4 Khabile Ibrath Auraten

Vahila

          Ye Hazrate Nooh Alaihis Salam ki Bivi thi. Iss ko ek nabiyye barhaq ki zojiyath ka sharaf hasil huva aur barson ye Allah Tala ke Nabi Alaihis Salam ki Sohbath se sarfaraz rahi magar iss ki baad nasibi khabile ibrath hai ki iss ko imaan nasib nahi huva balki ye Hazrate Nooh Alaihis Salam ki Dushmani aur Tohin va be Adabi ke sabab se be Imaan ho kar maar gayi aur jahannam me dakhil huyi.

         Ye Hamesha Apni Khom me Jhuta propeganda karti rahti thi ki Hazrate Nooh Alaihis Salam Majnun aur pagal hain, Lihaza un ki koi baath na mano.

Vayila

            Ye Hazrate Looth Alaihis Salam Ki Bivi thi. Ye bhi Allah ke ek Jalilul Khadr Nabi Alaihis Salam ki Zojiyath ba Sohbath se barson sarfaraz rahi magar iss ke saar par bad nasibi ka yesa shaitan suvar tha ki Sachche Dil se kabhi Imaan nahi layi balki umr bhar Munafiq rahi aur apne nifakh ko chupati rahi. Jab kome looth par Azab aya aur pattharon ki barish hone lagi, uss vakht hazrate looth Alaihis Salam apne ghar valon aur mominin ko saath le kar basti se bahar chale gaye the. "Vayila" bhi Aap ke saath thi. Aap ne farma diya tha ki koi shakhs basti ki taraf na dekhe varna vo bhi azaab me Mubtala ho jayega. Chunanche, Aap ke saath valon me se kisi ne bhi basti ki taraf nahi dekha aur saab azaab se mahfuz rahe lekin bayla chunki munafikh thi uss ne hazrate loot Alaihis Salam ke farman ko thukra kar basti ki taraf dekh liya aur shahar ko ulat palat hote dekh kar chillane lagi ki "Ya Khavama" hay re meri khom, Ye zaban se nikalte hi nagahan Azaab ka ek patthar iss ko bhi laga aur ye bhi halak ho kar jahannam rasid ho gayi.

Asiya:

            Asiya Binte Muzahim Alaihis Salam Ye firon ki bivi hai. Firon to Hazrate Musa Alaihis Salam ka badtarin dushman tha lekin Hazrate Asia Raziyallahu Tala Anha ne jab zadugaron ko Hazrate Musa Alaihis Salam ke mukhable me maghlub hote dekh liya to foran un ke dil me Imaan ka Noor cham utha aur vo Imaan le Aayi. Jab Firon ko khabar huyi to uss zalim ne in par bade bade Azaab kiye, Bahut ziyada zando kaib ke baad chomikha kar diya yani char khuntiyan gaad kar Hazrate Asiya Raziyallahu Tala Anha Ke Charon haton pairon me lohe ki mekhen thok kar charo khunton me iss tarha jakhad diya ki vo hil bhi nahi sakti thi aur  bhari patthar sine par rakh kar dhup ki tapish me dal diya aur dana pani band kar diya lekin in masayib va shadayid ke bavajud vo apne Imaan par khayim va dayim rahi aur firon ke kufr se Khuda Azzawajal ki panah aur jannath ki duayen mangti rahi aur isi Halat me un ka  khatima bil khair ho gaya aur vo jannath me dakhil ho gayi aur ibne kaisan ka khol hai ki vo jinda hi utha kar jannath me pahuncha di gayi.

Maryam:

                  Maryam Binte Imran Raziyallahu Tala Anhu, Ye Hazrate Isa Alaihis Salam Ki valida Hain. Chunki Hazrate Isa Alaihis Salam in ke shikam se baghair Baap ke paida huve iss liye in ki khom ne tan va bad goyiyon se in ko badi badi yizaye pahuchayi magar ye sabir rah kar itne bade bade maratib va darjath se sarfaraz huyi ki khudavande khuddus ne Quran e Majid me in ki madhon sana ka bar bar khutba irshaad farmaya. In charon auraton ke bare me Quran e Majid ne Suraye Tahrim me farmaya jis ka tarjama ye hai:

"Allah Tala Kafiron ki misal deta hai. Jaise Hazrate Nooh Alaihis Salam ki Aurath (Vahila) aur Hazrate Looth Alaihis Salam ki Aurath Vayila Ye dono hamare do mukharrab bandon ke nikah me thi. Fir in dono ne un dono se dagha kiya to vo dono Paighambaran, in dono auraton ke kuch kaam na Aaya aur in dono auraton ke bare me khuda ka ye farman ho gaya ki tum dono jahannami auraton ke saath jahannam me dakhil ho jao. Aur Allah Tala Musalmano ki misal bayan farmata hai. Firon ki bivi (Asiya) jab unhon ne arz ki ye mere rab ! mere liye apne pass jannath me ghar bana aur mujhe firon aur us ke kaam se najath de aur mujhe zalim logon se najath bakhsh aur imran ki beti maryam jis ne apni parsayi ki hifazath ki to ham ne uss me apni taraf ki rooh funki aur uss ne apne raab ki baton aur uss ki kitabon ki tasdikh ki aur farmaa bardaron me se huyi.

Darse Hidayath

             Vahila aur vayila dono nabi ki biviyan ho kar kufr va nifakh me giriftar ho kar jahannam rasid huvi aur firon jaise kafir ki bivi Hazrate Asiya Raziyallahu Tala Anhu Imaane Kamil ki dolath pa kar jannath me dakhil huyi aur hazrate Asiya Raziyallahu Tala Anhu Haq zahir ho jane ke baad iss tarha imaan layi ki firon ke saab aram va rahat ko thukra diya aur be panah taklifo aur izaon ke bavajud apne Imaan par khayim rahi, Bilashuba ye baten khabile Ibrath hai.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »