Firon Jab apne lashkaron ke saath darya me gharkh hone laga to dubte vaqht 3 martaba uss ne apne imaan ka Aylan kiya magar uss ka imaan makhbul nahi huva aur vo kufr hi ki halath me mara. lihaza baz logon ne jo ye kaha hai ki firon momin ho kar mara, un ka khol khabile yetibar nahi hai.
Dubte vaqht ek martaba firon ne "Amantu" kaha yani main Imaan laya. Dusri martaba "Annahu Laa Ilaha Illalazi Amantubillahi Banu Israela" kaha yani uss allah ke siva jis par bani israel imaan laye dusra koi khuda nahi hai aur tisribar ye kaha ki. "Va Anaminal Muslimina" yani main musalman hun.
Rivayath hai ki hazrate jibrael Alaihis Salam ne firon ke muh me khudavande tala ke hukum se kichad bhar di aur vo achchi tarha kalima e imaan ada nahi kar saka.
Ye bhi ek hikayath mankhool hai ki jaab firon takhte saltanath par bait kar khudayi ka dava karta tha to hazrate jibrael alaihis salam admi ki shakal me uss ke pas ye fatva talab karne ke liye tashrif le aye ki kai farmate hain badshaah uss gulam ke bare me jo apne mola ke diye huve maal aur uss ki nematon me pala bada fir uss ne apne mola ki na shukri ki aur uss ke hukuk ka inkar karte huve khud apni siyadath ka Aylan kar diya balki khudayi ka dava karne laga to firon ne uss ka javab ye likha ki yesa gulam jo apne mola ki nashukri kar ke apne mola ka baghi ho gaya uss ki saza yehi hai ki vo darya me gharkh kar diya jaye chunanche, jab dubte vakht firon par mauth ka ghar-ghara suvar ho gaya to Hazrate Jibrael Alaihis Salam ne firon ka vo dastakhati fatva uss ko dikhaya iss ke baad firon mar gaya.
Allah Tala ne Quran e Azim me iss vakhiye ka zikr farmate huve irshad farmaya ki.
Tarjuma e Kanzul Imaan
Aur ham bani israel ko darya par le gaya to firon aur uss ke lashkaron ne in ka picha kiya sarkashi aur zulm se yahan tak ki jab use dubne ne Aa liya, Bola: Main imaan laya ki koi sachcha mabud nahi siva uss ke jis par bani israel imaan laya aur main musalman hun kai Aab aur pahale se nafarman raha aur tu fasadi tha Aaj ham teri lash ko utar denge(Bakhi rakhenge) ki tu apne pichlon ke liye nishani ho aur beshak log hamari ayaton se ghafil hain.
Firon ke Ghark ho jane ke baad bhi bani israel par uss ki haibath ka iss darja dab-daba chaya huva tha ki logon ko firon ki mauth me shako shuba hone laga to allah tala ne firon ki lash ko khushki par pahuncha diya aur darya ki mojon ne iss ki lash ko sahil par dal diya taki log iss ko dekh kar iss ki mauth ka yakhin bhi kar len aur iss ke anjaam se ibrath bhi hasil haren.
Mashur hai ki iss ke baad se hi pani ne lashon ko khabul karna chod diya aur hamesha pani lasho ko upar tairata rahta hai ya kinare par fek deta hai.
Read More:
1. Ek Tariqhi Munazara
2. 70 Admi Mar kar Zinda Ho Gaye
3. Zulkhar Nain Aur Yajuz Va Majuz
4. Abu Lahab Ki Bivi Ko Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam Nazar Na Aye
5. Ashabe Kahaf (Ghar Vale)

Darse Hidayath
Firon ne bavajud ye ki 3 martaba apne imaan ka Aylan kiya magar uss ka imaan fir bhi makhbul nahi huva iss ki kai vajah hai? To iss ke bare me mufassirin ne 3 vajahe bayan farmayi hai:
1. Ye ki firon ne apne imaan ka iqrar uss vaqht kiya jab azabe ilahi uss ke saar par musallat ho gaya aur mauth ka ghar-ghara uss par tari ho gaya aur Allah Tala ka irshad hai ki
Yani Allah Tala ka ye dastur hai ki jab kisi khom par azab Aa jata hai to uss vaqht un ka imaan lana un ko kuch bhi nafa nahi pahunchata.
Chunki firon, Azab Aa jane ke bad, jab mauth ka ghar-ghara suvar ho gaya, uss vaqht imaan laya iss liye Allah Tala ne firon ke imaan ko khabul nahi farmaya aur hazrate jibrael alaihis salam firon ke imaan ko khabul nahi farmaya aur hazrate jibrael alaihis salam ko hukum diya ki uss ke muh me kichad bhar den aur ye kah den ki Aab tu imaan laya hai? halanki iss se pahale tu hamesha imaan lane se inkar karta raha aur logon ko gumrah kar ke fasad felata raha.
2. Dusra Khol ye hai ki khuda ki tohid ke saath rasool ki risalath par bhi imaan lana zaruri hai aur firon ne Laa Ilaha Illallaji Amanath Bihi Banu Israela kaha yani sirf khuda ki vahdaniyyath ka ikhrar kiya aur hazrate musa Alaihis Salam ki risalath par imaan nahi laya. Iss liye vo momin na ho saka.
3. Tisra khol ye hai ki firon ne imaan lane ke khasad se kalimaye imaan ka talaffuz nahi kiya tha balki sirf ghark se bachne ke liye ye kalima kaha tha jaisa ki iss ki adath thi ki har musibath aur azab nazil hone ke vakht ye gid gida kar khuda ki tarfa ruju karta tha. Lekin musibath tal jane ke baad fir Ana Rabbukumul Aala kah kar apni khudayi ka danka bajaya karta tha.
Malum huva ki sirf kalimaye Islam ka talaffuz jab ki imaan lane ki niyyat na ho balki jaan bachane ke liye kaha ho, Imaan ke liye kafi nahi. Lihaza firon ka imaan makhbul nahi huva aur sahih khol yehi hai ki firon kufr hi ki halath me ghark ho kar mara. iss par Quran e majid ki ayaten aur hadise shahide adal hai isi liye allama savi rahmat ullahi tala alaih ne apni tafsir me tahrir farmaya ki jin logon ne ye kaha ki firon momin ho kar mara, un logon ka khol khabile aytibar nahi.