Tufan Kuin Kar Khatam Huva


Jab Hazrate Nooh Alaihi Salam ki kashti Judi Pahad par pahunch kar tahar gayi aur Saab kuffar gharqh ho kar fana ho chuke to Allah Tala ne Zamin ko hukum diya ki ye zamin! jitna pani tujh se chashmo ki surath me nikla hai tu in sab paniyon ko pile. Aur ye Asman! Tu apni barish band kar de. Chunanche, pani ghatana shuru ho gaya aur tufan khatam ho gaya. fir Allah Tala ne Hazrate Nooh Alaihis Salam ko Hukum diya ki ye nooh! Aap kashti se utar jayiye. Allah ki taraf se salamati aur barkaten Aap par bhi hai aur un logon par bhi hai jo kashti me Aap ke saath rahe.

              Hadis Sharif me Aaya hai ki Hazrate Nooh Alaihis Salam ne Roohe Zamin ki khabar lane ke liye kisi ko bhejne ka irada farmaya to saab se pahale murgi ne kaha ki main roohe zamin ki khabar laungi to Aap ne uss ko pakad liya aur uss ke bazuon par mohar laga kar farmaya ki tujh par meri mohar hai, tu parinda hote huve bi lanbi udan na ud sakegi aur meri ummat tujh se fayda uthayegi. fir Aap ne kavve ko bheja to vo ek murdar dekh kar uss par gir pada aur vapas nahi Aaya. To Aap ne uss par lanath farma di aur uss ke liye bad dua farma di ki vo hamesha khof me mubtala rahe. Chunanche, Kavve ko haram me kahi bhi panah nahi hai. Fir Aap ne kabutar ko bheja to vo zamin par nahi utra balki mulke saba se zaitun ki ek patti chonch me le kar Aa gaya to Aap ne farmaya ki tum zamin par nahi utre iss liye fir  jao aur roohe zamin ki khabar lao. To kabutar dobara ravana huva aur makka ye mukarrama me harme Kaba ki zamin par utra aur dekh liya ki pani zamine haram se khatam ho chuka hai aur surkh rang ki mitti zahir ho gayi hai. kabutar ke dono paon surkh mitti se rangin ho gaye.aur vo isi halath me hazrate nooh Alaihis Salam ke pas vapas Aa gaya aur arz kiya ki ye khuda ke paighambar! Aap mere gale me ek khoob surath tofa ata farmayiye aur mere paon me surkh khijab marhamath farmayiye aur mujhe zamine haram me sukunath ka sharf Aata farmayiye. Chunanche, Hazrate Nooh Alaihis Salam ne kabutar ke saar par daste shafakhat fera aur uss ke liye ye dua farma di ki uss ke gale me dhari ka ek khub surath har pada rahe aur uss ke paon surkh ho jayen aur uss ki nasal me khairo barkat rahe aur uss ko zamine haram me sukunath ka sharaf mile.

           Allah Tala ne Quran e Karim me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                  Aur hukum farmaya gaya ki ye zamin apna pani nigal le aur ye asman tham ja aur pani khushk kar diya gaya aur kaam tamam huva aur kashti kohe judi par tahri aur farmaya gaya ki door ho be insaf log.

          Aur Hazrate Nooh Alaihis Salam ko kashti se utarne ka hukum de kar Allah Tala ne irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Farmaya gaya ye nooh kashti se utar hamari taraf se salam aur barkaton ke saath jo tujh par hai aur tere saath ke kuch gurohon par.

 Darse Hidayath

              Hazrate Nooh Alaihis Salam ke iss vaqhiye me badi badi ibraton ke saman hain jin ke anwar va tajalliyath se kulube mominin par yesi imani roshni padti hai jis se mominin ka sina noore irfan va jalva iman se munavvar aur roshan ho jata hai chand tajalliyon ki nishan dehi hazir hai:

     1. Hazrate Nooh Alaihis Salam 950 baras tak apni khom ki Yiza rasaniyon aur dilkharash tano aur galiyon ke bawazud sabro tahammul ke saath apni khom ko hidayath ka dars dete rahe aur jab tak in par vahi nahi Aa gayi ki ye log imaan nahi layenge uss vaqht tak Aap barabar hidayath ka vazah sunate hi rahe. jab bazariAye vahi Aap in logon ke iman se mayus ho gaye to Aap ne in zalimon ke liye halakath ki dua farmayi. khome muslim ke vaijon aur hadiyon ke liye hazrate nooh alaihis salam ka usvaye hasna charage hidayath va manaraye noor hai ki vo bhi sabr va istiklal ke saath barabar tabligh va irshad ka kam zari rakhen 

     2. Hazrate Nooh Alaihis Salam aur mominin tufan ke azim sailab me jab ki tufan ki mojon pahadon ki tarah sar utha rahi thi. kashti par suvar the aur tufani mojon ke sailabe azim me ek tinkhe ki tarha ye kashti hichkole khati chali ja rahi thi. magar hazrate nooh alaihis salam aur mominin tavakkul ki yesi manzile buland me the ki na in logon ko koi ghabrahat thi na koi pareshani. iss me mominin ke liye ye hidayath hai ki badi se badi musibath ke vaqht me bhi momin ko allah tala par bharosa rakh kar mutmayin rahna chahiye.

     3. Hazrate Nooh Alaihis salam ka beta kinAan kafir tha. iss se pata chalta hai ki nekon ki avlad ke liye ye zaruri nahi hai ki vo bhi nek hi hon buron ki avlad achchi aur achchon ki avlad buri bhi ho sakti hai. ye khudavande tala ki mashiyyath aur marzi par mokhuf hai. vo jis ko chahe achcha bana de aur jis ko chahe bura bana de.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »