Zameen E karbala Ka Khooni Manzar Part No - 05

karbala

Hazrath Muslim Ki Shahadat ki khabar

               Al Gharaz Hazrath Imaam Manzil Ba Manzil Safar Farmate Huwe Chale ja Rahe The Aur Ab Tak Kufa Me Imam Muslim ki Shahadat Aur Wahan Ke Inqelabi Halaat Se Bilkul hi be khabar the ke Ekdam Nagaha Manzil "Salbiyah" Par "Bakre'Asdi" Se Mulaqhat Huwi Jo Kufa Se Aa Rahe The, Unhone Khadam Bos ho kar Kufa ke Taza Tareen Halat Se Hazrath Imaam Ku Aagah Kiya Aur Hazrath Muslim Aur Unke Farzandoun Ki Shahadat Ke Ibrat Kheez Aur Darnaak Halat Ku Mufas'sil Tour per Bayan kiya. Hazrath Imaam Kufiyoun ki Ghaddari Aur Ahad Shikni Ki Dastan sun kar Hairaan Rah Gaye. Aur Shiddate Gham Se Dil Masoos Kar Bechain O Bekharar Ho Gaye Itne me Hazrath Muslim Shaheed ki ek choti bachchi jo is safar me saath thin Hazrath Imaam ke samne Aagayen Hazrath Imaam Ne Unhe Intehayi Mohabbat O Shafakhat Bhari Nigahon Se Dekha Aur Unke Sar Par Dast E Shafaqqath Phirane Lage Aur Be Iqtiyar Aanson Ki Dhar Aap ke Muqaddas Ruksaar Per Jari Hogayen. O Shehzadi in khara'in se tadhgayen aur arz karne lagen ke chacha jaan Aaj to Aap mere Sar Per is tarha Hath Phair Rahe Hain Jis Tarha Yateemon ke sar per hath phera jata hai. My Aap ku Parwardigaar Ki Khasam Dilati Hoon Sach Sach Batayiye Kai Mere Baba Jaan Shaheed To Nahi Hogaye ? Bachchi ke is sawal per Hazrath Imaam Ka Damane Sabar Tar Tar Hogaya Aur Aap Be-Iqtiyar Shiddate-Gham Se Bekharar Ho Kar Zaar Zaar Rone Lage Aur Tamam Ahle Baith Nabuwath Aap ke Gird Jama Hogaye Aur Aap Ne Hazrath Muslim Aur Inke Farzandon Ki Shahadat Aur Kufiyoun Ki Bad Ohdi Ka Sara Haal Sunaya Ye Sun Kar Baaz Logon Ne Arz Kiya Ke Ye Ibne Rasoollullah. Allah Aap Apne Aur Apni Ahle baith par reham farmayen aur yaheen se wapas Tashreef le Chalen Chunanche Hazrath Imaam ne wapasi ka Irada Farma Liya Magar Hazrath Muslim Ke Bhayioun ne Ro Ro kar Arz Kiya Ke Ye Imaam Ab Bhai Ki Ayse Dardnaak Aur Mazlumana Shahadat ke baad ham log zinda rah kar kai karenge wallah. Ham To Zaroor Kura Jayenge Aur Apne bhayi Aur Bhatijon ke khoone Nahak ka Badla Lenge. Ya Khud Bhi Shaheed Ho Kar Khuld e Bari Me Apne Bichde Huwe Bhai Se Ja Milenge. Ye Sun Kar Imaam Ali Maqham Ne Farmaya ke Bahut Achcha Agar tum logon ki yahi khushi hai to chalo my Bhi Tumhare Saath Chalta Hoon jo tumhara haal hoga o mera haal bhi hoga kyunke Tumhare Baad Meri Zindagi Be-Lutf Aur Mera Jeena Wabaal hoga. Chunanche, Khafila Aage Chal pada yaha tak ke jab kufa do Manzil Baqi Rah Gaya

