Hazrate Adam Alaihis Salam Ko Allah Tala ne kitne aur kis Khadar Ulum Ata farmaya aur kin kin chizon ke Ulum va Marifa ko Alimul ghaib Vashshahadah ne ek lamhe ke andar un ke sina e akhdas me ba zariya e ilham jama farma diya, jin ki badolath hazrate adam alaihis salam ulum va marifa ki itni buland tarin manzil par fayiz ho jaye ki firishton ki mukhaddas jamath Aap ke ilmi vakhar va irfani azmath va ikhtidar ke rubaru sar va sujud ho gayi, in ulmu ki ek fehristh Aap kutbe zamana hazrate allama shaikh ismayil hakki alaihi rahama ki shohra e afakha tafsir ruhul bayan sharif me padiye jis ka tarjama hasbe zail hai, vo farmate hain:
Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam ko tamam chizon ka naam, tamam zabano me sikha diya aur un ko tamam malayika ke naam aur tamam avlade adam ke naam, aur tamaam haivanath va nabatat va jamadath ke naam, aur tamam chiz ki sanaton ke naam aur tamam shahron aur tamam bastiyon ke naam aur tamam parandon aur darakhton ke naam aur jo ayinda alame wuzud me ane vale hain saab ke naam aur khiyamath tak paida hone vale tamam jandaron ke naam aur tamam khane pine ki chizon ke naam aur jannath ki tamam nematon ke naam aur tamam chizon aur samano ke naam, yahan tak ki piyala aur piyali ke naam.
Aur Hadis Sharif me hai ki Allah Tala ne Aap ko 7 lack zabane sikhayi hain.
In Ulume azkura e bala ki fehrist ko Quran e Majid ne Apne mojizana javameul kalam ke andaze bayan me sirf ek jumle ke andar bayan farma diya hai. Chunanche, Irshade rabbani hai ki
Aur Allah Tala ne Adam ko tamam ashya ke naam sikhaye
Read More:
1.Khilafate Adam Alaihis Salam
2.Taqhlikhe Adam Alaihis Salam
Darse Hidayath
Hazrate Adam Alaihis Salam ke khazayine Ilm ki ye azim fehristh dekh kar sochiye ki jab hazrate adam alaihis salam ke ulum va maarif ki ye manzil hai to fir huzur sayyide adam va sarvare avlade adam, Khalifatulahil Azam Hazrate Mohammadur Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ke Ulume Aliya ki kasrath va vusaat aur un ki rufaath va azmath ka kai alam hoga? main kahta hun ki vallah hazrate adam alaihis salam ke ulum ko sarkare do alam sallallahu Alaihi O Sallam ke ulum se itni bhi nisbath nahi ho sakti jitni ki ek khatre ko samandar se aur ek zarre ko tamam roohe zamin se nisbath hai. Allahu Akbar! kahan ulume Adam aur kahan ulume sayyide Alam!
Farsh Ta Arsh Sab Ayna, Zamayir Hazir
Bas Khasam Khayiye Ummi Teri Danayi Ki