Shaddad Ki Jannat


Ye Aap  " Khom E Aad Ki Andhi" Unvan me pad chuke hain ki khome Aad ka Murise Aala Aad Bin Uvais Bin Arma Bin Sama Bin Nooh hai. Iss "Aad" Ke Beton me "Shaddad" bhi hain. Ye Badi shano shokat ka badshaah huva hai. Iss ne apne vaqth me tamam badshahon ko apne jhande ke niche jama kar ke saab ko apna mutio farma bardar bana liya tha. Iss ne paighambaron ki jaban se jannath ka zikr sun kar barahe sarkashi dunya me ek jannath banani chahi aur iss irade se ek bahuth bada shahar banaya jis ke mahal sone chandi ki inton se tamir kiye gaye aur zabarzad aur yakhut ke sutun in ki imaraton me nasab kiye gaye aur yese hi farsh makano me banaye gaye. Sangrejon ki jagah abdar mothi bichaye gaye. Har mahal ke gird javahirath se pur naharen zahir ki gayi. Khisam khisam ke darakhth zinath aur saye ke liye lagaye gaye. Al gharaz iss sarkash ne apne khayal se jannath ki tamam chizen aur har khism ki yesho ishrath ke saman iss shahar me jamaa kar diye. jab ye shahar mukammal huva to shaddad badshaah apne Ayane saltanath ke saath iss ki taraf ravana huva. Jab ek manzil ka fasila bakhi rah gaya to asman se ek holnak avaz ayi jis se Allah Tala ne shaddad aur uss ke tamam sathiyon ko halak kar diya aur vo apni banyi huyi jannath ko dekh bhi na saka.

         Hazrate Amire Muaviya Raziyallahu Tala Anhu ke dore Hukumath me Hazrate Abdullah Bin Khilaba Raziyallahu Tala Anhu apne gumshuda Unt ko talash karte huve sahraye Adan se guzar kar uss shahar me pahunche aur uss ki tamam zinaton aur arayisho ko dekha magar vahan koi rahane basne vala insaan nahi mila. Ye thode se javahiraath vahan se le kar chale Aye. Jab ye khabar Hazrate Amire Muaviyya Raziyallahu Tala Anha ko malum huyi to unhone Abdullah Bin Khilaba ko bula kar pura haal daryafth kiya aur inho ne jo kuch dekha tha saab kuch bayan kar diya. Fir Hazrate Amire Muaviyya Raziyallahu ne Kabe Ahbar Raziyallahu Tala Anhu ko Bula kar daryaft kiya ki kai dunya me koi yesa shahar maujud hai? To unhone farmaya ki han jis ka zikr Quran e Majid me bhi Aaya hai. Ye shahar Shaddad Bin Aad ne banaya tha lekin ye saab Azabe ilahi se halaq huve aur iss khom me se koi ek Admi bhi bakhi nahi raha aur Aap ke zamane me ek musalman jis ki Ankhen Nili, Khad Chota aur uss ke Abru par ek Til Hoga, Apne Unt ko talash karte huve iss viran shahar me dakhil hoga, itne me Abdullah Bin Khilaba Raziyallahu Tala Anhu Aa gaye. To Kabe Ahbar ne in ko dekh kar farmaya ki va khuda vo shakhs jo shaddad ki banayi huyi jannath ko dekhenga, vo yehi shakhs hai.


   
      Khome Aad Aur Dusri Sarkash Khomo ka haal Bayan karte huve Quran e Majid ne irshaad farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Kai tum ne na dekha tumhare Raab ne Aad ke saath kaisa kiya aur vo iram had se ziyada tul vale ki un jaisa shahron me paida na huva aur samud jinhon ne vadi me pathtar ki chattane kati aur firon ki chomekha karta(Sakht sazayen deta) jinho ne sharon me sarkashi ki fir un me bahuth fasad felaya to un par tumhare raab ne azab ka koda ba-khuvvath mala.

Darse Hidayath

             Allah Tala ko bandon ki sarkashi aur takabbur va gurur behad napasand hai iss liye khudavande khuddus ka dastur hai ki har sarkash aur mutakabbir khom jis ne zamin me apni sarkashi aur zulm va udvan se fasad felaya. uss khom ko kahare ilahi ne kisi na kisi Aazab ki surath me zahir ho kar halakh va barbad kar diya. Shaddad aur khome Aad ke dusre afrad saab apni sarkashi aur takabbur ki vajah se khuda ke maghjub tahare aur jab in logon ka tamrud aur zulm va udvan iss darje baad gaya ki ruhe zamin ka zarra zarra un ke gunahon aur bad amaliyon se bil bila utha to khudavande kahhar va jabbar ke azabon ne in saab sarkasho aur zalimo ko tabaho barbad kar ke safahye hasti se harfe ghalat ki taraha mita diya. Lihaza un khomo ke uruj va zaval aur in logon ke azabe ilahi se pamal hone ki dastano se ibrath va nasihath hasil karni chahiye. kuinki Quran e Karim me in Akhvam ke anzam ke zikr ka makhdas hi ye hai ki ahle Quran in ki dastan sun kar ibrath pakaden aur khofe ilahi se haar dam larza bar andaam rahen. Musalmano ko lazim hai ki Quran e Majid ki ba-kasrath tilavath karen aur iss ka tarjuma bhi pada karen aur in akhvam ki halakath se ibrath hasil karen. har vakhth toba va istighfar karte rahen aur har khisam ki baad yetikhadiyon aur bad Amaliyon se hamesha bachte rahen. Aamale saleha ki koshish karte rahen aur malo dolath ke ghurur va ghamand me sarkashi va takabbur na karen balki hamesha dil me khofe khuda Azzawajal rakh kar tavajo va inkisari ko apni adath banayen aur jahan tak ho sake apni zindagi me achche Aamal karte rahen.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »