Hazrate Isa Alaihis Salam Ke 3 Muballighin


"Antakiyya" Mulke shaam ka ek behtarin shahar tha. jin ki fasilen sangin divaron se bani huyi thi aur pura shahar panch pahadon se dhira huva tha. aur shahar ki abadi ka rakhba bahar mil tak faila huva tha. Hazrate Isa Alaihis Salam ne apne havariyon me se do muballigon ko tablige din ke liye uss shahar me bheja. ek ka naam "Sadiq" aur dusre ka naam "Masdukh" tha. jab ye dono shahar me pahunche to ek budde charvahe se in dono ki mulakath huvi jis ka naam " Habib nazzar" tha. salam ke baad Habib Nazzar ne pucha ki Aap log kon hain aur kahan se aye hain aur maksad kai hai? to in dono sahiban ne kaha ki ham dono hazrate isa alaihis salam ke bheje huve muballighin hai aur is basti valon ko tohid aur khuda parasti ki davath dene aye hain to habib nazzar ne kaha ki Aap logon ke pass iss ki koi nishani bhi hai? to in dono ne kaha ki ji han ham log marijon aur madaar zaad andhon ko khuda azzawajal ke hukum se shifa dete hain.(ye in dono ki karamath aur hazrate isa alaihis salam ka mojiza tha) ye sun kar habib nazzar ne kaha ki mera ek ladka muddaton se bimar hai. Kai Aap log uss ko tandurusth kar denge? in dono ne kaha ki ji han! uss ko hamare pass lao. Chunanche, in dono ne uss mariz ladke par apna haath fer diya aur vo foran hi tandurusth ho kar khada ho gaya. ye khabar bijli ki tarha sare shahar me fail gayi aur bahuth se mariz jama ho gaye aur saab shifayab bhi ho gaye.


          Iss shahar ka badshaah "Antikha" naami ek buth parasth tha vo in dono ki zaban se tohid ki davath sun kar mare gusse ke ape se baahr ho gaya. aur uss ne dono muballigon ko giraftar kar ke 100 100 durre laga kar jail khane me kaid kar diya. iss ke baad hazrate isa alaihis salam ne apne havariyon ke sardar hazrate "Shamoon" Raziyallahu Tala Anhu ko antakiyya bheja. Aap kisi tarha badshaah ke sarbar me pahunch gaya aur badshaah se kaha ki Aap ne hamare do admiyon ko kode laga kar jail khane me kaid kar diya hai. kam se kam Aap un dono ki puri baath to sun lete. Badshaah ne un dono ko jail khane se bulva kar guftagu shuru ki to in dono ne kaha ki ham yehi kahane ke liye yahan aye hain ki tum log in buton ki ibadath ko chod kar khudaye vahadahu ki ibadath karo jis ne tum ko aur tumhare buton ko bhi paida kiya hai. jab badshaah ne in dono se koi nishani talab ki to in dono sahibon ne ek yese madar zaad andhe ko jis ke saar me ankhen thi hi nahi, haath fer diya to uss ki peshani me ankhen ke do surakh ban gaye. fir in dono sahiban ne mitti ke do galule(gole) bana kar in surakhon me rakh kar dua kar di to ye dono gole ankhen ban kar roshan ho gaye aur madar zaad andha ankhyar ban gaya. hazrate shamoon ne farmaya ki ye badshaah! kai tumhare buton me bhi ye khudrath hai? Badshaah ne kaha ki nahi to hazrate shamoon ne farmaya ki fir tum uss ki ibadath kuin nahi karte jo yesi khudrath vala hai ki andhon ko ankhen ata farma deta hai. Ye sun kar badshaah ne kaha ki kai tumhara khuda murdon ko zinda kar sakta hai? agar vo murdon ko zinda kar sakta hai to ek murde ko zinda kar de jo mere ek dahkaan ka ladka hai aur vo kayi roz se mara pada hai. aur main ne uss ke baap ke intizar me abhi tak uss ko dafan nahi kiya hai. Badshaah in tino sahibaan ko le kar ladke ki laash ke paas gaya aur in tino sahiban ne dua mangi to khuda ke hukum se vo murda zinda ho gaya. aur bulan avaz se kaha main buth parasth tha to main marne ke baad jahannam ki vadiyon me dakhil kiya gaya. Lihaza main tum logon ko azabe ilahi se darate huve allah par imaan lane ki davath deta hun aur tum logon ko nasihath karta hun ki khuda ke paighambar hazrate isa alaihis salam ka kalima pad kar in tino muballigin ki baath maan kar in logon ke saath achcha sulukh karo kuinki ye tino sahiban hazrate isa alaihi sallam ke havari aur un ke farastada hain.

          Ye manzar dekh kar aur murde ki takhrir sun kar saab ke saab hairan rah gaye. itne me habib nazzar bhi dodte huve pahunch gaye aur inhone bhi badshaah aur sare shahar valon ko muballigin ki tasdik ke liye pura jor takhrir kar ke amada kar liya. yahan tak ki badshaah aur us ke tamam darbariyon ne imaan ki davath ko khabul kar liya aur saab sahibe imaan ho gaye magar chand manhus log jo buton ki mohabbath me akhal va hosh kho chuke the vo imaan nahi laye balki habib nazzar ko khatal kar diya to un mardudon par azab aya aur azabe ilahi se halak kar diye gaye.



Iss vakhiye ko Quran e Majid ne in lafzon me bayan farmaya hai.

Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur un se misal bayan karo uss shahar volon ki jab un ke paas farastade(Rasool) aye jab ham ne un ki taraf 2 bheje fir unhone un ko jhutlaya to ham ne tisre se zor diya Aab un saab ne haka ki beshak ham tumhari taraf bheje gaye hain bole tum to nahi magar ham jaise admi aur rahmaan ne kuch nahi utara tum nire jute ho vo bole hamara raab janta hai ki beshak zaroor ham tumhari taraf bheje gaye hain aur hamare jimme nahi magar saaf pahuncha dena bole ham tumhen manhus samajhte hain beshak tum agar baaz na aye to zarur ham tumhen sangsaar karenge beshak hamare haton tum par dukh ki maar padegi. unhonne  farmaya tumhari nuhusat to tumhare saath hai kai iss par budakte ho ki tum samajh gaye balki tum had se badne vale log ho aur shahar ke parle kanare se ek mard dodta aya bola ye meri khom! bheje huon ki pairvi karo yeson ki pairvi karo jo tum se kuch neg(arz) nahi mangte aur vo raah par hain

Darse Hidayath

          Hazrate Isaa Alaihis Salam ke 3 muballigin yani sadiq va masdukh aur shamoon ki sargujishth aur tablighe din ki raah me un hazrate ki dushvariyan aur kaido band ke masayib aur hoshruba dhamkiyon ko dekh kar ye sabakh milta hai ki tablighe deen karne valon ko badi badi musibaron aur mushkilath ka samna karna padta hai.magar jab admi iss rah me mustakil mizaj ban kar sabit kadam rahta hai aur sabro tahammul ke saath iss dini kaam me data rahta hai to allah tala ghaib se uss ki kamyabi ka saman paida farma deta hai vo mukallibul khulub aur hadis hai vo ek lamhe me munkirin ki dilon ko badal deta hai aur dilon ki gumrahi door farma kar hidayath ka noor bakhash deta hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »