Ashabe Feel Va Lashkare Ababil

Yaman va Habshaa ka badshaah "Abraha" Tha. Uss ne shahare "SanAa" me ek girzadhar banaya tha aur uss ki khwahish thi ki haj karne vale  bazaye makkaye mukarrama ke sanAa me Aayen aur isi girjaghar ka tavaf karen aur yahi haj ka maila huva karen. Arab Khususan Khuraishiyon ko ye baath bahuth shaak guzari. Chunanche, Khuresh ke khabilaye banu kinana ke ek shakhs ne ape se bahar ho kar sanAa ka safar kiya aur abraha ke girja ghar me dakhil ho kar peshab pakhana kar diya. aur iss ke daro divar ko najasath se aluda kar dala. Iss harkat par Abraha Badshaa ko bahuth tais Aya aur uss ne Kaba e Muazzam ko Dha dene ki khasam khali. Aur iss irade se apna lashkar le kar ravana go gaya. Iss lashkar me bahuth se hathi the aur in ka pesh-ru ek bahuth bada koh paikar hathi tha jis ka naam mahmud tha. Abraha ne Apni foz le kar Makka e Mukarrama par chadayi kar di aur ahle makka ke saab janvaron ko apne khabze me le liya. jis me abdul mutalib ke unt bhi the. Yehi Abdul mutalib jo hamare huzur khatimunnabiyyin Sallallahu Alaihi O Sallam ke dada hain, Khana e Kaba ke mutavalli aur ahle makka ke sardar the. Ye bahuth hi robdar aur nihayat hi jasim va ba shikva admi the. Ye abraha ke pass Aaye, Abraha ne in ki bahut tazim ki aur ane ka makhdas pucha to Aap ne farmaya ki tum mere unton ko mujhe vapas de do. Ye sun kar abraha ne kaha ki mujhe bada tajub ho raha hai ki main to tumhare kaba ko dhane ke liye foz le kar Aaya hun jo tumhara aur tumhare baap dada ka ek bahuth mukhaddas va mohataram makham hai. Aap ne iss ke bare me kuch bhi mujhse nahi kaha, sirf apne Unton ka mutalaba kar rahe hain? Hazrate Abdul Mutalib ne farmaya ki main apne unton hi ka malik hun iss liye unton ke liye kah raha hun aur kaba ka jo malik hai vo khud iss ki hifazath farmayega. Mujhe iss ki koi fikr nahi. Abaraha ne Aap ke unton ko vapas kar diya fir Aap ne khuresh se farmaya ki tum log pahadon ki ghatiyon aur chotiyon par panah gunji ho jao. Chunanche, Quresh ne Aap ke mashvare par Aamal kiya. Iss ke baad Hazrate Abdul Mutalib ne kabe ka darvaza pakad kar bargahe ilahi me kabe ki hifazath ke liye khoob ro ro kar dua mangi aur dua se farigh ho kar Aap bhi apni khom ke saath pahad ki choti par chad gaye. Abraha ne subah tadke apne lashkaron ko le kar kaba e mukaddas par dhava bol dene ka hukum de diya aur hathiyon ko chalne ke liye uthaya likin hathiyon ka pesh ru mahdud jo saab se bada tha vo kabe ki taraf na chala jis taraf uss ko chalate the chalta tha magar kaba e mukarrama ki taraf jab uss ko chalte the to vo bait jata tha. Itne me Allah Tala ne samandar ki janib se parandon ka lashkar bhej diya aur har parande ke pass 3 kankarinyan thi, 2 panjon me aur ek chonch me. Ababilon ke iss lashkar ne abraha ki fojon par iss zor ki saangh bari ki, ki abraha ki foz bad havas ho kar bhaghne lagi. Magar kankarinyan go choti choti thi lekin vo kahare ilahi ke patthar the ki parande jab un kankariyon ko girate to vo sangreze fil suvaron ke khod ko tod kar, sar se nikal kar, jism ko chir kar, hathi ke badan ko chedte huve zamin par girte the. Har kankari par us shakhs ka naam likha tha jo uss khankari se halak kiya gaya. Iss tarha abraha ka pura lashkar halak va barbad ho gaya aur kaba e muazzama mahfuz rah gaya. Ye vakhiya jis saal wakhia pazir huva uss saal ko ahle Arab "Amul Feel" (Hathi Vala Saal) kahne lage aur iss vakhiye se pachas roz ke baad Huzur sayyade Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ki viladath huyi.



          Iss Vaqhiye ko Allah Tala ne Quran e Majid me bayan farmate huve ek surah nazil farmayi jis ka naam hi "Surah e Feel" hai Yani
Tarzuma e Kanzul Imaan

                   Ye Mahbub kai tum ne na dekha? Tumhare raab ne un hathi valon ka kai haal kiya, kai un ka daun tabahi me na dala aur un par parandon ki tukdiyan(fojen) bheji ki unhen kankar ke pattharon se marte to unhen kar dala jaise khayi kheti ki patti(bhusa)

Darse Hidayath:

             Iss se malum huva ki Quran e Majid ki tarha Kaba Muazzama ki hifazath ka jimma bhi khudavande khuddus ne apne zimmaye karam par le rakha hai ki koi taghuti takhat na Quran e Majid ko fana kar sakti hai na kaaba ko safah e hasti se mita sakti hai kuinki Khudavande Karim in dono ka muhafiz va nigahban hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »