"Sabaa" Arab ka ek khabila hai jo apne murise Aala Sabaa Bin Yashjab Bin Ya'Rab Bin Kahtan ke naam se mashur hai. Iss Khom ki Basti Yaman me shahare "SanAa" se 6 mil ki dori par vakheA thi. Iss Abadi ki abo hava aur zamin itni saaf aur iss khadar latif va pakiza thi ki iss me machchar na makhkhi na pissu na khatmal na samp na bichchu. mosam nihayath motadil na garmi na sardi. Yahan ke baghath me kasir fal ate the. ki jab koi shakhs sar par tokra liye guzarta to bighor haath lagaye khism khism ke falon se uss ka tokra bhar jata tha. gharaz ye khom badi farighulbali aur khushhali me amno sukun aur aram va chain se zindagi basar karti thi magar nematon ki kasrath aur khushhali ne iss khom ko sarkash bana diya tha. Allah Tala ne iss khom ki hidayath ke liye yake baad digare terah(13) nabiyon ko bheja jo iss khom ko khuda ki nematen yaad dila dila kar azabe ilahi se darate rahe. magar in sarkasho ne khuda ke mukhaddas nabiyon ko jhutla diya aur iss khom ka sardar jis ka naam "Hammad" tha vo itna mutakabbir aur sarkash admi tha ki jaab uss ka ladka mar gaya to uss ne asman ki taraf thuka aur apne kufr ka yelan kar diya. Aur yelaniyya logon ko kufr ki davath dene laga aur jo kufr karne se inkar karta, uss ko khatal kar deta tha aur khuda Azzavajal ke nabiyon se nihayath hi be adbi aur gustakhi ke saath kahta tha ki Aap log allah azzawajal se kaha dijiye ki vo apni mematon ko ham se chin le jab hammad aur uss ki khom ka tughayyan va isyan bahuth ziyada bad gaya to allah tala ne iss khom par sailab ka azab bheja. jis se in logon ke baghair aur amval va makanath saab gharq ho kar fana hogaye aur puri basti reth ke todon me dafan ho gayi aur iss tarha ye khom tabaho barbad ho gayi ki in ki barbadi mulke arbab me zarbul masla ban gayi. Umda aur laziz falon ke baghath ki jagah jhaun aur jangli bairu ke khardar aur khofnak jangal ug gaya aur ye khom umda aur laziz falon ke liye taras gayi.
Sailab Kis Tarha Aya?
Khome Sabaa ki basti ke kinare pahadon ke daman me band baandh kar malika bilkis ne tin bade bade talab niche upar bana diye the. ek chuhe ne khuda azzawajal ke hukum se band ki divar me surakh kar diya kar vo badte badte bahuth bada shigaf ban gaya aur yahan tak ki band ki divar tut gayi aur nagahan jordar sailab Aa gaya. basti vale iss surakh va shigaf se gafil the aur apne gharon me chain ki bansari baja rahe the ki achanak sailab ke dharon ne in ki basti ko gharath kar dala. aur har taraf barbadi aur birani ka dor dora ho gaya. Allah Tala ne khome sabaa ke iss halkath afrin sailab ka tazkira farmate huve quran e majid me farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan
Beshak saba ke liye un ki abadi me nishani thi do bagh dahane aur bayen. Apne raab ka rizk khao aur uss ka shukr ada karo pakiza shahar, bakhashne vala raab to unhone muh fera to ham ne un par jor ka ahla(sailab) bheja aur un ke baghon ke ivaz do bagh unhen badal diye jin me bakta(bad maza) meva aur jhari aur kuch thodi si bairiyan ham ne unhen ye badlaa diya un ki nashukri ki saza aur ham kise saza dete hain? usi ko jo nashukrka hai.
Darse Hidayath:
Khome sabaa ki ye halakath va barbadi un ki sarkashi aur khuda azzawajal ki nematon ki nashukri ke sabab se huyi. Un ki bad amaliyan aur khuda azzawajal ke nabiyon ke sath be adabiyan aur gustakhiyan jab bahuth bad gayi to khuda vande kahhar va jabbar ka kahar va ghazab azab ban kar sailab ki surath me Aa gaya aur un ko tabaho barbad kar diya gaya.
Sach Hai Ki Neki Ka Asar Abadi Aur Badi Ka Asar Barbadi Hai.
Lihaza har nemath pane vali khom ko lazim hai ki khuda ki nematon ka shukr ada kare aur sarkashi va gunah se hamesha kinara kashi ikhtiyar karen, varna khatra hai ki azabe ilahi na utar pade kuinki jo khom sarkashi aur bad amali ko apna tarikha kar bana leti hai, uss ka lazimi asar yehi hota hai ki vo khom azabe ilahi ki maar se barbad aur us ki abadiyan tahas nahas ho kar viran ban jati hai.