Iblis Kai Tha Aur Kai Ho Gaya?


Iblis jis ko shaitan kaha jata hai. Ye Farishta nahi tha balki Jinn tha jo Aaf se paida huva tha. Lekin Ye farishton ke saath saath mila zhula rahta tha aur darbare khudavandi me bahuth mukharrab aur bade bade buland darjath va maratib se sarfaraj tha. Hazrate Kaab Ahabar Raziyallahu Tala Anhu ka bayan hai ki iblis 40,000 baras tak jannath ka khajanchi  raha aur 80 hazar baras tak malayika ka sathi raha aur 20,000 Baras tak malayika ko vaz sunata raha aur 30,000 Baras tak mukharribin ka sardar raha aur ek 1000 Baras tak ruhaniyyin ki sardari ke mansab par raha aur 14000 baras tak arsh ka tavaf karta raha aur pahle asman me uss ka naam Abid aur dusre Asman me Zahid, aur tisre Asman me Arif aur Chauthe Asman me Vali aur Panchven Asman me Takhi Aur Chate Asman me Khazin aur Sathven Asman me Azazil tha aur lohe mahfuz me iss ka naam Iblis Likha huva tha aur ye apne anjam se ghafil aur khatime se be khabar tha.


Lekin Jab Allah Tala ne Hazrate Adam Alaihis Salam ko sajda karne ka Hukum diya to iblis ne inkar kar diya aur Hazrate Adam Alaihis Salam ki tahkhik aur apni badayi ka izhar kar ke takabbur kiya isi zurm ki saza me Khudavande Alam ne uss ko mardude bargah kar ke dono jahan me malun farma diya aur uss ki pairvin karne valon ko jahannam me azabe naar ka sazavar bana diya. Chunanche, Quran e Majid me irshade rabbadi huva ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Farmaya: Kis chiz ne tujhe roka ki tu ne sajda na kiya jab main ne tujhe hukum diya tha bola: main iss se behtar hun tune mujhe Aag se banaya aur ise mitti se banaya. Farmaya : Tu yahan se utar ja tujhe nahi pahunchta ki yahan rah kar ghurur kare nikal tu hai zillath valon me bola mujhe fursath de uss din tak ki log uthayen jayen, Farmaya: Tujhe mohlath hai, Bola : To khasam iss ki, ki tune mujhe gumrah kiya main zarur tere sidhe raste par in ki taak me baitunga fir zarurath me in ke pass Avunga in ke age aur piche aur dahine aur bayen se aur tu un me aksar ko shukr guzar na payega. Farmaya : Yahan se nikal ja rad kiya gaya randa( Dhuthkara) huva zarur jo yiun me se tere kahe par chala main tum saab se jahannam bhar dunga.

Darse Hidayath

             Quran e Majid ke iss ajib vakhiya me ibraton aur nasihaton ki badi badi darkhashinda aur tabinda tajalliyan hain isi liye iss vakhiye ko khudavande khuddus ne mukhtalif alfaz me aur muta'adda tarze bayan ke saath Quran e Majid ke 7 makhamath me bayan farmaya hai yani surah Baqra, Surah Araf, Surah Hajar, Surah Bani Israel, Sure Kahaf, Surah Taha, Surah Saad me iss dil hila dene vale vakhiye ka tazkira mazkura hai jis se mundarijaye zail hakayikh ka darse hidayath milta hai.

1.       Iss se ek bahut bada darse hidayath to ye milta hai ki kabhi jargiz hargiz apni ibadaton aur nekiyon par ghamand aur ghurur nahi karna chahiye aur kisi gunahgar ko apni magfirath se kabhi mayus nahi hona chahiye kuinki anzam kai hoga aur khatima kaisa hoga Aam bandon ko iss ki koi khabar nahi hai aur najath va falah ka daro madar dar haqhikhath khatima bil khair par hi hai. bade se bada ambid agar uss ka khatima bil khair na huva to vo jahannami hoga aur bade se bada gunahgar agar uss ka khatima bil khair ho gaya to vo jannati hoga dekh lo iblis kitna bada ibadath guzar aur kis khadar mukharrabe bargah tha aur kaise kaise maratib va darjath ke sharaf se sarfaraz tha magar anjam kai huva? ki uss ki sari ibadaten gharath va akarath ho gayi aur vo dono jahan me malaun ho kar Azabe jahannam ka haqdar ban gaya. kuinki uss ko apni ibadaton aur bulandiye darjath par gurur aur takabbur ho gaya tha magar vo apne anzam aur khatime se bilkul be khabar tha.

             Hadis Sharif me hai ki ek banda ahle jahannam ke Aamaal karta rahta hai halanki vo jannati hota hai aur ek banda ahle jannath ke amal karta rahata hai halanki vo jahannami hota hai. "Innamal Amalu Bilkhavatim" yani amal ka yetibar khatimo par hai.



Khudavande Kareem har musalman ko khatima bil khair ki saadath nasib farmaye aur bure anjam aur bure khatime se mahfuz rakhe Ameen

2.       Iss se ye bhi malum huva ki alim ho ya jahil muttakhi ho ya gunahgar har admi ko zindagi bhar shaitan ke vasvason se hoshiyar aur uss ke farebon se bachte rahana chahiye. Kuinki shaitan ne khasam khaa kar Kuda ke Huzur me Aylan kar diya hai ki main Aage piche aur dayen bayen se vasvase dal kar tere bandon ko sirate mustakhim se bahkata rahunga aur bahuth se bandon ko khuda ka shukr guzar hone se rok dunga.

3.       Shaitan ne Aage Piche aur Dayen Bayen 4 janibon se insano par hamla avar hone aur vasvase dalne ka aylan kiya hai iss se malum huva ki upar aur niche in dono janibon se shaitan insano par kabhi hamla avar nahi hoga na upar aur niche ki janib se koi vasvasa dal sakega. Lihaza agar koi insan apne upar ya niche ki taraf se koi roshni ya koi bhi hairath va tajjub kaiz chiz dekhe to use samajh lena chahiye ki ye shaitani kartab ya iblis ka vasvasa nahi hai balki uss ko khair samajh kar uss ki janib mutavajjeh ho aur khudavande khuddus ki taraf se khair aur bhalayi ki ummid rakhe.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »