70 Admi Mar kar Zinda Ho Gaye


Hazrate Musa Alaihis Salam Jaab kohe toor par chalis(40) din ke liye tashrif le gaye to "Samari" Munafikh ne chandi sone ke zevrath pigla kar ek bachde ki murath bana kar Hazrate Jibrael Alaihis Salam ke ghode ke paon tale ki mitti uss murath ke muh me dal di to vo zinda ho kar bolne laga. fir samri ne mjma e Aam me ye takhrir shuru kar di ki ye bani israel! Hazrate Musa Alaihis Salam khuda se baten karne ke liye kohe toor par tashrif le gaye hain lekin khuda to khud ham logon ke pas Aa gaya hai aur Bachde ki taraf ishara kar ke bola ki yehi khuda hai "Samari" ne yesi gumrah kun takhrir ki, ki bani israel ko bachde ke khuda done ka yakhin Aa gaya aur vo bachde ko pujne lage. jab Hazrate Musa Alaihis Salam kohe Toor se vapas tashrif laye to bani israel ko bachda pujte dekh kar behad naraz huve ghazab va jalal me Aa kar uss bachde ko tod fod kar barbad kar diya. fir Allah Tala ka ye hukum nazil huva ki jin logon ne bachde ki parastish nahi ki hai vo log bachda pujne valon ko khatal karen. Chunanche, 70 hazar bachde ki puja karne vale khatal ho gaye. iss ke baad ye hukum nazil huva ki Hazrate Musa Alaihis Sallam 70 Admiyon ko muntakhab farma kar ke kohe toor le jayen ye saab log bachda pujne valon ki taraf se mazirath talab karte huve ye dua mange ki bachda pujne valon ke gunah muaf ho jayen, Chunanche, Hazrate Musa Alaihis Salam ne chun chun kar achche achche 70 admiyon ko saath liya aur kohe toor par tashrif le gaye. jab log kohe toor par talbe mazirath va istigfar karne lage to Allah Tala ki taraf se avaz ayi ki.

        "Ye Bani Israel ! main hi hun, mere siva tumhara koi mabud nahi mai ne hi tum logon ko firon ke zulm se nazath de kar tum logon ko bachaya hai lihaza tum log fakhat meri hi ibadath karo aur mere siva kisi ko mat pujo.

          Allah Tala ka ye kalam sun kar ye 70 Admi ek zaban ho kar kahane lage ki ye Musa! Ham hargiz hargiz Aap ki baath nahi manege jab tak ham allah tala ko apne samne na dekh len. Ye sattar admi apni zid par bilkul Aad gaye ki ham ko Aap khuda ka didar karaye varna ham hargiz nahi manegen ki Khudavande Alam ne Ye farmaya hai. Hazrate Musa Alaihi Salam ne in logon ko bahut samjhaya, Magar ye sharir va sarkash log apne mutalabe par Aade rah gaye yahan tak ki Allah Tala ne apne ghazab va jalal ka izhar iss tarha farmaya ki ek farishta Aaya aur uss ne ek yesi khofnak chikh mari ki khof va haras se logon ke dil fat gaye aur  ye 70 admi mar gaye. fir Hazrate Musa Alaihis Salam ne Khudavande Aalam se kuch guftagu ki aur in logon ke liye zinda ho jane ki dua mangi to ye log jinda ho gaye.



 Tarjuma e Kanzul Imaan

                   Aur jab tum ne kaha ye musa ham hargiz tumhara yakhin na layenge jab tak Alaniyya khuda ko na dekh le to tumhen kadak ne Aa liya aur tum dekh rahe the fir mare piche ham ne tumhen zinda kiya ki kahin tum yehsan mano.

Darse Hidayath

1.          Iss Vakhiye se ye sabakh milta hai ki apne paighambar ki baath na maan kar apni jid par Aade rahna badi hi khatarnaak baath hai fir in 70 admiyon ka mar kar zinda ho jana ye khudavande khudds ki khudrate kamila ka izhar va yelan hai, taki log imaan rakhen ki allah tala khiyamath ke din saab mare huve indano ko dobara zinda farmayega.

2.          Iss Vakhiye se ye bhi malum huva ki Hazrate Musa Alaihis Salam ki shariath ka khanun ye tha ki gunahe shirk karne valon ko khatal kar diya jaye, fir khom ke nek log un ke liye talbe mazirath aur duaye magfirath karen, Tab un shirk karne valon ki toba khubul hoti thi. Magar hamare Huzur sayyidul ambiya, khatimunnabiyyin Sallallahu Alaihi o Sallam ki shariath chunki asan shariath hai iss liye iss ke khanun me toba khabul hone ke liye yehi kafi hai ki gunah karne vale ne agarche kufr va shirk ka gunah kar liya ho sachche dil se apne gunah par allah tala ke huzur sharminda ho kar muafi talab kare aur apne dil me ye ahad va azam kare ki fir vo ye gunah nahi karega to Allah Tala us ki toba khabul farma lega aur uss ke gunah ko muaf farma dega. toba khabul hone ke liye gunah karne valon ko khatal nahi kiya jayega.

          Subhanallah Ye Huzur Rahamathu Lillalamin Sallallahu Alaihi O Sallam ki rahamath ke tufel hai ki vo apni ummath par raufurrahim aur behad  meharban hai to in ke tufail Allah Tala bhi apne Habib ki Ummath par Bahuth ziyada rahimo karim balki Arrahamurrahimin hai. 

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »