Zameen E Karbala Ka Khooni Manzar Part No - 08

karbala

Hazrath Qasim

                 Aapne Janab Qasim Bin Hasan Ka Naam Nami Suna Hoga. Ye Ahle Baith Ke Bahut Se Jawano Ki Shahadat Ke Baad Hazrath Imam Se Jangh Ki ijazat Talab Karne Ke Liye Hazir Huwe Hain..Ye Hazrath Imam Ke Haqiqi Bhatije.Yani Hazrat Hasan Mujtaba Radiallahu Ta'ala Anhu Ke Farzande Anjuman, Aur Hazrath Imaam Ali Maqham Ki Dukhtare Nek Akthar BiBi Sakina Se Inki Nisbat Bhi Tay Ho Chuki Hai.Chota Sa Qad, Naujawani Ka Aalam, Sabza Aaghaz Ek Pikare Husn O Jamal Hai.Jo Hazrath Imaam Se Gardan Katane Ki Ijazat Talab Kar Raha Hai.Imaam Ali Maqham Ne Mohabbat Bhari Nazron Se Bhatije Aur Hone Wale Damaad Ku Ek Nigah Bhar Kar Dekha.Qalb Me Ek Thes Lagi Aur Dil Ke Jazbat Ansu Ban Kar Palkon Per Namudaar Ho Gaye...Farmaya Ke Beta Qasim Tum Mere Marhoom Bhai Ki Nishani Aur Yaadgaar Ho.Bhai Marhum Mujhe Daghe Mufariqat De Gaye.Aab Unki Yaad Aane Per Tumhi Ku Dekh Kar My Tasalli Hasil Karta Hoon.Bhala Mujhe Kab Aur Kis Tarha Gawara Ho Sakta Hai?  Ke Tum Mere Samne Khak O Khoon Me Tadapte Huwe Gala Katao.Aur Mai Dekhta Rahoon.Beta- Mai Is Sadmaye Jaankah Ku Bardasht Karne Ki Taab-O-Taqat Nahi Rakhta.Isliye My Tumhe Jang Me Jane Ki Ijazat Nahi De Sakta..Lekin, Janab Qasim Ki Beqarari Aur Girya O Zari Dekh Kar ,aur Unke Israr Se Majboor Ho Kar Bil Aakhir Hazrath Imaam Ne Unhe Maidane Jangh Me Jaane Ki Ijazat Dedi..Hazrath Qasim Shoukh-E-Shahadat Mai Is Qadar Warafta The Ke Ijazat Pate Hi Khushi Se Uchal Pade Aur Jaldi Jaldi Janghi Libas Pehan Kar Aur Hatyaron Se Musallah Ho Kar Pehle Qime Me Tashreef Le Gaye. Aur Saab Ahle Qima Ku Aakhri Salam Karke.Hazrath Imaam Ki Qidmat Me Hazir Ho Gaye.Mamta Ki Mari Maa Jaan Chidakne Wali Phupi Aur Dulhan Banne Ki Aas Lagane Wali Mangitar BiBi Sakina Ne Duniya Se Safar Karne Wale Musafir Ka Akhri Didar Kiya Aur Josh E Gham Se Saab Ki Aankhen Askh Baar Ho Gaye.Ke Ab Chand Minton Me Ye Noor Ki Tasweer Khak O Khoon Me Mil Jane Wali Hai.

Jaab Imaam Ali Maqham Ku Aakhri Salam Karke Rawana Hone Lage To Hazrath Imaam Ne Aage Badh Kar Nihayat Garam Joshi Ke Sath Bhatije Ku Apne Seene Se Laga Liya Aur Duwayen De Kar Widah Farmaya.Janab Khasim Hazrath Imaam Se Rukhsat Ho Kar Joshe Jihad Me Bhare Huwe Ghoda Douda Kar Ashkhiya Ki Safon Ke Samne Pahonch Gaye. Aur Rijz Ke Chand Ash'ar Padh Kar Farmaya Ke Aye Yazidiyo - Ab Jis Ke Sar Per Mout Sawar Ho O Mere Samne Aaye , Aur Meri Shamsheer Aabdaar Ki Asadullahi Maar Se Apne Khoon Me Nahaye.Shazade Ki Is Hashmi Lalkar Se Girohe Ashkhiya Per Aysi Haibat Sawar Ho Gayi ..Ke Bawajood Baar Baar Ki Pukar Aur Lalkar Ke Kisi Me Ye Jurrat O Himmat Nahi Huwi, Ke Aap Ke Samne Aata.Ibne Sa'ad Ne Jab Ye Dekha Ke yazeedi Lashkar Me Se Koi Bhi Hazrath Qhasim Ke Muqhabile Ke Liye Nahi Nikalta.To Usne Azrakh Shami Sipah Salar Ku Pukara , Jo yazeed Ki Taraf Se Salana 10,000 Dinaar Tanqa Pata Tha.Jab Azrakh Shami Ibne Sa'ad Ke Pass Pahoncha..To Ibne Sa'ad Ne Kaha Ke ..Aye Azrakh - Dekh Ye Badi Der Se Ye Noujawan Muqhabile Ki Dawat De Raha Hai.Magar Hamare Lashkar Me Se Kisi Ki Bhi Ye Jurrat Nahi Huwi Ke Iske Challenge Ka Jawab De Sake.Isliye Aab Main Tujh Ku Hukm Deta Hoon Ke Tu 1,000 Sawar Le Kar Iske Muqhabile Ke Liye Maidan Me Nikal Padh.Azrakh Ne Ghazabnaak Ho Kar Kaha.Ye Ibne Sa'ad - Tujhe Sharam Nahi Aati? Ke Tujh Jaise Namigirami Pehalwan Ku Jiski Haibat Se Misr O Sham Ki Zameen Dahal Rahi Ho, Ek Ayse Kamseen Ladke Se Ladhne Ke Liye Bhej Raha Hai..Jiske Moh Se Maa Ki Doodh Ki Boo Aarahi Hai..Ye Ibne Sa'ad !!! Sara Misr O Sham Jaanta Hai Ke Main Akela Ek Hazar Bahadurane Naamdar Ka Maqhabila Karta Hoon..Ke Aaj Main Ek Bachche Ke Muqabile Me Jaa Kar Apni Naak Kata Doon? Agar Mai ne Is Bachche Ko Qatal Kar Doon To Jab Bhi Main Badnaam Ho Jaunga..Ke Mai Ne Ek Bachche Se Jang Ki..Khuda Ki Khasam!! Agar Tu Mere Jism Ke Purze Purze Udha Dega Jab Bhi Main Ek Bachche Ke Khoon Se Apni Talwar Ku Aaluda Nahi Karunga...Ibne Sa'ad Ne Kaha...Ke Ye Azrakh!! Are Tu Kis Ghumand Me Hai? Tu Inki Kamsini Aur Nazuk Badni Ku Math Dekh..Afsos!! Tu Inhe Pehchanta Nahi Ke Ye Koun Hain?? Are Ye Sher Dil Hazrath Imaam Hasan Mujtaba Ke Farzande Arjuman Aur Fateh Khibar Ali Haidar Ke Pote Hain..Khuda Ki Khasam Agar Ye Bhooke Pyase Na Hote To..Ye Akele Hi Kha'hre ilahi Ki Bijli Ban Kar Hamare Pure Lashkar Ke Hurmane Zindagi Ku Khaksatar Bana Dalte..Jab Ibne Sa'ad Ne Lagatar Israr Se Azrakh Shami Ku Majboor Kar Diya To Usne Kahe Ke..Aye Ibne Sa'ad - Khwah Kuch Bhi Hojaye...Magar Main Is Bachche Se To Nahi Ladunga..Teri Khwahish Hai To Is Jangh Me Mere 4 Farzand Moujood Hain..Jo Shuja'at O Dilawari Me Sohra E Aafakh Hain..Main Inme Se Ek Ku Bhej Deta Hoon...O Chand Minto Me Iska Sar Kaat Kar Layega.Chunanche Azrakh Ka Ek Beta Saba Raftar Ghode Per Sawar Ho Kar Apni Kheemti Talwar Chamkata Huwa Aur Badal Ki Tarha Garjta Aur Durrata Huwa Maidan Me Nikla.Hazrath Qasim Ne Isku Aata Dekh Kar Nihayat Be-Khoufi Ke Sath Ye Farmaya Ke Afsos!! Tere Baap Ku Tujh Per Raham Nahi Aaya? Ke Tujh Ku Meri Talwar Luqma Banne Ke Liye Miadan Me Bhej Diya? Achcha Aage Badh ..Chunanche, Jaise Hi O Hamle Ke Liye Aage Badha Hazrath Qasim Ne Apna Khanjar Uske Shikam Me Bhonk Diya.Aur O Is Zakham Ki Taab Na La Kar Ghode Ki Zain Se Zameen Per Gir Padha.Phir Aapne Nihayat Hi Purti Aur Chabuk Dasti Ke Sath Jhapat Kar Uski Talwar Cheen Li..Aur Uske Lambe Lambe Balon Ku Pakad kar Jo Ghoda Daudaya To O GhaseetTe GhaeetTe Mar Gaya.Phir Aapne Uski Lash Ku Ghode Ki Tapon Se Rond Kar Uske Haddiyon Ke Bhi Chakna Choor Kar Diya..Azrakh Ka Dosra Beta Apne Bhai Ku Is Tarha Qatal Hota Dekh Kar Aape Se Baher Ho Gaya.Aur Diwanawar Aage Badh Kar Ek Dam Janab Qasim Par Qatilana Hamla Kar Diya ..Hazrath Qasim Ne Mudh Kar Aysa Paintra Badla Ke Dushman Ka War Khali Gaya..Aur Aapne Palat Kar Pehlu Me Aysa Neza Mara Ke Idhar Se Udhar Paar Ho Gaya.Aur O Waheen Ghode Se Gir Kar Zameen Per Dher Hogaya..Phir Azrakh Ka Teesra Beta Hamla Ke Liye Jhapta..To Aapne Isku Bhi Ek Neeza Maar Kar Halak Kar Diya..Ab Azrakh Ka Coutha Beta Apne 3no Bhaiyon Ka Inteqham Lene Ke Liye Pagalon Ki Tarha Talwar Ghumata Huwa Daudh Pada.Aur Moh Me Jhag Bhar Kar Galiyan Dene Laga..Hazrath Qasim Ne Farmaya Ke Bad-Lagam - Hosh Me Aa..Auraton Ki Tarha Galiyan Aur Kosne Dena Mardon Ki Shan Nahi Hai.Agar Jurrat Hai To Aage Badh Kar Hamla Kar.O Kehne Laga Ke Qasim!! Tumne Mere 3no Bhaiyon Ki Qatal Kar Diya..Khuda Ki Qasam Jab Tak Main Tumhe Qatal Karke Apne Bhai Ka Badla Na Lunga Mujhe Kharar Naseeb Nahi Ho Sakta.Hazrath Qasim Ne Has Kar Farmaya...Ke Math Ghabra My Tujhe Qarar Dene Aur Tujh Ku Tere Bhaiyon Ke Paas Pahoncha Dene Ke Liye Tayyar Hoon...Ye Kaha Aur Talwar Ke Ek Bhar Poor Janchatula Hath Mara.To Maghroor Ka Sidha Haath Kat Kar Door Ja Pada...Aur O Jaan Bacha Kar Bhag Nikla..Aapne Lalkarte Huwe Iska Taqub Farmaya..Magar O Apni Lashkar Me Jaa Ghusa. Aur Zakham Ki Tab Na La Kar Ghode Se Gir Pada Aur Mar Gaya.


