Malika e Sabaa "Bilkhis" ka Takhte Shaahi 80" gaz Lamba aur 40" Chalis gaz Choda tha, Ye sone Chandi aur tarha tarha ke javahirath aur motiyon se Aarasta tha, Jab Hazrate Suleman Alaihis Salam ne Bilkhis ke Khasid Aur uss ke hadaya va tahayif ko thukra diya aur uss ko ye Hukum Nama bheja ki vo Musalman ho kar mere darbar me Hazir ho jaye to Aap ke dil me ye khwahish paida huva ki Bilkhis ke yaha ane se pahale hi uss ka takht mere darbar me Aa jaye Chunanche, Aap ne apne darbar me darbariyon se ye farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Suleman ne Farmaya ye darbariyo ! Tum me kon hai ki vo uss ka takht mere pass le Aaye Khabl iss ke ki vo mere Huzur MutiA ho kar hazir ho ek bada khabis Jin bola ki vo takht Huzur me hazir kar dunga khabal iss ke ki huzur ijlas barkhast karen aur main beshak iss par khuvvat vala amanathdar hun.
Jinn ka bayan sun kar Hazrate Suleman Alaihis Salam ne Farman ki main ye chahata hun ki iss se bhi jald vo takht mere darbar me Aa jaye. Ye sun kar Aap ke vazir hazrate "Asif Bin Barkhiya" Raziyallahu Tala Anhu jo isme Azam jante the aur ek ba karamath vali the.Inho ne Hazrate Suleman Alaihis Salam se arz kiya jaisa ki Quran e Majid me hai:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Uss ne Arz ki jis ke pass kitab ka ilm tha ki main use huzur me hazir kar dunga ek pal marne se pahale.
Chunanche, Hazrate Asif Bin Barkhiya ne Roohani Kuvvath se Bilkhis ke Takht ko mulke Sabaa se Baitul Mukhaddas tak Hazrate Suleman Alaihis Salam ke Mahal me Khinch liya aur takht zamin ke niche chal kar lamha bhar me ek dam Hazrate Suleman Alaihis Salam ki kursi ke kharib Numudar ho gaya. Takht ko dekh kar Hazrate Suleman Alaihis Salam ne ye kaha:
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Ye mere Raab ke Fazal se hai taki mujhe Azmaye ki main Shukr karta hun ya Na-Shukri aur jo shukr kare to vo apne bhale ko shukr karta hai aur jo nashukri kare to mera raab be parvah hai saab khubiyon vala.

Darse Hidayath:
Iss Qurani Vakhiye se sabith hota hai ki Allah Tala Apne Auliya ko badi badi ruhani takhath va kuvvath Aata farmata hai. Dekh liye Hazrate Asif Bin Barkhiya Raziyallahu Tala Anhu ne palak jhapakne bhar ki muddath me Takhte Bilkhis ko mulke sabaa se darbare suleman me hazir kar diya. Aur khud apni jagah se hile bhi nahi. Isi tarha bahut se auliya e kiram ne senkdon mil ki duri se admiyon aur janvaron ko lamha bhar me bula liya hai. Ye Saab Auliya ki uss Roohani takhat ka karishma hai jo khudavande khuddus apne valiyon ko ata farmata hai iss liye kabhi hargiz auliya e kiram ko apne jaisa na khayal karna aur na un ke Aaza ki takhaton ko Aam insano ki takhaton par khiyas karna. Kaha Anvam aur kaha auliya. Auliya e Kiram ko Apne jaisa samajh lena ye gumrahi ka sar chashma hai. Hazrate Maulana Roomi Alaihi Rahama ne masnabi sharifa me isi mazmun par roshni dalte huve badi vajahath ke saath tahrir farmaya hai.
Tamam Duniya Iss Vajah Se Gumrah Ho Gayi Ki Khuda Ke Auliya Se Bahut Kam Log Agah Huve.
Logon ne Auliyallah Ko Apne Jaisa Samajhliya Aur Ambiya Ke Saath Barabari Kar Baithe.
Un Logon Ne Apne Andhepan Se Ye Nahi Jana Ki Avam Aur Auliya Ke Darmiyan Be Intiha Fark Hai.
Bahar hal khulasa e kalam ye hai ki auliya e kiram ko Aam insano ki tarha nahi samajhna chahiye balki ye akhida rakh kar auliya e kiram ki tazimo takrim karni chahiye ki un logon par Khudavande karim ka khas fazle azim hai aur ye log be panah ruhani takhaton ke badshaah bilkhis shahanshaah hai. Ye log Allah Azzawajal ke hukum se badi badi balayen aur susibaten tal sakte hain aur in ki khabron ka bhi adab rakhna lazim hai ki auliya ki khabron par fuyuz va barkate khudavandi ki barish hoti rahti hai aur jo akhidath va mohabbath se in ki khabro ki ziyarath karta hai vo zaruri in buzurgon ke fuyujo barkath se faizyab huva karta hai. Iss zamane me fikhaye vahabiyya auliya e kiram ki be adabi karta rahta hai. Main apne sunni bhaiyon ko ye nasihat va vasiyyath karta hun ki in gumrahon se hamesha door rahen aur in logon ke zahiri sada libason aur wuzu va namazon se fareb na khayen ki in logon ke dil bahuth gande hain aur ye log noore imaan ki tajalliyon se maharoom ho chuke hain.