Tilavath Ki Ahamiyath Va Adab

Hazrate Abu Huraira Raziyallahu Tala Anha Se Rivayath hai Inhon ne kaha ki Rasulullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki Quran 5 Tarikhon par nazil huva. Halal va Haram va Mohkam va Mutashabeh aur Amsaal. Tu tum log Halal Ko Halal Jano Aur Haram ko Haram Jano aur Mohkam Par Amal karo aur Mutashabeh par Imaan lao aur Amsalon(Gujishta Ummaton ke Khisson aur Misalon) se ibrath hasil karo. Quran e Azim ke mazkura bala panchon mazamin par mutala hone ke liye zaruri hai ki Quran e Paak ko bagair Aur Bar bar samjh kar pada jaye. Isi liye tilavate Quran e Majid ka iss khadar  zaida savab hai ki har harf ke badle iss nekiyan milti hai yani maslan kisi ne sirf  Alif Laaam pada aur uss ki tilavath makhbul ho gayi to uss ko 30 nekiyan milengi kuinki uss ne Quran ke 3 harfon ko pada hai.

Tilavath Ke Chand Adab

     1. Misvakh kar ke sahih tarikhe se vazu kar le aur khibla rooq ho kar bait jayen aur "Aauzu                    Billahi Minash Shaitan Nirrajim . Bismillahir Rahaman Nirrahim" pad kar Alfaz va maani            me ghoro fikar karte huve dil ko puri tarha mutavajjeh kar ke khushu va khuzu aur nihayath                izza va inkisari ke saath tilavath me mashgul ho aur na bahuth buland avaz se pade aur na bahut          fasth avaz kare. Balki darmiyani avaz se pade.

     2. Behtar ye hai ki dekh kar tilavath kare kuinki Quran e Majid ko dekhna bhi ibadath hai aur                  ibadaton me savab bhi do guna milta hai. hadis sharif me hai ki jis ne dekh kar Quran e Majid ki          tilavath ki uss ke liye do hazar nekiyan likhi jayengi aur jis ne zabani pada uss ke liye ek hazar            nikiyan likhi jayengi.

     3. Teen din se kaam me Quran e Kareem na Khatam kare Balki kaamaz kaam 3 din ya 7 din ya 40          din me Quran e Kareem khatam kare taki mani va matalib ko samajh kar tilavath karen.

     4. Tartil ke saath itminan se aur tahar tahar kar tilavath kare. Irshade Rabbani hai:
                                      Yani Khoob Tahar Tahar Kar Quran E Majid Ko Pado.
          Iss me kayi faide hain, Avvalan to iss se Quran e Majid ki Azmath Zahir hoti hai. aur saniyyan           Quran e Majid ki Azmath zahir hoti hai. Aur saniyyan Quran e Majid ke Azayib va Gharayib               ko sochna aur mani ko samajhna hi tilavath ka maksude azam hai aur ye tartil ke baghair                     dushvar hai.

     5. Ba Vaqhte Tilavath har lafz ke maani par nazar rakhe aur vada va vayid ko samajhne ki koshish          kare aur har khitab me apne ko mukhtab tasavvur kare aur umr va nahya aur khasas va hikayath          me apne Aap ko marjaye khitab samajhe aur ahkam par amal paira hone aur mamnuAath se               baaz rahne ka pukhta irada kar le. 

     6. Daurane tilavath jis jagah jannath aur uss ki nematon ka zikr aya ya hifjo aman aur salamatiye            iman ya kisi bhi pasandida chiz ka zikr aya to tahar kar dua kare aur jis jagah jahannam aur uss            ke azabon ka zikr aya ya un jaisi kisi bhi bayise khof chiz ka tazkira Aaye to tahar kar in chijon          se Allah Azzawajal se ro pade aur agar rona na aya to kam az kam rone ki surath ban le.

     7. Raath ke vaqht tilavath ki kasrath kare kuinki iss vaqht zehan pur sukun aur dil mutmayin hota            hai. Tilavath ke liye saab se afzal vaqht saal bhar me ramzan sharif ke akhiri das ayyam aur zul          hijja ke ibtidayi das din hain. Is ke baad Zumma fir do shamba fir panj shamba aur raath me                tilavath ka behtarin vaqht maghrib aur Ishaa ke darmiyan hai aur iss ke baad nisaf shab ke baad          aur din me saab se umda subha ka vaqht hai.

     8. Khush Ilhani aur tajvid ke saath Huruf ki sahih adayegi aur avkaf ki riyayath karte huve tilavath          kare magar iss ka lihaz kare ki khush ilhani ke liye khavayide mosikhi aur gane ke lahajon ka              hargiz hargiz istimal na karen.

     9. Tilavath ke vaqht Quran e Kareem ki Azmath par nazar rakhe aur ayate karima.
         Yani Agar ham ye Quran kisi pahad par utarte to zarur tu use dekhta jhuka huva pash pash hota          Aallah ke khof se.

         Ayath ke iss mazmun ko ba vaqhte tilavath apne zehan me hazir rakhe aur khofe ilahi se                      bharpur ho kar nihayath azizi ke saath tilavath kare.

     10. Jo ayaten apne haal ke mutabik ho, un ko bar bar padna chahiye.aur Quran e Azim padte                      vaqht ye khayal jamaye ki goya khudavande tala ke huzur me pad raha hai. Jab iss manzil par               pahunch jaye to ye tasavvur jamaye ki goya rabbe kareem mujh hi se khitab farma raha hai                 aur iss tarakhi ki intiha ye hai ki ye tasavvur paida ho jaye ki Quran e Azim padne vala goya               Allah Tala aur uss ki sifath va afAal ko uss ke klam me dekh raha hai. lekin ye buland                         martaba siddikhin ke liye makhsus hai har kaso nakis ko ye hasil nahi hota.

     11. Jab Tanhayi me ho to darmiyani avaz se tilavath karna behtar hai. Lekin agar buland avaz se                tilavath karna behtar hai. lekin agar buland avaz se tilavath karne me riyakari ka khof ho ya                kisi namazi ki namaz me khalal ka andesha ho ya kuch log guftagu me masruf hain aur un ke              tilavath na sunne ka guman ho to in suraton me Quran e Majid ko ahista padna behtar hai. yese            mavakhe ke liye hadison me varid huva hai ki "poshida amal" zahiri amal se sattar guna ziyada            savab rakhta hai.

           Bahar haal Quran e Majid ki tilavath ke vaqht adab ka lihaz rakhna nihayath zaruri hai taki deen va dunya ki be shumar barkaten hasil ho aur hargiz hargiz adab se ghaflat na hone paye ki ye ghaflat barkate deen se bahut badi mahrumi ka sabab hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »