga ke, perchame islaam ki azmat ka nishan buland se buland tar hojayega.Aur shohda e Karbala ke khoon se sairaab ho kar islam ka hara bhara darakht is khadar sar sabz shadaab ho jayega ke qiyamath tak ilhaad o Be'Deeni ki koi khizan is mosame bahaar ku nigah otha kar dekhne ki bhi jarurath na kar sakegi. Lehaza ye Yazidiyon Mera Aakhiri Faisla yahi hai ke ham khud 72 zakham kha kar ghode  ki zen se zameen per gir padenge. Magar ham kisi haal me bhi islam ke parcham e azmat ku sarangu nahi hone denge. Ham khud kat jayenge magar, Ham Quran ka ek lafz bhi katne nahi denge. Ham khud mit jayenge, Magar farmane Mustafa Sallallahu Alaihi O Sallam ka ek zer o zabar bhi mitne nahi denge aur Aakhri dam tak yahi Naara O Elaan rahega ke

                          Jo Jaan Maango To Jaan Denge, Jo Maal Mango To Maal Denge
                          Magar No Hoga Ye Hamse Hargiz Nabi Ka Jah O Jalal Denge.

          Chunanche Karbala ka zarra zarra gawa hai ke Fatimah ke laal ne duniya ki daulath o hukumat par thokar maar kar rahe haq me Aane wali tamam Musibaton ka khush dili ki sath khair Mughaddam kiya. Aur Apna gala kata aur ghar lutana gawara kar liya. Magar Yazeed Paleed ki baiat karke islam ke damane taqaddus ku dagh daar karna manzoor nahi farmaya. Subhanallah

                            Ghar Lutana  Saar Katana Koi Tujh Se Seekhle
                            Jaan E Aalam Ho Fida Ye Khandane Ahle Baith

             Isme koi shuba nahi ke Hazrath Imaam ne is jangh ku talne ki intehayi jad-O-Jihad farmayi, Lekin, Jafakaar O Sitamgaar Qoum ne maslihat ki koi baat hi manzoor nahi ki. Aur Hazrath Imaam ku Yakheen ho gaya ke Aab is jangh ku difa karne ka koi tareeqha bakhi hi nahi rah gaya. Kuin ke ye log na shahre kufa me dakhil hone dete hain. Na Yazeed ke pass le jane par raza mand hote hain, Na watan jaane dete hain, No mulk chodne per inki tasalli hoti hai is waqth majburan Hazrath Imaam Ne Apne Qeene ke Gird khandakh khod ne ka hukum diya. Chunanche, Khandakh khodi gayi aur sirf ek rasta rakha gaya jahan se nikal kar dushmano se mukhabila kiya jaye aur khandakh me Aag jaladi gayi Take Ahle Khima dushmano ki yalghaar se mehfooz rahen

10 Moharram Ka Qhayamat Numa Din

                10 Moharram 61 Sane Hijri Jumma ka pura Aashub Din Aa'gaya. Aur Duniya se safar karne wale Ghareebul'Watan Musafiron ne apni zindagi ki Aakhri Namaz e Fajar Ada karli. Idhar Suraj Tulu Huwa Odhar Ibne Saad ne Apne 22,000 Lashkar ku in Bhareebane Be'Watan ka khoon bahane ke liye maidan me lakar jangh kar nakhara baja diya aur khud pehle teer chala kar jangh ki ibtida kar di aur ye elan kar diya ke. Ye Ahle Sham O Iraq Gawah rehna ke sabse pehla teer maine hi jigar gosha e rasool o garzand e Batool par chalaya hai.

                Hazrath Imaam ye Manzar dekh kar ghode par sawar ho kar itmame Hujjat ke liye maidane karzar me tashreef le Aye aur khoone nahaq ka azab suna kar o apne hasab o nasab aur fazail ka bayan karke sitamgaron ku zulm se baaz rakhne ki koshish farmayi. Lekin,Hazrath Imaam ka khutba Abhi tamam bhi nahi huwa tha ke sitam shuaaron ne shor o ghul machana shuru kar diya. Aur kehne lage ke ye Imaam ham Aap ke fazail se achchi tarha waqif hain. Lekin, is waqt ye masla zere bahas nahi hai. is waqt jangh ke liye Aap kisi ku maidan me bhejiye.  

Karbala Me Hussaini Karamath

               Zalimon ka ye gustakhana jawab sun kar Hazrath Imaam Apne Qaime ki taraf rawana hogaye. Itne me yazeedi lashkar ka ek bebaak malik bin urwa ghoda kuda kar samne Aagaya. Aur Usne Jab Qime ke gird Aag dekhi To intehayi Be'Adbi ke saath ye kaha ke ye Hussain tum ne wahan ki Aag Se Pehle Yahin Aag Lagali ? Hazraath Imaam ne farmaya ke ye Dushmane Khuda tu jhoota hai. Kai tera ye gumaan hai ke main jahannam me jaunga ? Imaam ke janisaron me se Hazrath Muslim Bin Ausaja ne intahayi taish me Aakar is bad zuban ke muh par teer marne ki ijazat talab ki. magar Hazrath Imaam ne farmaya ke nahi.. nahi.. Hamari taraf se hargiz koi jangh ki ibteda na kare. Take Hamare Khoone Na Haq ka pura pura wabaal inhi zalimon ki gardan par rahe. Lekin Hazrath Imaam ne Majrooh dil se ye dua mangi ke khudawanda tu is Bad'Naseeb ku nare Dozakh se pehle hi Aag ke Azaab me mubtila kar. Chunanche, Fouran hi malik Bin Urwa ka ghoda phisla aur ye is tarha gira ke ghode ki rikhab me iska paon ulaj gaya. Aur ghoda isku ghaseet te huwe khandakh ki taraf le kar bhaga.Aur ye khandhak ki Aag me gir kar khak ka dher ho gaya.

            Isi tarha ek aur darinda dahan ne ye keh diya ke "Aye Hussain Tum ku Rasool E Khuda Se kay Nisbat? Is Lafz se Hazrath Imaam ka Jigar Shakh ho gaya aur Aap ne janabe baari Me Arz kiya ke ilahi tu fouran is Be'Baak ku apne Qahar me giraftaar kar. Chunanche, Ek dam is khabees ku baitul khula ki hajat ho gayi. Aur ye nanga ho kar ek jhadi me khaza e hajat ke liye baitha. Achanak ek siyah zehrile bichchu ne isku dank mara aur ye dard se bil bilata huwa najast me lat pat ho kar bhaga. Aur lashkar ke samne tadap tadap kar zillat o ruswayi ki mout mar gaya.

            Isi Tarha ek Bad Lagam Muzni ne nihayat gustakhi ke saath ye kaha ke "Ye Hussain ..Dekhlo Daryaye Furraat Mouje Maar Raha hai. Magar Tum ku usme se ek khatra bhi nahi milega. Aur Tum pyase mar jaoga" Hazrath Imaam ne uske liye ye dua farmayi ke Ye Allah isku pyasa maar. Chunanche, Ek dam Muzni ka Ghoda Bhag nikla. Aur ye usku pakadne ke liye douda. to usper pyaas ka intehayi ghalba huwa. magar jab paani pita tha to ek khatra bhi halak se neeche nahi utarta tha. Yahan tak ke pyaas ki shiddat se tadap tadap kar mar gaya.

             Chahiye to ye tha ke Imaam Ali Maqham ki in Imaan Afroz karamaton ku dekh kar zalimon ke sino me dil laraz jata. Aur O isse Ibrat pakad kar khoone Na'Haq se Baaz Aajate. Magar Ye shararat ke mujassine jin ke saron per hirse duniya efreet ban kar musallat ho chuki thi. in ibrat Aamoz karaamat se koi sabakh na le sake. Balke Aur zaida gustakhi o Be'Baaki ke shaitane mujassam ban kar rijiz gate huwe hatyaar chamka chamka kar hazrath imaam se ladhne ke liye maidane jangh me nikal Aaye lekin Hazrath Imaam Aur Inke Janisaar Sathi bhi inki kasrat aur shaitani taqat se na dare na jhich ke balke sab ke sab khouf o hiraas se Be'Nayaaz ho kar jazbaye shahadat se sar shaar aur khuda ki rah me apna sar katane ke liy;e be qarrar the. Chunanche khandan e Ahle baith ke jawano Aur haidare karrar ki kachaar ke sheron ne intehayi dileri ke saath Aage dadh kar istarha dade shujaat dene ka Azam kar liya ke.

Ishrat-e-Qatal Gah, Ehle Tamanna Mat puch
Eid Nazara Hai Shamsheer Ka Uryaan Hona!

          Magar kurb o jawar ke o jaani saar jo is hadis ki khabar paa kar hazire darbaar hogaye the. O Hazrath Imaam ke khadmon par gir kar machal gaye. Aur Arz kiya ke Ye Ibne Rasoollallah ye ghair mumkin hai ke jab tak ham'me se ek jaani saar bhi baqi hai. Ahle baite nabuwwath ka khoon zameen par gir pade isliye pehle ham apna sar Aap ke khadmon per khurbaan karenge. Chunanche, ek ke baad digar in wafa shuaaron ne maidan jangh me nikal kar Aysi shujaat o jaan baazi ka mazahira kiya ke dushmano ke dilon per apni bahadduri ka sikka bitha diya. yahan tak ke ladte ladte ye tamam janisaar rahe khuda me apni jaane qurbaan karke shahadat se sarfaraz ho gaye.

           In Wafadaar Janisaron ke naam aur inki jaan baziyon sar furoshiyon ke tazkire tareeq ki kitabon me is tarha naqshe wafa ban kar chamak rahe hain. Ke Qiyamat tak gardishe lail o nahar inku mahu nahi kar sakti.

Abdullah Kalbi

            Lashkare Aada me Sabse Pehle Jo Do Shaqi-Ul-Qalb Hazrath Imam Se Ladhne ke liye nikle O Dono Ubaidaullah Bin Zayyad ke ghulam the ek ka Naam Yasar aur Dusre ka Naam  Salim Tha. Ye dono Bad'Naseeb Apni safon se nikal kar mubariz talab karne lage. in dono ki surat dekh kar hazrath Abdullah kalbi joshe-jihad me Aape se bahar ho gaye. aur Hazrath Imaamse ijazat le kar in dono ke Muqabile ke liye nikal pade. yasar ne badh kar Aap per talwaar ka war kiya. Magar Aap ne ekdam kamale hunar mandi se Aysa paintra badla ke dushman ka waar khali gaya aur phir palat kar shamsheere Aab daar ka Aysa bhar poor haath mara ke khabees khoon me lat pat ho kar zameen par dher ho gaya. Salim Apne sathi ku is tarha Qhatal hota dekh kar gusse me surukh hogaya. Aur jihlla kar Aap per talwar se hamla kiya. Aapne uske is waar ku baye hath per roka. to Aap ki ungliyan odh gayen.Magar Aap ne bhi jhapat kar usku aysi shamsheer mari ke O Do tukde ho gaya.Abdullah kalbi apni biwi ke saath janisari ke liye Aaye the. Unki biwi ne jab ye dekha ke mere sohar ki ungliyoun se khoon ke fawware jari hain to o bhi josh e jihad me be khud ho gayen.. Aur khime ki ek choob haath me le kar maidan me nikal paden. Aur apne sohar ku josh dilate huwe kehne lage ke shabash mere pyare shohar shabash main ter qurbaan mere saar taaj tum jaldi jaldi in yazid  taghuton ku mauth ke ghat utar kar Aale Nabi pe Qurbaan ho jao. mai bhi tumhare saath shahadat ki tamanna me maidane jangh ke andar nikal padi hoon. Ye kahkar dushmano ki taraf doudh pade. Lekin Imaam ne farmaya ye BiBi Tum Age na badho tum aurath ho. Mai Hargiz Hargiz tumhe maidane jangh me jane ki ijazat nahi de sakta. famane  shahi sun kar ye BiBi Saheba majburan wapas Aagaye magar Hazrath Abdullah Kalbi Aakhri Dam tak intehayi jaan baazi aur sar faroshi ke sath ladte rahe aur bahot se yazeediyoun ku mout ke Aagosh me sulah kar Aur khud bhi uruse shahadat se ham Aagosh Hogaye
?????? ?????? ????????? ???????? ?????????"

Muslim Bin Ausaja

          Isi tarha Muslim Bin Ausaja Jo Hazrath Shere Khuda Ali Murtaza Raziyallahu Tala Anhu ke Khaas Shagird Aur Ahle Baith ke intehayi wafadaar o jaanisaar the. Aur joshe jihaad aur jazbaye shahadat se sar shaar the. Hazrath Imaam ke qadmon ka bosa lekar maidane kaarzaar me nikle. To ek intehayi maghroor pehalwaan Aap se jangh ke liye talwar chamkata huwa Aage Badha.Aur Aap par talwar se qatilana waa kiya lekin Aap ne uske waar ku rad karke iske seene me is tarha neza mara ke pusht se paar hogaya. aur isku neeze ki nook er utha kar is zor se zameen par patak ke iske sar ka bheja pash pash ho kar bikhar gaya. Phir Aage Piche kai jangh Aazma sha'Sawar feel mast ki tarha Aap se takraye.Magar Jab Aap ki Burrakh Talwar ka haath bada to Aap ne Sab ku kheere aur kakdi ki tarha kaat kar rakh diya. Aur Aap ki Haibat O Shaja'at Se Dushmano ki fauj zeer o zabar hone lagi. Aur pure lashkar me tahalka mach gaya. Aakhir ibne Sa'ad ne apni fauj ku lalkara ke Ye Buz'Dilo tumhe sharam nahi Aati ke ek Aadmi ku tum log khatal nahi kar sakte? Majburan usne fauj ka e daste ku huku diya ke tum log charon taraf se yalghar karke isku muhasire me lelo. Aur phir sab ke sab ek baargi hamla karke iska sar  kaat lo. Chunanche, rubah sift kufiyon ne is shere haq ku naghe me le liya. Aur teer o talwar aur nezon ki maar se is shah sawar ku ghode se gira diya... Aur Aap ku ghode  se girta huwa dekh kar Hazrath Imaam Aur Habeeb Bin Mazahir Fouran Daudh pade. Aur sarhane khade ho kar pukar ke muslim bin ausaja shahadat mubarak ... Aye mujahid e jaanbaaz ghabrao nahi tumhare bahut se sathi jannat me pahunch chuke hain.. Aur ham bhi bahut jald tumhare peeche Aa rahe hain.. Muslim Bin Ausaja me zara zara si jaan baqi thi Imaam ki Aawaaz sun kar Aap ne Aankhen khol din.. Aur jab dekha ke Ibne Rasoollallah.. Sarhane khade hain... To labon par muskurahat ke Asaar namudaar huwe aur ek dam rooh parwaz kar gayi.

                    Nishan-E-Mard-E-Momin Ba Too Goyam?
                    Choon Marg Aayad Tabassum Bar Lab-E-Ost

          Subhanallah Subhanallah.... Is Joshe Jihaad par Qurbaan Jayiye... Aur Is Zoukhe Shadat ki Lazzat Ka Kai Kehna?

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »