"Rehana tur Rasool" aur "Kahtim-ul-khulfa" Hazrath Imam Hasan Mujtaba Radiallahu Tala Anhu 15 Ramzan 3 Hijri ki Shab me Madine Tayyaba ke andar tawallud huwe aur Hazrath Ali Karam allahuwajhu ki Shahadat ke baad chand maah chand Roz masnade khilafat per Ronakh afroz rahe phir aapne taakhte khilafat Hazrath Ameere Mawiyah Radiallahu Tala Anhu ku ta'fveez farma diya . Iske baad kisi khabees ne aap ku Zahar khila diya. Zahar ke asar se aap ku ishal kabdi lahaq huwa aur Aanton ke tukde kat kat kar is haal me kharij hone lage.us silsile me 40 Roz Sakht takleef rahi aur 5 Rabi-ul-Awwal 49 Hijri me aapne is daare napaye daar se Madine Munawwara me daare Aakhirat ki taraf Rohlat farmayi aur Shahadat se Sarfaraz huwe.
Inna lillahi Wa inna ilaihi Rajioon. aur jannatul baqi me Apni Walida e Majida Hazrath BiBi Fatimatuz Zahara Radiallahu Tala Anha ke pehlu me jigar Goshaye Rasool farzandae Batool madfoon huwe .
Khareeb e wafat jab Hazrath Imam Husain Radiallahu Tala Anhu ne daryafat kiya ke aap ku kisne zaher diya hai?? To Aapne farmaya ke kya tum log usku khatal karoge?? Hazrath Imam e Husain Radiallahu Tala Anhu ne jawab diya ke Beshak - To aap ne farmaya ke jis shakhs per mera gumaan hai agar waqi wahi mera khatil hai to Khuda Wande Khahar wa Jabbar muntaqime haqiqi hai wahi usse Mere Khoon ka intehaam lega agar o nahi hai to my nahi cahta ke mere sabab se koi Be-Gunah maa'ra jaye. Behar haal kisi ku ye nahi maloom ho saka ke aap ka khatil kon hai?? Baaz Mo'arriqeen ne ye likh diya hai ke Jada binte Ashas bin Qais aap ki Zouja ne yazeed paleed ke hukm se Aap ku Zehar diya aur yazeed ne isse nikah ka wada kiya tha isi laluch me usne Hazrath Imam ku Zahar diya lekin is Riwayat ki koi Sahi Sanad moujood nahi hai.Isliye baghair kisi Sahi sanad ke kisi Musalmaan per Imam ke qatal ka ilzam lagana bhala kis tarha jaiz ho sakta hai.Ahle bait ku Qatil ka ilm tha nahi.Hazrath Imam e Hasan Radiallahu Tala Anhu ne daryafat karne per bhi Khatil ka naam nahi bataya aur Hasnain ke sahebzadon ne apni Aakhri umr tak "Jada" se koi shari moukhiza bhi nahi farmaya to phir Jada ku khatil tehrane wala koun hai?? Isliye tajub nahi ke ye kharjiyoun ka ek battareen tabarra ho ke O Hazrath Imam ki Biwi ku ghair ke sath saz baaz karne ki tohmat laga rahe hain..Nouzbilla Wallahu Tala Aalam.
Ref:Haqqani Takhreren pg:223(Hazrath Allama Al-Haaj Abdul Mustafa Aazmi Mujadidi Madazillahu)