Hur Bin Yazeed Aur Ek Hazar Sawar

             Kufa ka ek Mashoor Bahadur Aur Jangjo Shah Sawar Hur Bin Yazeed Riyahi ek Hazar Sawariyoun ke Lashkar ke Saath Aap ka rasta Rok kar khada huwa hai. Hur Ne Hazrath Imaam Ko Salaam Kiya Aur Arz kiya ke Ye Farzande Rasool Mujhe Kufa ka Yazeedi Governer Ubaidullah Bin Zayyad Ne Aap ki Giraftari Ke Liye Bheja Hai. Aur Saath hi saath usne ye mau'zirat bhi pesh ki ke khuda gawah hai ke main ba-dile naqasta Aaya hoon. Aur Mujhe Aap ki Muqaddas janab me baal barabar jurrat o gustakhi bhi intai nagawar hai. lekin my is zalim ke hukum se majboor aur lachar hoon. Hazrath Imaam ne farmaya ke ye Hur main is Shaher me khud ba khud nahi Aaya hoon Balke Ahle Kufa ne Mujhe 150 Khutoot Likh Kar Bulaya hai. Aur Ye Khutoot Aksar inhi logon ke Dastakhat Aur Mohar Se Likhe Gaye hain Jo is waqt Tumhare is lashkar me meri giraftari ke liye Aaye hain. Hur ne Khasam kha kar kaha ke wallah. Mujhe koi iska kuch bhi ilm nahi hai. Kya Aap ke Pass kab Khutoot Bheje Gaye Aur Kin kin Logon ne khutoot Bheje Aur Main Na Aap ko Chod Sakta Hoon Aur Na Wapas Louta Sakta Hoon. Ye Sun Kar Hazrath Imaam Ne Khutoot Ka Thaila Ulat Diya Aur Farmaya ke Dekhlo Ye Kutoot Ka Ambaar Hai Inku Padh lo inki mohren dekhlo phir Aap ne Naam lele kar Pukar ke Ye Sheesh Bin Rabi'e, Aye Khais Bin Ash'as, Aye Zaid Bin Haris Sach Sach Bolo Kai Tum Logon ne arziyan likh likh kar aur khasme de de kar mujhe nahi bulaya hai ? Imaam ki pukar sunkar ye sab Be'Haya aur Na'Bakar sharam se gardane jhukayen khade rahe aur kisine koi jawab nahi diya. Iske Baad Hazrath Imaam ne itmame Hujjat ke liye ye bhi farmaya ke behre haal Ye Kufiyoun Agar Tum Log Apne Ohad per khayim hoto my tumhare shahar me khadam rakhun warna my iske liye bhi tayyar hoon ke my yaheen se Apne watan ku wapas chala jaun.

            Abhi Hur se Hazrath Imaam Ki Guftagu Jari hi thi ke ek dam nihayat hi tezi ke saath ek sandni sawar Aaya aur ubaidullah bin zayyad ka ye khat hur ko diya ke jis Maqham par tumhe mera ye khat mile tum Hazrath Immam ku Usi Maqham par roklo Na Unhe Kufa Shehar Me Dakhil hone Do Na Watan Wapas Loutne Do. Khat padh kar Hur Ne Arz Kiya ke Ye Ibne Rasoollullah Dekh Lijiye Aap ku Giraftaar Karne ke Liye Ubaidullah Bin Zayyad ka Kis Khadar Israr Hai. Isliye Aab Mai Bilkul hi Majboor O Lachar Hoon ke mai Aap ku kisi Tarha chod nahi sakta. Hur Ne Ye kaha lekin shiddate Gham se Uski Aankhon me Ansu Aagaye Aur Awaz bhar Aane Lagi.

          Isme Koi Shuba Nahi Hai Ke Hur ke dil me Ahle Bait Ki Be-Panah Azmat thi. Chunanche, O Namazon me barabar Hazrath Imaam Hi Ki Iqteda karta raha. Lekin, O Ibne Zayyad Bad-Nihaad Ke Zulm O istebdad se lachar aur Majboor tha Aur isko ye bhi bar tha ke agar baal bara bar bhi o Hazrath Imaam ke saath koi Riayat karta to ek hazar ki lashkar ki Maujoodgi me ye raaz poshida nahi rah sakta tha. Aur agar ibne zayyad ku Pata chal jata to O Hur Aur Uske pure Qhandaan ke tukde tukde kar dalta. Isi khouf se Hur Apni Baat per Ada raha.Yahan tak ke jigar Goshaye Rasool Farzande Batool ko kufe ki rah se hath kar karbala ki us be Abh O Aaya Sar Zameen me utarna pada jahan sar chupane ku darakht ka ek patta aur pyas bhujane ku pani ka ek khatra bhi moujood nahi tha.

Hazrath Imaam Karbala Me

              2 Moharram 61 Sane Hijri Ki Tareeq Islami Tareeq me O Na Qabile Faramosh Tareeq Hai. Isi Tareeq Me Ibne Rasoollullah Ne Apne Ahle Baith ke Ek Mukhatasar Se Khafile Ke Sath Karbala Me Nuzool Farmaya. Hazrath Imam Ne Is Maqham Ka Naam Daryaft Farmaya To Maloom Huwa Ke Is Maidan Ka Naam Karbala Hai. Karbala Ka Naam Sunte Hi Hazrath Imaam Ka Matha Thinka. Kuin Ke Bachpan Hi Se Aap Ki Shahadat ki Shorat Thi Aur Hazrath Imaam Ku Khoob Maloom Tha Ke Karbala Ka Maidan Hi O Khouf  Naak Biya Baan Hai. Jahan Ahle Baith Nabuwwath Ka Muqhaddas Khoon Nihayat Be Dardi Ke Sath Bahaya Jayega.Aur Is Biyabaan Ka Regzaar Shohda E Ahle Baith ke Khoon Se Rangeen O Lal Zaar Banaya Jayega

             Abhi Hazrath E Imaam Karbala Ke Maidan Me Itminan Se Baithne Bhi Na Paye The Aur Aap Ka Sara Samaan Yun Hi Be Tarteeb Idhar Udhar Pada Huwa Tha ke Ek Dam Kufe Se Ubaidullah Bin Zayyad Ka Qasid Ye Khath Le Kar Pahonchta Hai Ke Aap Yazeed Ki Baiath Kijiye Ya Jangh Ke Liye Tayyar Hojayiye. Hazrath Imaam Ne Ye Khath Padh Kar Hikharath Ke Saath Zameen Par Daldiya Aur Farmaya Ke Mere Pass Is Khath Ka Koi Jawab Nahi Hai.

             Kya Sitam? Ke 150 Khotoot Bhej Kar Aap Ku Bulaya To Isliye Gaya Hai Ke Ahle Kufa O Iraq Aap Ke Daste Haq Parast Par Baiath Karenge. Lekin Jab O Moazziz Mehman Safar Ki Mashakhaten Bardasht Karke Tashreef Late Hain To Unko Haqqe Mehmani Is Tarha Ada Kiya Jata Hai Ke Zaher Me Bichaye Huwe Naze Aur Chamakti Huwi Barhana Talwaren Dikha Kar Unhi Yazeed Paleed Jaise Ayeb e Mujassam Ki Baiat Per Majboor Kiya Ja Raha Hai. Jis ki baiath kisi tarha imaam ke liye jaiz hi nahi thi Allahu Akbar  In Khufiyane purdagha aur dushmanane be-haya ku zara bhi ghairat nahi Aayi ke jis mehmani mukarram ku hazaron tamanna o iltijaon ke saath bulaya hai. iske saath kai sulook kar rahe hain? Musalmano Gahliban Duniya me Ayese Azim-us-Shan ke mehman ke saath itne bade zulm o udwaan ka badtareen sulook na kabhi huwa hai na Aainda kabhi hoga jo Fatimah ke laal O Ali ke Naou Nihaal ke saath Kufiyane Bad Khisal ne rawa rakha. Hazrath Imaam ku In Ghaddaroun ki Bad Ohdi per Intehayi Hairath Thi Isliye Aapne Farmaya Ke Mere Pass Is Khath ka koi jawab nahi hai.

          Ibne Zayyad Hazrath Imaam Ka jawab sun kar aur ziyada Aatish E Ghaiz O Ghazab Me Jal Kar kabab hogaya aur intehayi taish me Aa kar Lashkaron ku Tayyari ka Hukm Dediya.Aur Umar Bin Sa'ad Ku is Lashkare Jarrar ka sipah salaar bana kar zameen e karbala ki taraf march karne ko farmaan jari kar diya.

Ibne Saad

Ibne Saad ek jannati sahabi Hazrathe Saad Bin Abi Waqqas ka beta tha. Aur O Ahle Bait ke azmat o jalalat se khoob waqif tha. isliye o is fouj ki siphe salari se pehlu rahi karne laga.balke saaf inkaar kar diya. ka main Farzande Rasool ke khoon e Nahaq se Apne daman ku dagh daar nahi kar sakta. Magar Ibne zayyad ne isku Majboor kar diya ke ya to O iran ki Governari se dast bardaar ho jaye ya Hazrath Imaam se jang karne ke liye tayyar hojaye.

Hiris Duniya O Hukumat ki tama, o buri bala hai ke jab ye Aafriyat ban kar kisi ke sar per sawar hoti hai to o kitna hi bada isteqamat ka pahad hi kuin na ho magar iske khadam ku mutazalzal hi kar deti hai. chunanche, Ibne saad iran ki governari ke lalach me bawajood nagawar samjhne ke haidare karrar ke gohare Aabdaar, Jawanane jannat ke sardar Hussain E Naam Daar ka gala katne ke liye tayyar ho gaya. Aur 5000 payada o sawar ki fouje jafa kaar ka sipah salaar ban kar karbala ke maidane karzaar ki taraf rawana hogaya. Aur 7 Moharram mangal ke din karbala me pahonch kar daryaye furat ke kinare padao kiya.Aur Apne Fouji Markaz Khayim kiya Aur 500 maslah sawaron ka daryaye furat ke kinare pehra bitha diya ke khabardaar khabardaar paani ka ek khatra bhi saqi e kousar ke farzand Aur Ahle Baith ke khime ke andar pahounchne na paaye.

          Aur Ibne Zayyad Bad-Nihad Baar Baar Kufe se foujen rawana karta raha. Yahan tak ke Ibne Zayyad ke pass 22,000 payada O Sawar jama Hogaye (Sawane Karbala)

          Kitni Hairath Ka Maqham hai ke Hazrath Imaam ke saath kul 82 insano ka khafila hai. Inme Auraten bhi hain Aur Bachche bhi hain aur budhe bhi hain aur jawan bhi.Inhi 82 Musafiron me Aabid Bimaar Bhi Hain Aur Asgar Sheer Khawar bhi.Ye log Jang ke irade se bhi nahi aye hain aur in logon ke pass saman e jangh aur kafi hatiyar bhi nahi hain lekin iske bawajood inke maqhabile ke liye 22,000 ka lashkar tayyar karke bheja jata hai magar is per bhi kufe ke bade bade dilawaron aur jangh Aazma bahadduron ke dil laraz rahe hain.Aur o khouf o dehshat se laraza barandam ho rahe hain.

          Kyun Na Ho ? In Rubah Shift kufiyon ko Achchi Tarha Maloom Tha Ke Ham Aaaj kisse jangh karne kae liye Aaye Hain ? O Achchi Tarha jante The Ke Aaj Fateh khibar, Ali Haidar, Asadullah Ghalif, Ali Bin Abi Talib ki kachar ke Sherane Haq se Maqabila hai. Aur unhe is Baat ka pura pura yaqeen tha ke.

Ali Ka Ghar Bhi O Ghar Hai Jis Ghar Ka Har Ek Bachcha
Jahan Paida Huwa Shere Khuda Maloom Hota Hai.


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »