Taqhlikhe Adam Alaihis Salam


Hazrate Adam Alaihis Salam ki na Maa hain Na Baap. Balki Allah Tala ne in ko mitti se banaya hai. Chunanche, Rivayath hai ki jab khudavande kuddus azzawajal ne Aap ko paida karne ka irada farmaya to hazrate izrael alaihis sallam ko hukum diya ki zamin se ek mutthi mitti layen hukme khudavandi azzavajal ke mutabikh Hazrate Izrael Alaihis Salam ne Asman se utar kar Zamin se ek Mutti Mitti Uthayi to puri rooh he zamin ki upari parat chilke ke manind utar kar Aap ki mutti me Aa gayi. Jis me 60 rangon aur mukhtalif kaifiyyaton vali mittiyan thi. Yani safed va siyah aur surkh va zard rangon vali aur narm va sakht, shirin va talkha, namkin va fiki vaghaira kaifiyaton vali mittiyan shamil thi.

       Fir Iss mitti ko mukhtalif paniyon se gundhne ka hukum farmaya. chunanche, ek muddath ke baad ye chipakne vali ban gayi. fir ek aur muddath tak ye gundhi gayi to kichad ki tarha budar ghara ban gayi. fir ye khushk ho kar khankhanati aur bajati huyi mitti ban gayi. fir iss mitti se Hazrate Adam Alaihis Salam ka putla bana kar jannath ke darvaze par rakh diya gaya jis ko dekh dekh kar firishton ki jamath tajjub karti thi. kuinki farishton ne yesi shaklo surat ki koi makhluk kabhi dekhi hi nahi thi fir Allah Tala ne iss putle me rooh ko dakhil hone ka hukum farmaya. Chunanche, rooh dakhil ho kar jab Aap ke nathno me pahunchi to Aap ko chink ayi aur jab rooh zaban tak pahunch gayi, to Aap ne Alhamdu Lillah pada aur Allah Tala ne farmaya Yarhakumullah yani allah tala tum par rahamath farmaye. ye abu mohammad(Adam) me ne tum ko apni hamd hi ke liye banaya hai. Fir rafta rafta pure badan me rooh pahunch gayi aur Aap jinda ho kar uth khade huve.

        Tirmizi aur Abu Dawood me ye hadis hai ki hazrate adam Alaihis Salam ka putla jis mitti se banaya gaya chunki vo mukhtalif rangon aur mukhtalif kaifiyyaton ki mittiyon ka majmua thi isi liye Aap ki avlad yani insano me mukhtalif rangon aur kism kism ke mizazon vale log ho gaye.

       Hazrate Adam Alaihis Salam ki kunyath Abu Mohammad ya Abul Bashar aur Aap ka lakhab " Khalifatullah" hai aur Aap saab se pahle allah tala ke nabi hain. Aap ne 960 baras ki umr payi aur ba vaqhte vafath Aap ki avlad ki tadad ek lack ho chuki thi. jinhon ne tarha tarha ki sanaton aur imaraton se zamin ko abad kiya.

      Quran e Majid me bar bar iss majmun ka bayan kiya gaya hai. ki hazrate Adam Alaihis Salam ki takhlikh mitti se huyi. Chunanche, Surah Ale Imran me irshaad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Yisa ki kahavath Allah Ke Nazdik adam ki tarha hai use mitti se banaya fir farmaya ho ja vo foran ho jata hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Beshak ham ne un ko chipakti mitti se Banaya.

    Kahin ye farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur Beshak ham ne Admi ko bajti huyi mitti se banaya jo asal me ek siyah budar ghara thi.

Hazrate Havva Raziyallahu Tala Anha

         Jab Hazrate Adam Alaihis Sallam ko khudavande khuddus ne bahisht me rahane ka hukum diya to Aap jannat me tanhayi ki vajah se kuch malul huve to Allah Tala ne Aap par nind ka ghalba farmaya aur Aap gahari nind so gaye to nind hi ki halath me Aap ki bayi pasli se Allah Tala ne Hazrate Havva Raziyallahu Tala Anha ko paida farma diya.

        Jab Aap nind se bedar huve to ye dekh kar hairan rah gaye ki ek nihayath hi khoob surath aur hasino jamil aurath Aap ke pass baithi huyi hai. Aap ne un se farmaya ki tum kon ho? Aur kis liye yahan ayi ho? To hazrate Havva Raziyallahu Tala Anha ne javab diya ki main Aap ki Bivi hun aur Allah Tala ne mujhe iss liye paida farmaya hai taki Aap ko mujh se uns aur sukune kalb hasil ho. Aur mujhe Aap se unsiyyath aur taskin mile aur ham dono ek dusre se mil kar khush rahen aur pyar va mohabbath ke saath zindagi basar karen aur khudavande khuddus azzawajal ki nematon ka shukr ada karte rahen.

        Quran e Majid me chand Makhamath par Allah Tala ne hazrate havva ke bare me irshad farmaya, maslan!
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur usi me se uss ka joda banaya aur un dono se bahuth se mard va aurath faila diye.

Darse Hidayath

             Hazrate Adam Alaihis Sallam va Havva Raziyallahu Tala Anhu ki takhlikh ka vakhia mazamine Quran e Majid ke un Ajayibath me se hain jis ke daman me badi badi ibraton aur nasihaton ke gohre abdar ke ambar poshida hain jin me se chand ye hai.

            Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam ko mitti se banaya aur Hazrate Havva Raziyallahu Tala Anha ko Hazrate Adam Alaihis Salam ki phasli se paida farmaya. Quran ke iss farman se ye hakhikhat iyan hoti hai ki Khalikhe Alam Azzawajal ne Insano ko char tarikho se paida farmaya hai ki

((Avval)) 
              Ye ki mard va aurath dono ke milap se, jaisa ki Aam tor par insano ki paidayish hoti hai. Chunanche, Quran e Majid me saf saf yelan hai ki 
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Beshak ham ne admi ko paida kiya mili huyi mani se.

((Duvum))
                Ye ki tanha mard se ek insan paida ho. aur vo Hazrate Havva Raziyallahu Tala Anhu  hain ki Allah Tala ne un ko Hazrate Adam Alaihis Salam ki Bayi Phasli se paida farma diya.

((Sivum))
               Ye ki Tanha ek Aurath se ek insan paida ho. Aur vo Hazrate Isa Alaihis Salam hain jo ki pak daman kavari BiBi Maryam Raziyallahu Tala Anhu ke shikam se bighor baap ke paida huve.

((Chahrum))
                   Ye ki bighor mard va Aurath ke bhi ek insan ko Khudavande Khuddus Azzawajal ne Paida farmadiya aur vo insan Hazrate Adam Alaihis Salam hain ki Allah Tala ne un ko mitti se bana diya.

           In vakhiyath se mundarijaye zail asbaakh ki taraf rahnumayi hoti hai.

     1. Khudavande Khuddus yesa khadiro khayyum aur khallikh hai ki insano ko kisi khas ek hi tarikhe se paida farmane ka paband nahi hai, Balki vo yesi azim khudrath vala hai ki vo jis tarha chahe insano ko paida farma diya.jo us ki khudrath va hikmath aur uss ki Azimushshan Khalkhiyath ka nishane Aazam hai. Subhanallah Khudavande khuddus ki shane Khalkhiyath ki azmath ka kai kahna? jis khallake Alam ne kursi va arsh aur loho khalam aur zmino asman ko "Kun" farma kar mojud farma diya aur uss ki kudrate kamila aur hikmate baligh ke huzur khalikate insani ki bhala hakhikhath ba haisiyah hi kai hai. lekin iss me koi shak nahi ki takhlikhe insan uss khadire mutallak ka vo takhlikhi shahkar hai ki kayinath Alam me iss ki koi misal nahi. kuinki vajude insan Alame khalq ki tamam maqlukath ke numuno ka ek jamea markaa hai Allahu Akbar! kai khoob irshaad farmaya.  Maula e Kayinath Hazrate Ali Murtaza Raziyallahu Tala Anhu ne ki.
 Tarjuma

               Ye insan! Kai tu ye guman karta hai ki tu ek chota sa jism hai? Halanki teri azmath ka ye haal hai ki tere andar Alame Akbar simta huva hai.

     2. Mumkin tha ki koi mard ye khayal karta ki agar ham mardon ki jamath na hoti to tanha auraton se koi insan paida nahi ho sakta tha. isi tarha mumkin tha ki auraton ko ye guman hota ki agar ham auraten na hoti to tanha mardon se koi insan paida na hota. isi tarha mumkin tha ki aurath va mard dono mil kar ye naaz karte ki agar ham mardon aur  auraton ka wazud na hota to koi insan paida nahi ho sakta tha, to Allah Tala ne chalron tarikhon se insano ko paida farma kar auraton aur mardon dono ka muh  band kar diya ki dekh lo, Ham yese khadiro Khayyum hain ki Hazrate havva Raziyallahu Tala Anhu ko tanha mard yani hazrate Adam Alaihis Salam ki phasli se paida farma diya. Lihaza ye Auraton! Tum ye guman math rakho ki agar auraten na hoti to koi insan paida na hota. isi tarha Hazrate Isaa Alaihis Salam ko tanha Aurath ke shikam se baghair mard ke paida farmaa kar mardon ko tambiha farma di ki ye mardon! Tum ye naaz na karo ki agar tum na hote to insano ki paidayish nahi ho sakti thi. dekh lo! Ham ne Hazrate Isa Alaihis Salam ko tanha Aurath ke Shikam se baghair mard ke paida farma diya. Aur hazrate Adam Alaihis Salam ko baghair mard va aurath ke mitti se paida farma kar auraton aur mardon ka muh band farma diya ki ye auraton aur mardon! tum kabhi bhi apne dil me khayal na lana ki agar ham dono na hote to insano ki jamath paida nahi ho sakti thi. dekh lo! Hazrate Adam Alaihis Sallam ke na Baap hai na Maa, Balki ham ne un ko mitti se paida farma diya. Subhanallah sach farmaya Allah azzawajal ne ki
  Tarjuma e Kanzul Imaan

                    Allah Azzawajal har chiz ka banane vala hai aur vo akela saab par ghalib hai.

         vo jis ko chahe aur jaise chahe aur jab chahe paida farma deta hai. Uss ke afAal aur uss ki khudrath kisi asbab va Yeel aur kisi khas tor tarikhon ki bandishon ke mohtaz nahi hain. vo " Faallul Limaa Yuridu" hai.

         Yani vo jo chahta hai karta hai. uss ki shaan "YafAlullahu Ma Yashau Va YafAlullahu Ma Yuridu" hai. Yani jis chiz aur jis kaam ka vo irada farmata hai uss ko kar dalta hai. na koi uss ki mashiyyath va irade me dakhal andaz ho sakta hai, Na kisi ko uss ke kisi kaam me chu va char ki majal ho sakti hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »