Hazrate Hasan va Hazrate Hussain Raziyallahu Tala Anhu Bachpan me ek martaba bimar ho gaye to Hazrate Ali Va Hazrate Fathima Va Hazrate Fizza Raziyallahu Tala Anhu ne in shahzadon ki sehhat ke liye 3 rojon ki mannath mani. Allah Tala ne Dono Shahzadon ko shifa de di. Jab nazar ke rojon ko ada karne ka vakht aya to saab ne roze ki niyyath kar li Hazrate Ali Raziyallahu Tala Anhu ek yahudi se 3 Saa Jaav laye. ek ek Saa Tino din pakaya lekin jab iftar ka vaqth aya aur tino rozadaron ke samne rotiyan rakhi gayi to ek din miskin, ek din yatim, ek din kaidi darvaje par Aa gaya aur rotiyon ka suval kiya to tino din saab rotiyan sayilo ko de di gayi aur sirf pani se iftar kar ke Agla roz rakh liya gaya.(Hazrate Fizza Raziyallahu Tala Anhu Hazrate Bivi Fatima Raziyallahu Tala Anhu ke ghar ki khadima thi.
Quran e Majid me Allah Tala ne Apne Mahabub Sallallahu Alaihi O Sallam ki pyari beti ke ghar ki iss sargujasht ko in lafjon me bayan farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur Khana Khilate hain uss ki mohabbath par miskin aur yatim aur asir (kaidi) ko un se kahte hain ham tumhen khas Allah ke liye Khana dete hain tum se koi badal ya shukr guzari nahi mangte.
Darse Hidayath
Subhanallah Iss vakhiye se Ahle Baite Nabuvath ki sakhavath ka azibo gharib aur adimul misal hal malum hota hai. Musalsal 3 Roze aur sahari va iftar me sirf pani pi kar roze rakhna aur khud bhuke rah kar rotiyan saylon ko de dena ye koi mamuli baath nahi hai. Allahu Akbar! Kisi ne kai khoob kaha hai ki.
Bhuke Rahte The Khud Auron Ko Khila Dete The
Kaise Sabir The Mohammed Sallallahu Alaihi O Sallam Ke Dharne Vale