Gazva E Ahjab Ki Andhi


Ghazva E Ahajab San.4 ya San.5 Hij. me pesh aya. Iss jangh ka dusra naam "Ghazva e Khandakh" Bhi hai. Jab "Banu Nazeer" ke yahudiyon ko  jila vatan kar diya gaya to yahudiyon ke sardaron ne makka ja kar kuffare makka ko nabi sallallahu alaihi o sallam ke saath jang karne ki targib dilayi aur vada kiya ki tumhara saath denge. Chunanche, un yahudiyon ne kasir tadad me hathyar aur rakham de kar kuffare makka ko madine par hamla karne par ubhar diya. aur abu sufyan ne mushrikin va yahudiyon ke bahuth se khabayil ko jama kar ke ek azim foj ke saath madine par Dhaba bol kar hamla kar diya. makka se khabilaye "Khaza'A" ke chand logon ne Huzur Nabi e Akram Sallallahu Alaihis Sallam ko kuffar ki in tayyariyon ki ittilaa de di to Aap Sallallahu Alaihi O Sallam ne hazrate Salman farsi Raziyallahu Tala Anhu ke mashvare se madine ki gird ek khandakh khudvani shuru kar di iss khandakh ko khodne me musalmano ke saath khud rahamate alam Sallallahu Alaihi O Sallam ne bhi kaam kiya. Musalman khandakh khod kar farigh hi huve the ki mushrikin ek lashkare zarrar le kar tut pade aur madina e tayyiba par halla bol diya. aur tin taraf se kafiron ka lashkar iss joro shor ke saath umad pada ki shahare madina ki fazaon me har taraf gardo gubar ka tufan uth gaya. Iss khofnaak chadayi aur lashkare kuffar ki marikha arayi ka naksha Quran ki zaban se suniye:
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Jaab kafir tum par Aaye tumhare upar se aur tumhare niche se aur jab ki titka kar rah gayi nigahen aur dil galon ke pas Aa gaye aur tum Allah par tarha tarha ke guman karne lage(Ummid va yaas ke) vo jagah thi  ki musalmano ki janch huvi aur khoob sakhti se jhanjode gaye.

          Iss ladayi me munafikhin jo musalmano ke dosh ba dosh khade the vo kuffar ke in lashkaron ko dekhte hi buzdil ho kar fisal gaye aur in ke nifakha ka parda chaak ho gaya. aur vo jangh se jan chura kar apne gharon me chup kar baite rahne ki ijazath talab karne lage. lekin islam ke sachche ja nisar muhajirin va ansar iss tarha sinaye sipar ho kar datgaye ki vo kohe salA aur kohe uhad ki pahadiyan sar utha utha kar in mujahidin ki ulul ajmiyon aur jaa nisariyon ko hairath ki nigah se dekhne lage! in fada karo ki imani juraath va islami shujaath ki tasvir safahate quran par ba surate taharir dekhiye khudavande alam ka irshad hai.
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur jab musalmano ne kafiron ke lashkar dekhe bole ye hai vo jo hame vada diya tha allah aur uss ke rasool ne aur sach farmaya allah aur uss ke rasool ne aur iss se unhen na bada magar imaan aur allah ki riza par razi hona.

     Kuffar ne jab madine ke gird khandakh ko hayil dekha to hairan rah gaye aur kahane lage ki ye to yesi tadbir hai ki jis se arab ke log Aab tak navakif the. Bahar haal kafiron ne khandakh ke kinare se musalmano par tir andazi aur sangbari suru kar di. kahi kahi se kafiron ne khandak ko par bhi kar liya aur jam kar ladayi bhi huyi. Musalman kafiron ke iss muhasre se vo paresha the. magar un ke azme istikhalal me baal barabar bhi farq nahi aya. vo apne apne morchon par jama kar difayi jangh ladte rahe. achanak ek daam allah tala ne musalmano ki iss tarha madad farmayi ki nagahan mashrikh ki janib se ek yesi tufan kaiz aur halakath angez shadid andhi ayi jo kahare kahhar va jazbe jabbar ban kar lashkare kuffar par khuda ki maar ban gayi. deghen culhon se ulat palat ho kar idhar udhar lutak gayi. khaime ukhad ukhad kar ud gaye aur har taraf ghata dop andhera chaa gaya. aur shadid sardi ki laharon ne kafiron ko jhanjod dala. fir Allah Tala ne farishton ki foj bhej di jin ke rob va dabdabe se kuffar ke liye laraz gaye. aur un par yesi dahshath va bahashat suvar ho gayi ki unhen rahe farar ikhtiyar karne ke siva koi chara hi na raha. Chunanche, lashkare kuffar ke sipah salar abu sufyan ne hampte kampte huve apne lashkar me yelaan kar diya ki rashan khatm ho chuka aur mosim nihayath kharab hai aur yahudiyon ne hamara saath chod diya. lihaza Aab madine ka muhasra bekar hai. Ye kah kar kuch ka nakkara baja diya aur bahuth saa saman chod kar maidane jangh se bhag nikala aur dusre khabayil bhi titar bitar ho kar idhar udhar bhag gaya aur pandra ya chobis roz ke baad madine ka matlaA kuffar ke gardo gubar se safar ho gaya.



gazva e ahjab ki yehi vo andhi hai jis ka zikr khudavande khuddus ne Quran me iss tarha farmaya hai.

 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Ye Imaan Valon! Allah ka yehsaan apne upar yaad karo jab tum par kuch lashkar aya to ham ne un par andhi aur bo lashkar bheje jo tumhen nazar na aya.

Darse Hidayath:

             Iss vakhiye se ham ko ye sabakh milta hai ki jaab kuffar ka mukhabla jangh me ho to musalmano ko kisi hal me bhi hargiz hargiz mayus na hona chahiye aur ye yakhin rakh kar mukhable par dale tahna chahiye ki zarur zarur nusrate khudavandi aur imdade gaibi musalmano ki madad karegi bas sharth ye hai ki ikhlase niyyath ke saath musalman sabith khadam rahen aur sabro istikhalal ke saath maidane jangh me date rahen. Chunanche, jange badr va jangh uhad va jange ahjab vaghaira kufr va islam ki ladayiyon me ye manzar nazar aya ki intihayi mushkil halat me bhi jab musalman sabith khadam rahe to gaib se nusrate khudavandi azzawajal aur imdade gaibi ne iss tarha jalva dikhaya ki dam zadan me jangh  ka pansa palat gaya aur musalmano ko fathe mubin hasil ho gayi aur kuffar bavajude apni kasrath va shokath ke shikasth kha kar bhag nikle.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »