Naharen Uthali Jayengi


Hazrate Ibne Abbas Raziyallahu Tala Anhu ne farmaya ki Allah Tala ne panch naharon ko jannath se zari farmaya hai.

  1. Zaihun
  2. Yahun
  3. Dijla
  4. Furath 
  5. Neel
Ye panchon nadiyan ek hi chashme se jari huyi hai. Allah Tala ne hazrate Jibrael Alaishi Salam ke zariye jannath ke iss chashme ko pahadon ke andar amanath rakh diya hai aur pahadon se in naharon ko zamin par jari farma diya hai. jis se log tarha tarha ke favayid hasil kar rahe hain. jab yajuz majuz ke nikalne ka vaqht hoga to allah tala Hazrate Jibrael Alaihis Salam ko zamin par bhejega aur vo 6 chizon ko zamin se utha le jayenge.

  1. Quran e Majid
  2. Tamam Ulum
  3. Hazre Asvad
  4. Makhame Ibrahim
  5. Musa Alaihis Salam Ka Tabuth
  6. Mazkuraye Bala Panchon Naharen 
Aur jab ye che chizen zamin se utha li jayengi to dino dunya ki barkaten ruhe zamin se uth jayengi aur log in barkaton se bilkul mahrum ho jayenge

Allah Azzawajal ne Quran e Majid me irshad farmaya ki
Tarjuma e Kanzul Imaan: 

                   Aur ham ne asman se pani utara ek andaze par fir usse zamin me tahraya aur beshak ham uss ke liye jane par khadir hai.

          Iss Ayath me "Va inna Aala zahabim bihi la khadiruna" ka yehi mathlab hai ki in paniyon aur naharon ko ek vaqht ham utha kar jahan se ham ne utara hai vahan pahuncha denge aur zamin se ye saab napaida ho jayenge.

Darse Hidayath:

             To bandon par lazim hai ki khudabande khuddus ki in nematon ki shukr guzari ke saath hifazath karen aur hargiz hargiz pani ko bekar zaaya na karen aur har vaqht khuda se darte rahen ki kahin ye nemath ham se salb na kar li jaye.

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »