Mubarak Daraqth


Quran e Majid me mubarak darakht se murad "Zaitun" ka darakht hai. Tufane Nooh Alaihis Salam ke baad ye saab se pahala darakht hai jo zamin par uga aur saab se pahle jahan uga vo kohe toor hai. jahan hazrate musa alaihis salam khuda se ham kalam huve zaitun ke darakht ki umr bahut zaida hoti hai. yahan tak ki baaz alimo ne farmaya hai ki 3 hazar baras tay ye darakht bakhi rahta hai.

        Hazrate Abdullah bin Abbas Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki. Zaitun me bahut se favayid aur munafaten hain. Iss ke tel se charagh jalaya jata hai aur ye batore salana ke bhi istimal kiya jata hai aur iss ki sar aur badan par malish bhi karte hain aur ye chamde ki dabaghat me bhi kaam Aata hai. aur iss se Aaga bhi jalate hain aur iss ka koi juzv bhi bekar nahi. yahan tak ki iss ki raaqh se resham dho kar saaf kiya jata hai aur ye hazrate ambiya alaihis salam ke makano aur mukhaddas zamino me ugata hai aur iss ke liye sattar ambiyaye kiram ne barkat ki dua mangi hai. yahan tak ki hazrat ibrahim khalillullah alaihis salam aur huzur khatimunnabiyin sallallahu alaihi o sallam ki mukhaddas duaon se bhi ye darakht sarfaraz huva hai.

      Allah Tala ne iss mubarakh darakht ke bare me irshad farmaya:

Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Aur vo ped paida kiya ki toore sina se nikalta hai le kar udta hai tel aur khane valon ke liye salan.

       Dusri jagah irshad farmaya:
Tarjuma e Kanzul Imaan:

                  Roshan hota hai barkat vale ped zaitun se jo na Mashriqh(Purab) ka na  Maghrib(paschim) ka.

 Darse Hidayath:

                  Zaitun ek badi barkaton bala darakht hai yun to har jagah ye darakht baghair kisi mehnath aur parvarish ke hota hai lekin khas tor par mulke shaam aur Aam tor par mulke arab me ba kasrath paya jata hai aur in makhamath par iss ka tel bhi log kasrath se istimal kart hain. yahan tak ki makkah e mukarrama me gosht aur machli bhi isi tel me tal kar log khate hain. iss ke tel ko arabi me " Zait " kahte hain aur ye tel bechne vala "ziyath" kahlata hai. Agar mil sake to musalmano ko chahiye ki tabarrukan iss ka istimal kare kuinki Quran me iss ko mubarakh darakht farmaya gaya hai aur 70 Ambiya kiram ne iss me barkath ke liye duayen farmayi hai lihaza iss ke ba barkath hone me koi shok shuba nahi aur jab ba barakath chiz hai to iss me yakhinan favayid va manafe bhi bahut honge.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »