Nuzule Quran ke vaqht jo chopaye Aam tor par baar bardari aur savari ke liye istimal hote the vo char janvar the. Unt, Ghode, Khachchar, Gadha. Baar baradari aur suvari ke in char janvaron ka zikr Quran e Majid me khas tor se sarahatan mazkur hai in ke ilava kiyamath tak jitni savariyan aur baar baradari ke sadhan alame wajud me ane vale hain, Allah Tala ne in saab ka tazkira Quran e Majid me ijmalan bayan farma diya hai. chunanche, surah nahal ki mundarijaye zail ayath ko baghor pad lijiye irshade rabbani hai ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur Chopaye paida kiye in me tumhare liye garm libas aur manafaten hain aur in me se khate ho aur tumhara in me tajmmul hai jab inhen shaam ko vapas late ho aur jab charne ko chodte ho aur vo tumhare bojh utha kar le jate hain yese shahar ki taraf ki tum uss tak na pahunchte magar adha mate ho kar beshak tumhara raab nihayath meharban raham vala hai aur ghode aur khachchar aur gadhe ki in par savar ho aur jitna ke liye aur vo paida karega jis ki tumhen khabar nahi.
Iss ayate mubaraka me akhiri zumla "Va Yaklukhu Mala Talamu" me khiyamath tak alame wajud me ane vale tamam baar bardari ke zarayiA aur khisam khisam ki un mukhtalif savariyon ke paida hone ka bayan hai jo zuzule Quran ke vaqht tak ijad nahi huvi thi. maslan sayikil,motar,rel gadiyan,sadken, bahari jahaz, havayi jahaz, heli kaptar, raket vaghaira vaghaira tamam nakhal va hamal ke saman aur savariyon ke zariye saab ka ijmalana zikr farma kar allah tala ne apni khudrate kamila ka izhar aur gaib ki khabar ka aylane Aam farmaya hai. zaraye nakhl va hamal aur suvariyon ke ilava iss ayat me to iss khadar ummum hai ki iss me khiyamath tak paida hone vali har har chiz aur tamam kayinate alam ka ijmalana bayan hai.
Charo savariyan jo nuzule Quran ke vaqht arab me Aam thi in ke bare me kuch khususiyyath hasbe zail hain jo yad rakhne ke khabil hai.
Unt:
Ye bahut se nabiyon aur rasulon ki savari hai. Khuda Huzur Khatimunnabiyin Sallallahu Alaihi O Sallam ne Unt ki savari farmayi aur Aap ki do Untniyan bahut mashhur hain. Ek "Kasva" aur dusri "Azba" jis ke bare me rivayath hai ki ye kabhi dod me kisi Unt se maghlub nahi huvi thi magar ek martava ek Arabi ke Unt se dod me piche rah gayi to Hazrate Sahabaye Kiram ko bahut shak guzara. Iss Mokha par Aap ne irshad farmaya ki Allah par ye haq hai ki jab vo kisi dunya ki chiz ko buland farma deta hai to uss ko pasth bhi kar deta hai. marvi hai ki Aap ki untni "Azba" ne Aap ki vafat ke baad gham me na kuch kaya aur na piya aur vafath pa gayi aur baaz rivayaton me aya hai ki khiyamath ke din isi Untni par savar ho kar hazrate BiBi Fatima Raziyallahu Tala Anhu maidane mahashar me tashrif layengi.
"Hayatun Haivan" me hai ki Unt ke balon ko jala kar iss ki rakh agar bahate huve khoon par chidak di jaye to khoon foran band ho jayega aur Unt ki kulni agar kisi ashiq ki astin me band di jaye to uss ka ishq zayil ho jayega aur Unt ka gosht bahut makhvi baha hai
Ghoda:
Saab se pahale ghode par Hazrate Ismayil Alaihis Salam ne savari farmayi. Aap se pahale ye vahashi aur jangali chopaya tha. isi liye Huzur Alaihis Salam ne farmaya ki tum log Ghode ki savari karo kuinki ye tumhare baap hazrate ismayil Alaihis Salam ki miras hai. Haztate Anas Raziyallahu Tala Anhu ka Bayan hai ki Huzure Akdas Sallallahu Alaihi O Sallam ko biviyon ke baad saab se zaida ghoda mahabub tha. Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anhu se rivayath hai ki ghoda maidane jang me ye tasbih padta hai. "Subbuhun Khuddusun Rabbul Malayikati Varruhi" Khuda Huzure Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ke chand Ghode the jin par Aap savari farmaya karte the.
Mankhul hai ki Hazrate Musa Alaihis Salam ne Hazrate Khizar Alaihis Salam se daryaft farmaya ki kon si savariyan Aap ko pasand hai? To Aap ne farmaya ki Ghoda aur Gadha aur Unt kuinki Ghoda Ulul Azam Rasoolon Ki Savari hai aur Unt Hazrate Hud, Hazrate Saleh, Hazrate Shoyeb Va Hazrate Mohammad Sallallahu Alaihi O Sallam ki Savari hai aur Gadha Hazrate Isa Va Hazrate Uzair Alaihis Salam ki savari hai aur main kuin na iss chopaye (Ghade) se mohabbath rakhun jis ko marne ke baad Allah Tala ne zinda farmaya.
Khachchar:
Ye bi ek mubarakh savari hai. Rivayath hai ki Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ki milkiyyath me 6 Khachchar the. in me se ek safed rang ka tha jo makhukhas valiye misr ne batore hadiya Aap ki khidmate mubaraka me pesh kiya tha jis ka naam "DulDul" tha. Huzur Alaihis Salam Andarune shahar madina aur apne bahar ke safaron me iss par savari farmaya karte the. iss ki umr bahut zaida huyi yahan tak ki iss ke sab danth tut gaye aur iss ki khurakh ke liye jav kut gaye aur iss ki khurakh ke liye jav kut kar dalya bayana jata tha. ye huzur ki vafath ke baad muddaton zinda raha.
Chunanche, Hazrate Usman Raziyallahu Tala Anhu apni Khilafath ke foran iss par savar huve. Aur Aap ke baad Hazrte Ali Raziyallahu Tala Anhu bhi jayenge khawarij ke mokha par isi khachchar par savar ho kar jayen ke liye nikale fir Aap ke baad Aap ke sahibzadagan Hazrate Imaan Hasan va Hazrate Imaam Hussain va Hazrate Mohammad Bin Al Hanafiyya Raziyallahu Tala Anhu ne bhi iss ki suvari ka sharaf paya.
Gadha:
Ye bhi ambiya aur rasoolon ki savari hai aur Huzur Alaihis Salam ki milkiyyath me bhi do Ghade the, Ek ka naam "Afir" aur dusre ka naam "Yafur" tha. Rivayath hai ki "Yafur" Aap ko Khaibar me mila tha aur uss ne Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam se kalam kiya tha ki ya rasoollallah! mera naam "Ziyad Bin Shahab" hai aur mere baap dadaon me 60 ayse ghade guzre hai jin par nabiyon ne savari farmayi hai aur Aap bhi Allah ke nabi hain lihaza meri tamanna hai ki Aap ke baad dusra koi meri pusht par na baite. Chunanche, iss chopaye ki tamanna puri ho gayi ki Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki vafate Akdas ke baad "Ya'fur" shiddate gham se nidal ho kar ek kuven me gir pada aur fauran hi mauth se hamkinar ho gaya. Ye Bhi rivayath hai ki Huzur Alaihis Salam "Ya'fur" ko bheja karte the ki fulan sahabi ko bula kar lao to ye jata tha aur sahabi ke darvaze ko apne sar se khatkhatata tha to vo sahabi Ya'fur ko dekh kar samajh jate ki huzur ne mujhe bulaya hai chunanche, vo foran hi yafur ke saath darbare nabi me hazir ho jaya karte the. hadis me aya hai ki jo shaqhs adna kapda pahanega aur bakari ka dood dohega aur gadhe ki savari karega. uss me bilkul hi takabbur nahi hoga.
Darse Hidayath
In Charo suvariyon ko hakhir nahi samajhna chahiye kuinki Allah Tala ne batore inAm va ahsaan ke in janvaron ki takhlikh ka zikr farmaya hai aur fir in charon savariyon par hazrate ambiya alaihis salam savar bhi huve hain lihaza in savariyon ko tohin va tahakhir bahut badi gustakhi va be adabi hai jo kufr tak pahuch dene vali manhusiyath hai balki har musalman par lazim hai ki in chopayon ko allah tala ki nemath jaan kar shukr baja laye aur hazrate ambiya alaihis salam ki nisbath se in savariyon ki dil se khadar kare aur hargiz hargiz in ki tohin va tahkhir na kare ki iss me iman ki
salamati balki imaan ki nuraniyyath ka raaz muzamir hai aur in charon savariyon ke baad jo dusri savariyan ijad huyi hai in par bhi savar hona zayiz hai aur in savariyon ke bare me ye imaan rakhna lazim hai ki ye saab khuda hi ki paida ki huyi hai aur ye saab savariyan vohi hai jin ke bare me Allah Tala ne Va Yakhlukhu Mala Talamuna Farma kar in ke paida karne ka vada farmaya hai.