Azrakh Apne 4 Honhar Aur Mashoor Shah Sawar Beton Ku Is Tarha Zillat Ke Sath Qatal Hota Dekh Kar Ghaiz O Ghazab Me Apni Hosh O Hawas Kho Baitha.Aur Moh Me Jhag Bhar Ke Gusse Me Dant Pieste Huwe Aur Ghillahat Me Dadhi Ke Baal Naunchte Huwe Ghoda Khuda Kar Maidan Me Nikal Pada. Aur Kehne Laga Ke Bachche!! Tum Ne Bachon Ko To Maar Liya , Lekin Aab Tujh Ku Mujh Se Paala Pada Hai.Sambhal Ja !! Ke Aab Teri Zindagi Se Sirf Chand Hi Lamhaat Baaqi Rah Gaye Hain.Janab Qasim Ne Hiqarat Ke Saath Usku Jawab Diya Ke Azrakh !! Zara Hosh Ki Dawa Kar, Tu Shamiyon Ke Liye Taqat Ka Pahad Hoga.Abhi Tak Tune Hashmi Kachar Ke Sheron Ku Nahi Dekha Hai.Hamari Ragon Me Haidare Karrar Ka Khoon Hai.Hamari Nigahe Qa'har O Jalal Ke Samne Tu Ek Makkhi Aur Machhar Se Zaiyda Haisiyat Nahi Rakhta..Azrakh Ye Khoon Khola Dene Wala Tana Sun Kar Aur Bhi Aag Babagule Ho Gaya.Aur Neeza Baazi Shuru Kardi.Lekin, Jab Ye Dekha Ke Barabar Ki Choten Hain. To Ghazab Naak Ho Kar Talwar Nikal Li.Hazrath Qasim Ne Bhi Talwar Khenchli Aur Aage Badhe To Azrakh Ne Aankhen Phad Kar Gour Se Dekha Aur Hairan Ho Kar Pucha Ke Qasim !! Ye Talwar To Mere Ladke Ki Hai, Ye Tumhare Haath Kahan Se Aagaya? Hazrath Qasim Ne Has Kar Farmaya ..Haan Tera Beta Apni Yaadgaar Ke Tour Par..Ye Talwar Mujhe Isliye De Gaya Hai Take Isi Se Main Tujhe Mauth Ka Zayiqa Chaka Kar Tujhe Tere Beton Ke Paas Pahoncha Doon.Azrakh Ye Sun Kar Farte Ghazab Se Bikhar Gaya..Aur Joon Hi Hamle Ke Liye Talwar Uthayi..Hazrath Qasim Ne Farmaya Ke Azrakh !! Sambhal Ham Tujhe Bada Tajrube-kaar Shah Sawar Samajhte The.Magar Tum To Bilkul Hi Andhe Nikle.Tum Ko Apni Ghode Ke Peti Ka Bhi Dhain Nahi..Ke O Dhili Ho Chuki Hai.Azrakh Jaldi Se Jhuk Kar Ghode Ke Tang Ku Dekhne Laga..Itne Me Hazrath Qasim Ne Uski Kamar Per Talwar Ka aysa Bhar Poor Haath Mara Ke O Do Tukde Ho Gaya..Aur Aap Uchal Kar Uske Ghode Per Sawar Ho Gaye..Aur Hazrath Imaam Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Arz Karne Lage..Ke..Chachajaan .....Pyaas..... Pyaas.!!!! Imaam Tishnakaam Ne Farmaya Ke Noore Nazar!! Zara Der Aur Sabar Karo Anqareeb Tum Nana Jan Ke Muqadas Hathon Se Jaame Kousar Pi Kar Sairab Ho Jaoge!! ChachaJaan Ka Farman Sun Kar Hazrath Qasim Phir Maidan Ki Taraf Palat Pade..Aur Ye Dekha Ke Ibne Sa'ad Qalbe Lashkar Me Khada Ho Kar Yazeedi Foujon Ki Kaman Kar Raha Hai. Aapne Socha Ke Kyun Na Isi Khabees Ku Qatal Karke Surkhuru Ho Jaon.Chunanche, Barqe Khatif Ki Tarha Ghoda Chamka Kar Qalb E Lashkar Me Pahonch Gaye..Magar Dushmanon Ne Har Taraf Se Aap Ku Gheer Liya..Aur Charon Taraf Se Aap Per Neeza O Talwar Ki Bo-Char Shuru Kardi.Yahan Tak Ke 27 Zakham Kha Kar Aap Nidhal Ho Gaye..Aur Ghode Se Gir Pade...Shees Bin Sa'ad Manhoos Ne Aap Ke Seene Per Ek Neeza Mara Us Waqt Aapne Kaha....Ye Chahajaan !!! Meri Qabar giri Farmayiye..Hazrath Imaam Bhatije Ki Dardnaak Pukar Sun Kar Doudh Pade Aur Dekha Ke Pikare Noor Khak O Khoon Me Tadap Tadap Kar Dam Tod Raha Hai. Imaam Ne Muqhadas Lash Ku Intehayi Mohabbat Se God Me Rakh Liya Aur Cehrae Pur-Noor Se Khak O Khoon Ke Dhabbon Ku Saaf Karne Lage Itne Me Qasim Jaan-Baaz Ne Ankhen Khool Diyen..Aur Apna Sar Imaam Ki Aaghoshe Rahmat Me Dekh Kar Farte Musarrat Se Muskuraye..Aur Ek Dam Apni Naqde Jaan Qallakhe Har Do Jahan Ke Naam Per Qurbaan Kar Ke Darul Jina Ke Mehmaan Ban Gaye.
Isi Tarha Hazrath Qasim Ke 3no Bhai Abdullah Bin Hasan Aur Umar Bin Hasan Aur Abu-Bakr Bin Hasan Bhi Intehayi Jaan Baazi Ke Sath Dushmano Se Jangh Karte Huwe Shahadat Se Sarfaraz Ho Gaye.


To be continued on Zameen E Karbala Ka Khooni Manzar Part No - 09

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »