Darbare Dawood Alaihis Salam Me Ek Ajib Mukhadma


Hazrate Dawood Alaihis Salam ki ninanve Biviyan thi. Iss ke baad Aap ne ek dusri aurath ko nikhah ka paigham diya jis ko ek musalman ne pahle se paigham de rakha tha likin Aap ka paigham pahunchne ke baad aurath ke auliya dusre ki taraf bhala kaab aur kaise tavajjoh kar sakte the ? Aap se nikah ho gaya ye baath na to sharaan najayiz thi, na uss zamane ke rasmo ravaj ke khilaf thi. lekin hazrate ambiya kiram alaihis salam ki shaan bahut hi arfaa va ala hoti hai. Ye Aap ke mansabe Aali ke munasib na tha. Iss liye Allah Tala ki marzi ye huyi ki Aap ko iss par mutnbbeh aur agaah kar diya jaye.

        Chunanche, Iss ka zaria ye banaya ki farishte muddayi aur muddaA alaih ban kar Aap ke darbar me ek mukhaddama le kar aye aur bajay darvaze se dakhil hone ke divar fand kar masjid me aye. Aap in logon ko divar fandte dekh kar kuch ghabra gaye. to firishton ne kaha ki Aap daren nahi. Ham do farikh hain ki ek ne dusre par ziyadati ki hai. lihaza Aap hamara thik thik faisla kar dijiye aur hame sidha raah chalayiye. Hamara mukhadma ye hai ki mera ye bhai iss ke pass ninnanve dumbiyan hain aur mere pass ek hi dumbi hai. Aab ye kahta hai ki tu apni ek dumbi bhi mere havale kar de aur iss baath ke liye mujh par dabav dalta hai. Ye sun kar hazrate dawood Alaihis Salam ne foran ye faisla farma diya ki beshak ye ziyadati hai ki vo teri dumbi ko apni dumbiyon me mila lene ko kahta hai. aur iss me koi shuba nahi ki aksar sajo vale ek dusre par ziyadati karte rahte hain. bazuz un logon ke jo sahibe imaan aur nek amal ho aur yeson ki tadad bahut hi kam hai. mukhadme ka faisla suna kar Hazrate Dawood Alaihis Sallam ka Matha tanka aur inhone samjh liya ki iss mukhadme ki peshi dar hakhikhath ye mera imtihan tha. Chunanche, foran hi Aap sajde me gir pade aur khuda se muafi mangne lage to allah tala ne Aap ko muaf farma diya. Chunanche, Quran e Majid me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  To ham ne use ye muaf farma diya aur beshak uss ke liye hamari bargah me zarur kurb aur achcha thikana hai. Ye dawood beshak ham ne tujhe zamin me nayib kiya tu logon me sachcha hukum kar aur khwahish ke piche na jana ki tujhe Allah ki rah se bahaka degi.

Darse Hidayath

              Hazrate Ambiya Kiram Alaihis Salam ki Saan bahuth hi azimushshan hai iss liye bahuth hi mamuli aur choti choti baton par bhi khudavande khudds ki taraf se in hazrath ko agahi di jati hai aur ye nufuse khudsiyya bhi bargahe khudavandi me iss khadar mutiAa aur mutavajje hote hain ki foran hi darbare khudavandi me sajda raiz ho kar affe takhsir ki istida karne lagte hain. masla mashhur hai ki "Hasanatul Abrari Sayyiatul Mukharrabina" Yani nek logon ki nikiyan mukharrabin ke liye khataon ka darja rakhti hai. Kuin na ho.

                    Jin Ke Ruthbe Hain Siva             Un Ko Siva Mushkil Hai

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »