Hazrate Suleman Alaihis Salam Ki Be-Misal Vafath


Mulke Shaam me Jiss jagah Hazrate Musa Alaihis Salam ka Khaima Gadaa gaya tha. Thik Usi jagah Hazrate Dawood Alaihis Salam ne Baitul Mukhaddas ki  bunyad rakhi. Magar Imarath puri hone se khabl hi Hazrate Dawood Alaihis Sallam ki vafath ka vaqhth Aan pahuncha. Aur Apne farzand Hazrate Suleman Alaihis Salam ko iss imarath ki takmil ki vasiyyath farmayi.Chunanche Hazrate Suleman Alaihis Salam ne Jinno ki ek Jamaath ko iss kam par lagaya aur imarath ki tamir hoti rahi. Yahan tak ki Aap ki vafath ka vakht bhi kharib Aagaya aur imarath mukammal na ho saki to Aap ne ye dua mangi ki ilahi meri mauth jinno ki jamaath par zahir na hone paye taki vo barabar imarath ki takmil me masrufe amal rahe in sabon ko jo ilme gaib ka dava hai vo bhi batil tahar jaye. Ye dua mang kar Aap meharban me dakhil ho gaye aur apni adath ke mutabik apni lathi dek kar ibadath me khade ho gaye aur isi halath me Aap ki vafath ho gayi magar jin mazdoor ye samajh kar ki Aap zinda khade huve hain barabar kam me masruf rahe aur arsaye daraj tak Aap ka isi halath me rahana jinno ke guroh ke liye kuch bayise hairath iss liye nahi huva ki vo barha dekh chuke the ki Aap ek ek mah balki kabhi kabhi do do maah barabar ibadath me khade raha karte hain. Gharaz ek saal tak vafath ke baad Aap apni lathi ke sahare khade rahe yahan tak ki ba hukme ilahi dimakon ne Aap ke Aasa ko kha liya aur Aasa ke gir jane se Aap ka jisme mubarakh zamin par Aa gaya. uss vaqhth jinno ki jamath aur tamam insano ko pata chala ki Aap ki vafath ho gayi hai. Quran e Majid me Allah Tala ne in vakhiyw ko in lafjon me bayan farmaya hai ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Fir jab ham ne uss par mauth ka hukum bheja jinno ko uss ki mauth na batayi magar zamin ki dimak ne ki uss ka Aasa Khati thi fir Suleman Zamin par Aaya Jinno ki hakikath khul gayi agar gaib jante hote to iss khwari ke azab me na hote.

Darse Hidayath:

1.     Is Qurani Vakhiye se ye hidayath milti hai ki Hazrate Ambiya Alaihis Salam ke mukhaddas Badan Vafath ke baad sadte galte nahi hai. Kuinki Aap ne abhi abhi pad liya ki ek saal tak hazrate suleman alaihis salam ke baad Aasa ke share khade rahe. Aur in ke jism mubarak me kisi khism ka koi tagayyur runuma nahi huva. yehi haal tamam ambiya alihis salam ka un ki khabron me hai ki un ke badan ko mitti kha nahi sakti.Chunanche, Hadis Sharif  me hai jis ko ibne maja ne rivayath kiya hai ki 

Beshak Allah ne zamin par haram farma diya hai ki vo ambiya ke jismo ko khaye lihaza allah ke nabi jinda hain aur un ko rozi di jati hai.

     Aur hashiyye mishkath me tahrir hai ki har nabi ki yehi shaan hai ki vo khabron me jinda hai aur allah tala un ko rozi ata farmata hai aur ye hadis sahih hai. aur imam behakhi ne farmaya hai ki ambiya alaihis salam mukhtalif avkhath me mutahahid makhamath par tashrif le jayen ye jayiz va durusth hai.
Isi liye ahle sunnath va jamath ka yehi akhida hai ki hazrate ambiya alaihis salam apni apni mukhaddas khabron me hayate jismani ke lavazim ke saath zinda hai.Vahabiyyon ka ye akhida hai ki vo mar kar mitti me mil gaye. Isi liye ye gustakh firkha ambiya e kiram ki khabron ko mitti ka dher kah kar un mukhaddas khabron ki tohin aur un ko munhadim karne ki koshish me laga rahata hai. had ho gayi ki alame islaam ki intihayi bechaini ke ba wajud gumbade khazra ko mismar kar dene ki skime barabar hukumate saudiyya me banati rahati hai magar khudavande karim ka ye fazale azim hai ki Aab tak vo iss plan ko ba-ruyekar nahi la sake hain aur insha allah ayinda bhi un ka ye shaitani plan na ho sakega . kuinki
     Jis ka hami ho khuda uss ko ghata sakta hai kon
     Jis ka hafiz ho khuda uss ko mita sakta hai kon

2.     Hazrate Suleman Alaihis Salam ki Umr sharif 53 saal ki huyi. 13 Baras ki Umr me Aap ko badshahi mili aur chalis baras tak Aap takhte saltanath par jalva gar rahe. Aap ka mazare Akhdas Baitul Akhdas me hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »