As'habul Ukhdud Ke Mazalim


"As'habul Ukhdud" ke bare me mufassirin ka ikhtilaf hai ki ye kon log the? aur in ka kai vakhiya tha. Iss bare me Hazrate Suhaib Raziyallahu Tala Anhu se rivayath hai ki agli ummaton me ek badshaah tha jo khudayi ka dava karta tha aur ek jadugar uss ke darbar ka bahuth hi mukharrab tha. Ek din jadugar ne badshaah se kaha ki main Aab Budda ho chuka hun. Lihaza Tum ek ladke ko mere pass bhej do taki main uss ko apna jadu sikha dun. Chunanche, Badshaah ne ek hoshiyar ladke ko jadugar ke pas bhej diya. Ladka rozana jadugar ke pass ane jane laga lekin raste me ek imandar rahib rahta tha. ladka ek din us rahib ke pass baitha to uss ki baten ladke ko bahuth pasand Aa gayi. Chunanche, ladka jadugar ke pas ane jane me rozana rahib ke pass baitne laga. ek din ladke ne dekha ki ek bada aur muhib janvan khada insano ka rasta roke huve hai. ladke ne ye manzar dekh kar ye kaha ki Aaj ye zahir ho jayega ki jadugar afzal hai ya rahib? Chunanche, ladke ne ek patthar utha kar ye dua mangi ki ya Allah Azzawajal agar tere darbar me ye mazhab jadugar se zaida makhbul va mahaboob ho to iss janvar ko isi pathtar se makhtul farma de. Ye dua kar ke ladke ne janvar ko us patthar se maar diya to ye bahuth bada janvar ek chote se patthar se khatal ho kar mar gaya aur logon ka rasta khul gaya. Ladke ne rahib se ye pura vakhiya bayan kiya to  rahib ne kaha ki ye ladke! khuda azzawajal ke darbar me tera martaba buland ho gaya hai. Lihaza ab tu ankharib imtihan me dala jayega. iss liye kisi ko mera pata na batana aur imtihan ke bakht sabr karna. iss ke baad ye ladka iss khadar sahibe karamat ho gaya. ki duaon se madarzad andhe aur khodi shifa pane lage. rafta rafta badshaah ke darbar me uss ka charcha hone laga to badshaah ke ek bahuth hi mukharrab ham nashin jo andha ho gaya tha uss ladke ke pass bahuth se hadaya aur tahayif le ka hazir huva. Aur apni basarath ke liye dua ka talib huva. to ladke ne kaha ki agar tu Allah Tala par imaan laye to main tere liye dua karunga. Chunanche, vo imaan laya aur ladke ne uss ke liye dua kar di to foran hi vo ankh yar ho gaya aur badshaah ke darbaar me gaya to badshaah ne pucha ki tumhari ankhon me basarath kaise Aagayi? To Mukharba ham nashin ne kaha ki mere raab ne mujhe basarath Aata farma di hain. Badshaah ne ghazab naak ho kar kaha ki kai mere siva bhi tumhara koi raab hai? To uss ne kaha ki han, Allah Tala mera aur tera dono ka raab hai. Badshaah ne uss ko tarha tarha ki sazayen de kar pucha ki kis ne tujhe ye bataya hai? to uss ne ladke ka naam bata diya. fir badshaah ne ladke ko kaid kar ke uss ko iss khadar mara pita ki uss ne rashib ka naam bata diya. Badshaah ne rahib ko giraftar kar ke uss se kaha ki tum apne akhide ko chod do magar rahib ne saf saf kah diya ki main apne iss akhide par akhiri dam tak khayim rahunga ye sun akr badshaah Aag Bagola ho gaya aur uss ne rahib ke sar par Aara chlva kar uss ke do tukde kar diye. Iss ke baad badshaah ne apne mukharrab ham nashin ke saar par bhi ara chalva diya. fir ladke ko sipahiyon ke sapurd kiya aur hukum diya ki iss ko pahad ki choti par chada kar upar se niche ludka do. ladke ne pahad par chad kar dua mangi to ek zalzala aya aur badshaah ke sipahi zalzale ke jhatkon se halak ho gaya aur ladka salamati ke saath fir badshaah ke samne Aa khada ho gaya. fir badshaah ne ghaizo ghazab me bhar kar hukum diya. ki iss ladke ko kashti par bitha kar samandar me le jao aur samandar ki gahrayi me le jaa kar iss ko samandar me fenk do. Chunanche, badshaah ke sipahi iss ko kashti me bitha kar le gaye. Fir jab ladke ne dua mangi to kashti ghark ho gayi aur saab sipahi halak ho gaye aur ladka sehath va salamati ke saath badshaah ke samne Aa kar khada ho gaya aur badshaah hairan rahgaya fir ladke ne badshaah se kaha ki agar tu mujh ko shahid karna chahta hai to iss ki sirf ek hi surath hai ki tu mujh ko suli par latka kar aur ye pad kar mujhe tir mar ki "Bismillahi Rabbil Ghulami" Chunanche, isi tarkhib se badshaah ne uss ladke ko tir mar kar shaahid kar diya.

          Ye manzar dekh kar hazaron ke majmaA ne buland avaz se ye yelan karna shuru kar diya ki ham iss ladke ke raab par imaan laye. Badshaah gusse me bokhla gaya aur uss ne gada khudva kar uss me Aag jalvayi. Jab Aag ke shole khub buland hone lage to uss ne imandaron ko pakadva kar uss Aag me dalna shuru kar diya. yahan tak ki sattar mominin ko uss Aag me jala dala. Akhir me ek imaan vali Aurath apne bachche ko god me liye huve Aayi aur jab badshaah ne uss ko Aag me dalne ka irada kiya to vo kuch ghabrayi to uss ke dood pite bachche ne kaha ki meri maa! Sabar kar tu haq par hai. Bachche ki avaz sun kar uss ki maa ki jazba e imaani bedar ho gaya aur vo mutmayin ho gayi. fir zalim badshaah ne uss momina ko bhi uss ke bachche ke saath Aag me fenk diya.

        Badshaah aur uss ke sathi khandakh ke kinari mominin ke Aag me jalne ka manzar kursiyon par bait kar dekh rahe the aur apni kamyabi par khushi mana rahe the aur kahkahe laga rahe the ki ek daam kahare ilahi ne zalimon ko apni girifth me le liya. Aur vo iss tarha ki khandakh ki Aag ke shole iss khadar badhak kar buland huve ki badshaah aur uss ke sathiyon ko Aag ne apni lapet me le liya aur saab ke saab lamha bhar me jal kar raaqh ka dher ho gaye aur bakhi tamam dusre mominin ko Allah Tala ne kafir aur zalim ke shaar se bacha liya.

   Iss vakhiye ko Allah Tala ne Qurane Majid me in lafjon ke Saath Bayan farmaya hai:
Tarjuma E Kanzul Imaan

                   Khayi volon par lanath ho vo uss bhadakti Aag vale jaab vo uss ke kinaron par baithe the aur vo khud gavah hai jo kuch musalmano ke saath kar rahe the.

Darse Hidayath:

   1. Iss vakhiye se ye hidayath ka sabakh milta hai ki umuman khuda ki taraf se imtihan huva karta hai aur ba vakhte imtihan momino ka balaon aur musibaton par sabiro shakir rahna hi iss imtihan ki kamyabi hai.

  2. Ye bhi malum huva ki Imaan e kamil ki yehi nishani hai ki momin khuda azzawajal ki rah me padne vali taklifon aur musibaton se ghabra kar kabhi bhi uss me tazba-zuba nahi pada hota, balki momin khwah fulon ke har ke niche ho ya talvar ke niche, pani me garkh kiya jaye ya Aag ke sholeon me jalaya jaye har haal me bahar surath vo apne Imaan par istikhamath va istiklal ke saath pahad ki taraf khayim rahta hai aur iss ka khatima imaan hi par hota hai. ye vo saadate uzma hai ki jis ko nasib ho jaye uss ki khush bakhtiyon ki meraj ho jati hai aur vo khuda azzawajal aur rasool Sallallahu Alaihi O Sallam ki bargaha me vo kurb hasil kar leta hai ki asmano ke firishte uss ke Aala maratib ki saar bulandiyon ke maddah aur sana khwan ban jate hain.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »