Fateh Makka Ki Pesh Goyi

Hijrath ke Vaqth intihayi ranjidgi ke Aalam me Huzur Tajdare Aalam Sallallahu Alaihi O Sallam ne apne pyare ghaar Siddikhe Jaa Nisar Raziyallahu Tala Anhu ko saath le kar raath ki tarikhi me makka se Hijrath farma kar Apne  vatane Aziz ko khairbaad kah diya tha aur Makka se nikalte vaqth Khuda ke Mukhaddas Ghar khanaye Kaba par ek hasrath bhari nigaah dal kar ye farmate huve Madine ravana huve the ki "Ye Makka! Khuda ki Khasam! Tu meri nigaahe mohabbath me tamam dunya ke shahron se ziyada pyara hai. Agar meri khom mujhe na nikalti to main hargiz tujhe na chodta." Uss vaqth kisi ko ye khayal bhi nahi ho sakta tha ki Makka ko iss be sarosamani ke Aalam me Khairbaad kahane vala sirf 8 hi baras baad ek fateh Azam ki shano shokath ke saath yisi shahar makka me Nuzule ijlaal farmayega aur Kabatullah me dakhil ho kar apne sajdon ke jamal va jalaal se khuda ke mukhaddas ghar ki azmath ko sarfaraj farmayega. Lekin huva ye ki ahle makka ne sulhe hudebiyya ke muAhade ko tod dala. Aur sulha name se ghaddari kar ke " Aahad Shikni" ke murtakib ho gaya ki Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke halifa banu khajaA ko Makka valon ne be dardi ke saath khatal kar diya. Bechare Banu KhajaA uss zalimana hamle ki taab na laa kar harme Kaba me panah lene ke liye bhage to in darinda sifath insano ne harme ilahi ke yehtiraam ko bhi khaaq me mila diya aur Harme Kaba me bhi zaliman tor par Banu KhajaA ka Khoon bahaya. Iss hamle me Banu KhajaA ke 23 Admi khatl ho gaye. Iss tarha ahle makka ne apni iss harkat se hudebiyya ke muAhade ko tod dala. Aur yehi Fateh Makka ki tamhid Huyi.

              Chunanche, 10 Ramadan San.8 Hi. Ko Rasoollallah Sallallahu Alaihi O Sallam Madine se 10,000 Lashkare pur Anwar saath le kar Makka ki taraf ravana huve. Madine se Chalte vaqth Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam Aur Tamam  Sahaba e Kiram Rozadar The Lekin jab Aap Makhame "Kadid" me pahunche to pani manga aur apni suvari par baithe huve pure lashkar ko dikha kar Aap ne pani nosh farmaya aur saab ko roza chod dene ka hukum farmaya. Chunanche, Aap aur Aap ke ashab ne safar aur jihad me hone ki vajah se roza rakhna mokuf kar diya.

                                                                             
           Gharaz Fatihana shaano shokat ke sath baniye Kaba ke jaanashin Huzur Rahamatul lil Alamin  Sallallahu Alaihi O Sallam  ne sar zamine Makka me Nuzule ijlal farmaya aur hukum diya ki mera jhanda makhame " Hajun" (Jannatul Mala) ke pass gada jaye aur Hazrate Khalid Bin Valid Raziyallahu Tala Anhu ke naam farman jari kar diya ki vo fojon ke sath Makka ke balayi hisse yani "Kadaa" ki taraf se Makka me dakhil ho.
        


          Rahmate Alamin Sallallahu Alaihi O Sallam ne Makka ki sarzamin me khadam rakhte hi jo pahla farmane shaahi jari farmaya vo ye Aylan tha ki jis ke lafz lafz me Rahamaton ke darya mojen mar rahe hain:
                       "Jo Shakhs Hatyar Dal Dega Us Ke Liye Aman Hai. 
                         Jo Shakhs Apna Darvaza Band Kar Lega Us Ke Liye Aman Hai.
                         Jo Kaba Me Dakhil Ho Jayega Uss Ke Liye Aman Hai"

         Iss Mokhe par Hazrate Abbas Raziyallahu Tala Anhu ne Arz Kiya ki Ya Rasoollullah! Abu Sufyan ek Fakhar pasand  admi hai uss ke liye koi yesi imtiyazi baath farma dijiye ki uss ka saar fakhar se uncha ho jaye to Aap ne farmaya ki " Jo Abu Sufyan Ke Ghar Me Dakhil Ho Jaye Uss Ke Liye Aman Hai"

         Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam  Jab Fatihana Haisiyath se Makka me dakhil hone lage to Aap apni Untni "Kasva" par suvar the aur Aap ek siyah rang ka imama bandhe huve the. Aur bukhari me hai ki Aap ke Sar Par "Mugaffar" tha. Aap ke ek janib Hazrate Abu Bakkar Siddiq Raziyallahu Tala Anhu aur Dusri janib Usaid Bin Huzair Raziyallahu Tala Anhu the aur Aap ke charon taraf josh me bhara huva hathyaron me duba huva lashkar tha jis ke darmiyan ko kubbaye nabvi tha. Iss shahana julus ke jaho jalaal ke bavajud Shahanshahe Risalath Sallallahu Alaihi O Sallam ki shane tavajoa ka ye Aalam tha ki Aap surah Fatiha ki tilavath farmate huve iss tarha sar jhukaye huve Untni par baithe huve the ki Aap ka Saar Mubarakh Untni ke palan se lag lag jata tha. Aap ki ye kaifiyate tavajo Khudavande khuddus ka shukr ada karne aur uss ki bargahe azmath me apni izzath va niyaz mandi ka izhar karne ke liye thi.


Baitullah Me Dakhila:

                    Fir Aap apni Untni par Suvar ho kar Aur Hazrate Usama Bin Zaid ko untni ke piche Bitha kar Masjide Haram ki Taraf ravana huve aur Hazrate Bilal Raziyallahu Tala Anhu aur Hazrate Usman Bin Talha Zahabi Raziyallahu Tala Anhu Kaba ke kilid bardar bhi Aap ke sath the. Aap ne masjide Haram me apni Untni ko bithaya aur Kabe ka Tavaf kiya aur Hazre Asvad ko Bosa Diya.


                     Kaba ke andruni hisar 360 Buton ki Khatar thi. Aap khud ba nafse nafis ek chadi le kar khade huve aur in buton ko chadi ki nok se thoke mar mar kar girate jate the. aur ki Ayath"JaaAl-Hakhkhu Vazahakhal Batilu" Tilavath farmate the. Yani Haq Aa Gaya Aur Batil Mit Gaya Aur Batil Mitne Hi Ki Chiz Thi.



                     Fir un buton ko jo yen Kabe ke Andar the Aap ne un saab ko nikalne ka hukum farmaya. Jaab Tamam Buton se Kaba paak ho gya to Aap apne sath Usama Bin Zaid  aur Hazrate Bilaal Raziyallahu Tala Anhu aur Usman Bin Talha Zahabi Raziyallahu Tala Anhu ko saath le kar khanaye Kaba ke andar tashrif le gaye aur tamam goshon par takbir padi aur do rakath namaz bhi padi.


                     Kaba e Mukhaddas ke andar se jab Aap bahar nikle to Hazrate Usman Bin Talha Raziyallahu Tala Anhu ko bula kar Kaba ki Kunji un ke sath me Aata farmayi aur irshad farmaya ki
                                                                                                              Yani lo ye kunzi hamesha hamesha ke liye tum logon me rahegi. Ye kunji tum se vohi chinega jo zalim hoga.

Shahanshahe Do'Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ka Darbare Aam:

              Is ke baad harme ilahi me Aap ne saab se pahla darbare Aam munakhid farmaya jis me afvaje islam ke ilava hazaron kuffar va mushrikin ke avamo khavas ka e zabardasth ijdaham tha. Iss darbar me Aap ne ek khutba diya aur fir ahle Makka ko mukhatab kar ke Aap ne farmaya ki bolo, Tum ko malum hai ki Aaj main tum se kai muamla karne vala hun.
             Iss dahshath angrez aur khofnak suval se tamam mujrimin havas bakhta ho kar kamp uthe, lekin jabine rahamath ke paighambarana tevaron ko dekh kar saab ek zaban ho kar bole " Akhum Karimun Vabnu Akhin Karimin" yani Aap karam vale bhai aur Karam vale Baap ke Bete hai. Ye sun kar fatehe Makka Sallallahu Alaihi O Sallam ne apne karimana lahje me irshad farmaya ki 
                                       Aaj tum par koi Malamath nahi, Jao tum sab azad ho.
          Bilkul Ghair mutavakkeA tor par ek dam achanak ye farmane rahamath sun kar sab mujrimo ki Ankhen farte nadamat se ashkbaar ho gayi. aur kuffar ki zabano par  
La Ilaha Illallah Mohammadur Rasoollullah 
ke naron se Harame Kaba ke darodibar par barishe anvar hone lagi. Mujrimo ki nazar me nagahan ek azib inkhilab barpa ho gaya ki samaa hi badal gaya, faza hi palat gayi aur ek dam yesa mahsus hone laga ki.
                       Jahan Tarikh Tha Zulmat Kada Tha Sakht Kala Tha
                       Koi Parde Se Kai Nikla,Ghar Ghar Ujala Tha.

Fateh Makka Ki Tariqh:

             Iss me bada Iqtilaf ye hai makka mukarrama kon si tarikh me fatha huva? Imaan baihaki ne 13 Rmazan, Imam e Muslim ne 16, Imam Ahmad ne 18 ramzan bataya, Magar Mohammad Bin Ishaq ne apne mashayik ki ek jamath se rivayath karte huve farmaya ki 20 Ramzan 8 Hi. Ko Makka Fatha Huva.

     
Fathe Makka ki Peshn Goyiyan aur Bisharaten Quran e Karim ki chand ayaton me mazkur hai in me se surah nasr bhi hai.Chunance, Khudavande karim ne Irshad Farmaya:
           
  Tarjuma e Kanzul Imaan

                    Jab Allah ki Madad aur fatha aye aur logon ko tum dekho ki Allah ke din me foj foj dakhil hote hain to apne raab ki sana karte huve uss ki paki bolo aur uss se bakhshis chaho beshak vo bahut toba khabul karne vala hai.

Darse Hidayath:

             Fateh Makka ke vakha se ye sabak milta hai ki Huzur Rahamathullil Alamin Sallallahu Alaihi O Sallam ne Iss mokha par afvo dar guzar aur rahmo karam ka jo yelan va izhar farmaya tarikhe Alam me kisi fateh ki zindagi me iss ki misal nahi mil sakti.

            Gor Farmayiye ki ashrafe khuraish ke in zalimo aur zafakaron me vo log bhi the jo barha Aap Sallallahu Alaihi O Sallam Par patthar ki barish kar chuke the, vo Khunkhwar bhi the jinhon ne barha Aap Sallallahu Alaihi O Sallam par Khatilana Hame kiye the, Vo be raham va be darde bhi the zinhon ne Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke dandane Mubarak ko Shahid, Aur Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke chehre Anvar ko lahoo luhan kar dala tha. Vo Aubash bhi the jo. 

Barsahan baras tak apni bohtan tarashiyon aur sharmnaak ghaliyon se Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke khalbe Mubarak ko zakhmi kar chuke the. vo saffak aur darinda sifath bhi the jo Aap Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ke gale me Chadar kar fanda dal kar Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ka gala ghont chuke the. vo zulmo sitam ke mujassame, aur pap ke putle bhi the, jinhone Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ki sahibazadi Hazrate Zainab Raziyallahu Tala Anhu ko neza mar kar unt se gira diya tha aur un ka hamla sakith ho gaya tha. vo zafakar va khunkhwar bhi the jin ke zarehana hamlon aur zalimana yalgar se bar bar madine ke daro divar hil chuke the. vo sitam ghar bhi the jinhonne Huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke pyare chacha Hazrate Hamza Raziyallahu Tala Anha ko khatal kiya aur un ki naak kan kaatne vale, un ki ankhen fodne vale, un ka zigar chabane vale bhi iss majmaA me mozud the  vo be raham bhi the jinhon ne shamaye  nabuvvath ke jahan nisar parvano Hazrate Bilal, Hazrate Suhaib, Hazrate Ammar, Hazrate Khubbab, Hazrate Khubbaib, Hazrate Zaid Bin Dashna Raziyallahu Tala Anha  Ko rassiyon se band band kar koden mar mar kar jalti reton par litaya tha, Kisi ko Aag ke dahkte huve koilon par sulaya tha, kisi ko suli par latka kar shahid kar diya tha. ye tamam joro jafa aur zulmo sitam gari ke paikar, jin ke jism ke gongte rongte aur badan ke baal baal, zulmo udban aur sarkashi va tugyan ke vabal se sharmnak mazlim aur khofnak zurmo ke pahad bana chuke the, Aaj ye saab ke saab 10,12 hazar muhajirin va ansar ke lashkar ki hirasat me mujrim bane huve khade kamp rahe the aur apne dilon me ye soch rahe the ki shayad Aaj hamari lasho ko kutton se nochva kar hamari botiyan chilon aur kavvon ko khila di jayengi aur ansar va muhajirin ki gazabnak fozen hamare bachche bachche ko khako khoon me mila kar hamari naslon ko nesto nabud kar dalengi aur hamari bastiyon ko takhto taraz kar ke tahas nahas kar dengi, magar in sab mujrimin ko Rahamate Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ne ye kah kar muaf farma diya ki intikham to kaisa? Badla to kahan ka? Aaj tum par koi mlamath bhi nahi. Ye asman bol! Ye zamin bata! Ye chand va suraj tum bolo! kai tum ne roohe zamin par yesa fateh aur raham dil shahanshaah kabhi dekha hai? ya kabhi suna hai? Sun lo tumhare pas iss ke siva koi javab nahi hai ki huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ke siva aur koi fateh na huva hai na hoga. Kuinki rasule akram Sallallahu Alaihi O Sallam apne har kamal me be misal va be misal hain.

           Musalmano! Ye hain hamare Huzure Anwar Sallallahu Alaihi O Sallam ka usvaye hasana aur sirate mubaraka. Lihaza ham musalmano par lazim hai ki apne pyare rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ke usva e hasana aur sirate mukhaddas par amal karte huve apne dushmano se badla aur intikham lene ka jazba apne dil se nikal kar apne dushmano ko darguzar karne aur muaf kar dene ki koshish karen. kuinki logon ki taksirat aur khataon ko muaf kar dena, ye hamare rasoole akram Sallallahu Alaihi O Sallam ki sunnat bhi hai aur yehi ummath ke liye huzur Sallallahu Alaihi O Sallam ki talim bhi hai. jaisa ki Aap guzashta safhath par ye hadis padchuke hain ki 
Yani jo tum se Talluk kate tum uss se mail milap rakho aur jo tum par zulm kare uss ko muaf kar diya karo aur jo tumhare sath badsulukhi kare tum uss ke sath yehsan aur achcha suluk karo aur Quran e Majid me bhi Afve takhsir aur dushmano se darguzar kar dene valon ke bade bade darjath  va martib bayan kiye gaye hain. Irshade bari tala hai ki 
Yani Logon ki khataon ko muaf kar dene vale Allah Tala ke mahbub bande hain aur bade darjat vale hain.

       Khudavande Karim har Musalman ko rasoole Akram Sallallahu Alaihi O Sallam ke usvaye hasna aur sirate mubaraka par amal kar ne ki tofiq Aata farmaye(Ameen)

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »