Jab "Maidane Tih" me Bani Israel ne ye Khwahish zahir ki. Ki ham zamin se ugne vale ghalle aur tarkariyan to un logon ko Hazrate Musa Alaihis Salam ne samjhaya ki tum log "Manna Va Salva" ke nafis khane ko chod kar Gehun, Daal aur tarkariyon jaisi khasis aur ghatiya kuin talab kar rahe ho? Magar jab bani israel apni zid par ade rahe to Allah Tala ne hukum diya ki tum log maidane tih se nikal kar shahare baitul mukhaddas me dakhil ho jao aur vahan be rok tok apni pasand ki aur man bhari gizayen khao magar ye zaruri hai ki tum log baitul mukhaddas ke darvaze me kamale adab va yehtiram ke saath jhuk kar dakhil hona aur dakhil hote vaqht ye dua mangte rahna ki ya allah! Tu hamare gunahon ko muaf farma de to ham tumhare gunahon ko bakhash denge. magar bani israyil jo hamesha se sarkash aur shararaton ke adi aur khuda ki nafarmaniyon ke khugar the, baitul mukhaddas ke kharib pahunch kar ek dam in logon ki rage shararaht bhadak uthi aur ye nafarman log bajay jhuk ke dakhil hone ke apni surino par dhasitte huve darvaze me dakhil huve aur Hattatum (Muafi ki dua) ke badle ek dana hai ek baal me kahte huve aur mazak va tamaskur karte huve baitul mukhaddas ke darvaze me ghuste chale gaye. farmane rabbani ki iss nafarmani aur hukme ilahi ke saath tamsakhur ki vajah se in logo par kahare khudavandi va surate azab nazil ho gaya ki achanak in logon me taun ki bimari vabayi shakal me fail gayi aur ghante bhar me sattar hazar bani israyil dardo karb se machli ki tarha tadap tadap kar mar gaya.
Ta'un:
ek mohalik vabayi bimari hai jis ko doctor "Pleg" kahte hain iss bimari me gardan aur bagolon aur kanje raan me Aam ki gutli ke barabar galtiyan nikal ati hai. jin me bepanah dard aur nakhabile bardasht sojisha hoti hai aur shadid bukhar chad jata hai aur ankhe surkh ho jati hai aur dardnaak jalan se shole ki tarha jalne lagti hai aur mariz shiddate dard aur shadid be chaini va be kharari me tadap tadap kar bahut jald mar jata hai aur jis basti me ye vaba fail jati hai uss basti ki aksar abadi mauth ke ghat utar jati hai har taraf virani aur khof va haras ka dor dora fail jata hai.
Allah Tala ne bani israel ke iss vakhiye ka zikr farmate huve Quran e Majid me irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Aur jab ham ne farmaya uss basti me jao fir uss me jahan chaho be rok tok khao aur darvaze me sajda karte dakhil ho aur kaho hamare gunah muaf ho, ham tumhari khatayen bakhash denge aur kharib hai ki neki valon ko aur ziyada de to zalimo ne Aur baath badl di jo farmayi gayi thi uss ke siva to ham ne asman se un par azab utara badla un ki be hukmi ka.
Darse Hidayath
Iss vakhiye se malum huva ki khudavande khudds ki nafarmani aur ahkame rabbani ke saath tamskhur va mazakh karne ka kitna bhayanak aur kis khadar holnak anjam hota hai ki akhirath ka azab to apni jagah bar kharar hi hai dunya me kahare ilahi ba surate azab nazil ho jata hai jis se log halak ho kar fana ke ghat utar jate hain aur bastiyan viran ho jati hai.
Faida:
"Ta'un" Bani israel ke haq me azab tha magar iss khairul umm yani khatimul ambiya sallallahu alaihi o sallam ki ummath ke haq me ye bimari rahamath hai kuinki hadis sharif me aya hai ki ta'un ki bimari me marne vala shahid hota hai.
Masala:
Ye hai ki jis basti me ta'un ki vaba faili ho vahan jana nahi chahiye aur agar apni basti me vaba Aa jaye to basti chod kar dusri jagah bhagna nahi chahiye balki ta'un ki vaba me apni basti hi ke andar khuda par tavakkul kar ke sabr ke saath rahna chahiye agar iss bimari me mar gaya to shahid hoga aur ta'un ke dar se basti chod kar bhagane vale par itna bada gunah hota hai jitna ki zihad ke maidan chod kar bhagne valon par gunah hota hai iss liye hargiz hargiz bhagana nahi chahiye balki iss bimari me sabr ke saath apni hi basti me mukhim rahana chahiye ki iss par khudavande tala ne ajro savaab ka vada farmaya hai.