Hazrate Isa Alaihis Salam ke Asman par utha liye jane ke thode dino baad ka vakhia hai ki Yaman me "San'Aa" shahar se do kos ki duri par ek baagh tha jis ka naam "Zardan" tha. Iss baagh ka malik bahuth hi nek nafs aur saqhi admi tha. Uss ka ye dastur tha ki falon ko todne ke vakhth vo fakiron aur miskino ko bulata tha aur yelan kar deta tha ki jo fal hava se gir pade ya jo hamari jholi se alag jaa kar jiren vo saab tum log le liya karo. iss tarah uss baagh ka bahut saa fal fuqra va masakin ko mil jaya karta tha. baagh ka malik mar gaya to uss ke tino bete uss baagh ke malik huve magar ye tino bahut bakhil huve. Un logon ne apas me tai kar liya ki agar faqhiron aur miskhino ko ham log bulayenge to bahut se fal ye log le jayenge aur ham logon ke ahlo iyal ki rozi me tangi ho jayegi. Chunanche, in tino bhaiyon ne khasam kha kar ye tai kar liya ki suraj nikalne se khabl hi chal kar ham log baagh ke fal tod len taki fuqra va masakin ko khabar hi na ho. Chunanche, in logon ki baad niyatti ki nuhusath ne ye asre baad dkhaya ki nagahan raath hi me allah tala ne baagh me ek Aag bhej di. jis ne pure baagh ko jala kar khaaq siyah kar dala aur un logon ko iss ki khabar bhi na huvi. Ye log apne mansube ke mutabik raath ke akhri hisse me nihayath khamoshi ke saath fal todne ke liye ravana ho gaye aur raste me chupke chupke baten karte the taki fakiron aur miskino ko khabar na mil jaye. lekin ye log jab baagh ke paas pahunche to vahan jale huve daraqton ko dekh kar hairan rah gaye. Chunanche, ek bol pada ki ham log rasta bhul kar kisi aur jagah chale aye hain magar un me se jo ba nisbath dusre bhaiyon ke kuch nek nafs tha. Uss ne kaha ki ham rasta nahi bhule hain balki Allah Tala ne ham logon ko falon se mahrum kar diya hai lihaza tum log khuda ki tasbih pado to in sabhon ne ye padna shuru kar diya ki "Subhana Rabbina Inna Kunna Zwalimina" Yani hamare raab ke liye paki hai ham log yakhinan zalim hain ki ham ne fukhra va masakin ka haq mar liya fir vo tino bhai dusre ko malamath karne lage aur akhir me ye kahne lage ki
Tarjuma e Kanzul Imaan:
Ummid hai ki hame hamar raab iss se behtar badal de ham apne raab ki taraf raghbath late hain.
Hazrate Abdullah Bin Masood Raziyallahu Tala Anha ne farmaya ki in logon ne sachche dil se toba kar li to Allah Tala ne un logon ki toba khabul farma li aur fir un logon ko iss ke badle ek dusra baagh ata farma diya jis me bahuth zaida aur bahuth bade bade fal ane lage. Iss baagh ka naam "haivan" tha aur uss me ek ek angur itna bada bada hota tha ki uss ka ek khosha ek sachchar ka bhojh ho jaya karta tha. Abu khalid yamani ka bayan hai ki main uss baagh me gaya tha to main ne dekha ki uss baagh me anguron ke khoshe habshi admi ke khad ke barabar bade the.
Darse Hidayath:
Iss vakhiye se sabakh milta hai ki sakhavath aur nek niyyati ka asar maal me khairo barkath aur maal ki firavani hai aur bakhili va bad niyyati ka samra maal ki halath va barbadi hai. aur ye bhi malum huva ki sachchi toba kar lene se allah tala zahil shuda nemath se badi aur bad kar nemath ata farma diya karta hai. sach hai ki